Me 25 ki hogyi but acha behter rishta hi nhi mil rha kahin hisab hi nhi bna rha jb ki me khud chahti hu sahi umr me nikah krna chahiye..😢😢me toh shadi k liye ready hu but acha rishta nhi mil rha .. please mre liye dua kre mujhe behter shohar mile or jaldi se nikah hojye..or mri koi esi demand nhi ki ldka bht rich ho..bs deendar ho or educated ho .😢. allah mre haq me behter kre .. Ameen.. I'm from Delhi..
@@Araiz-v5t mre abbu h nhi or mri ammi mre liye 4-5 se rishta dhundh rhi h .kahin bnta hi nhi hisab .bs allah ka jb huqum jb hi hoga..🥺🥺mre liye dua krnaa... please me khud bhi bht krti hu wse.. allah qubool kre..
Same my situation yar mery father nhi or meri ammi bht sada hain bhai sochty nhi mai aik he sister hun. Phly soch nhi ati thi shadi ki mgr ab bhabiyon ny jeena dobhr krdia hai@@Muskan-zc2wl
@@Muskan-zc2wl inshaAllah bot behtreen ho ga AP apni nemax prhain or Sorah baqra ki tilawat ka mamool BNA lain, chahy 3 din main ya do din main Sorah khtm krain lkin Roxana zaror prhain AP kud apni ankhon se dekhain gi apni life main sakoon inshaALLAH
i m married at 18+ kuch bhi possible nhi hota after marriage though i completed my whole education after marriage but it is tough my elder daughter is completing her 14th year nd younger one is 10 + ,i gave birth to my 3rd daughter on 8 april 2024 but unfortunately she passed away after 12 hours of birth ,itsbeen 5 months but still struggling mentally nd physically keep me in your prayers tha5 ALLAH Swt grant me sabr,ajr nd health
I'm 27 and my fiance is 22, we will get married next year, she asked me , she wants to continue her study after marriage and I asked her, as much as you want to carry your studies go for it. Because an educated woman can raise your kids in good manners and make the home liveable.
@@adityapurohit8577 Phir mn bolun terey bhagwano k barey but Merey Nabi Pak ny Ye kerney sy mana kia hy k kisi k religion py galat baat mat karo Werna to 1 bv aur kitney patiiii
Madam humare yaha aaker dekho ek baar school college me 14-15saal ki ladkia zina karti hai woh bhi chupke nahi khule aaam samjo matlab pure school ko pata hota hai lekin jab maa baap shadi ka bolte hai toh education ka hawala deti hai or woh education ke naam pe roz school me boyfriend ke saat sab kuch hota hai joh husband wife ke liye jayaz hai or zahir baat hai jab unke desire pure ho raha hai toh shadi ki koe jarurat hi nahi hai, or jab zina ke side effects hone lagte hai zindagi me toh wohi ladki ke maa baap sabko bolte hai dekhi humari beti pe kisne kala jadu kiya hai acche riste hi nahi aate,
@@Curious1598 mera comment samjo phele maine kya likha hu aap ke samajne me hi galti hue hai, or jaha tak aap ne bola ladko ko simple ladki pasana nahi aati, uska jawab ye hai ladki koe product nahi hai or nahi unko ladko ko impress karne ke liye paida nahi kiya gaya hai, or jaha tak baat pasan ki hai meko ek mard batao jisko zina karne wali wife chahiye? wife toh sabko simple hi pasan hai lekin girlfriend (Rakhel) model chahiye bss ye farak hai
@@kraken6421 tumne ladkiyoun ka side bataya, ladkoun ka kya? Jisne barabar jurm Kiya hai! Uske ma baap nahi kehte kala jadu Kiya hai? Do hath se thali bajti hai. You have addressed a realistic issue, but have criminalised only women and men are just bloody innocent?
@@Curious1598 yaha baat ego ki nahi hai or nahi mai personally target kar raha hu, baat samaj ne ki hai Allah ne ghar ki izzat ladki ko banaya hai ladke ko nahi, or jaha tak baat gunaah ki hai toh sahi baat hai gunnah dono ko hai, lekin ladki ka gunnah uske baap bhai husband or son ko saat me jahhanum me lejata hai or ladke ka gunnh sirf usko jahhanum me lejata hai ye bhi toh fark hai na? hadith padi nahi hai shayad tumne
These days, women are more focused on the facilities a man can provide than his age for marriage. However, a woman should understand that no matter what the man's situation is, wealth doesn't matter. If the woman has talent, Allah will bless them both with a good life.
میں بھی تو اللہ کا بنایا ہوا اچھا انسان ہوں لیکن پیسے نہ ہونیکی وجہ سے 27میں ہوں اور شادی نہیں ہوئی کاش میری بھی کوئی ہمراز ہمسفر ہوتی ۔چلو میں اللہ سے بہترین کا یقین رکھتا ہوں جب وہ چاہے گا تو سب رکاوٹیں دور ہوسکتی ہیں
Assalamualaikum aap ne shi kha or me 33ki ho gyi hu sadi nhi kiya ab nokri lg gyi he lekin mujhe fibroid ho gya jiska operation krana pda ab Allah se dua kr rhi hun k bs sadi ho Jaye aap mere liye Allah sevdua kijiye plz😢
Everyone has their own journey their own consequences, it's good to get married early but it doesn't apply to all girls..... So it's totally depends on what's a good time for you that Allah has decided keep believing on his planning.
Ya esay hi ha jesay koi kahay k zehar kahnay say moot nahi Hoti Kion k yah naseeb ki BAAT ha insan k ahtayar me nahi ha Ab jesay Zaheer say bachna zaroori ha wesay hi Baki cheso say b bachna chahiyay na k apni zid laga k beth Jain Baki me bohat say esay logo ko Janta hn Jin k old age me bachay huway Hain aur wo zehni tur pay mazoor Hain JB k UN k hi phlay bachay Jo jawani me huway Thay bilkul thek Hain lakin bad walay ya TU zahni mazoor hain ya koi nuks ha jesay gongay bahray 😢
Sab se bari baat humy apny deen ko daikhna chahue Hazrat Khadija ki shadi 40 years ki age me hui unko ALLAH ne aulad b ata farmaii or sehat mand b thee i just mean that k ap jotni b koshish kar lo jab tak ALLAH ka hukam na ho kuch nahi ho skata or aulad b ALLAH khukam se hote ha
@@amnahayakhan1183 AP shadi na Karna aur deakhna k Alad Hoti ha k nahi kion k Hazrat Marium AS ki hui thi Ab ik BAAT ko base bana k theory nahi bana Leni chahiyay Islam me jaldi shadi ka hukam ha Ab is k bad Apnay falsfay pesh karnay band karain aur sub Kuch Allah pay na dalain Insan ko kushish ka hukam ha jab tak insan kushish na karay TU Allah Tala b koi madad nahi kartay
Log yahan naseeb ki baat kr rahy hain bilkul sahi hai rishty asmaano pe banty hain magr usky lye kosish zameen pe krni parhti hai sahi waqt or sahi soch k sath .. jo ek natural age hai (is video mein inki baat ko smjhaen) shaadi ki larki ki jb uswaqt kosish na ki jae k abhi parh rhi hai abhi career build krna hai, choti hai wgra wagra,, tu bhaee phir naseeb pe malba mat dalein.. pehly ek qudrati nizam k against krna phir sara hisaab kitab NASEEB par dal dyna ... we need to change this thinking... ek banda jawani mein ibadat na kre or burhaa huky boly mery naseeb mein nhe thi jawani ki ibadat toufeeq nhe mili mjhy .. I hope people got my point ...
Allah pak hm sb ko hedyt dy or hr beti or bety k bht achy naseeb kry ameen Allah pak mere naseb b bht achy kry or jld mere liya bhtreen fesla frmye ameen jazakillah ❤
Apne 100% sai farmaya lekin husband or sasural supportive hoga ya nae is darr se pehle taleem ko tarjee deti hon q k boht si khawateen ko unhi bachon k sat safar krte huwe deka hai 😢
@@mysterious7639 tab kya yrr mere appi ki shadi 18 saal me hui thi shadi baad unhone padhai ki aaj woh apne sohar ke saath bahut hi Khush hai unke sohar apni biwi ki tareef bhi bahut karte hai
@@Gaon-k7eplease log jhoot bolte hai....I got divorced within a year do u know why ...usne kaha vaado ka kya h ek baar shaadi ho jae...and chale vaade na poore krta atleast jo uski hasiyat thi uske according to mjhe rakhta....ye soch kar ki ab shaadi ho gae hai jaise chahenge waise rakhenge...koi commitment poore nhi krenge....Aisa nhi hota plus mjhe alcohol pilane ki koshish ki etc ....aap chahe laakh baatein kr lo fact to yahi h na ache ladke h na achi ladkiya...
17 18 mein shadi krli bachay bhi hogaye lekin parhny ki ijazat na mly kuch seekhny ky liye mana krdya jaye tou kya kry woh lrki . Abb wesa zamana tou raha nhi h aik kamaye sbb khaye .bacho ko axhi zindagi kesy faraham krein Practical life sbb ki same nhi hoti hai khushhalll 😢
Behn mt do diyaan jisse jb krni h shadi kare...hume kya h un se.,.hum wohi karegy jo psnd h..shadi koi bdi cheez nhi h jo kbi nhi hoskti....career b bht zarori h is zamane k hisaab se....shadi tbhi hogi jb llikha hoga...ab kya hum bahir nikal kr ldko ko pasaye aur ghr laye ldke aur hojaye shadi...kch b dunia bolti h
Bilkul theek kaha...i agreed... lekin har insan ka apna aik time frame huta hay jis k mutabiq wo apni zindagi guzarta hay... meray khiyal mein dunun buhut aaham hein aur aik larrki k leye dunun apnein tume par ho janein chahiye...
Career is important, marriage is important, both are valuable. We cannot survive in this environment without career and marriage, so both are valuable.
Bhai apka tawwakul nhi hai shayad Allah per... Weak faith ki nishani hai ye... Allah ne mard per responsibility de hai finance ki... Or just say you want to live in luxurious life with your wifes money 😅
@@shahidX8it is not about finances only ..and a women has all the right to educate herself in Islam specially in this generation..it is very important for her to become self reliant and self sufficient.
Great Explanation Sister, it's worth sharing to fix our society. That's the reason why village children are healthier than city children comparatively.
Bilkul sahi kaha? I read in science book , female 36 and above ki hone per , unka menstrual cycle (माहवारी) hone k physics process disturbed ho jata h , even excess 42 tak to band hi ho jata h ..... It means aap ko 36-42 age tak aate h child hone ki chances bahut kum ho jata h ?
Yahan tk to docter sahiba ki baat theak h k jld nikkah sai gunnaho sai bchna asaan hota h mgr yai topic k shadi kis omar m krni chaheyai to yai kese K akhteeyar m blkul bhi nhi hai aur sb he chatai haien k shadi wqt pr hojae mgr larkeoun k aakhteeyar m to blkul nhi hota k jb chahaien tb shadi krlien logoun ki demands itni zada hoti haien k gori bhi ho ameer bhi ho khob sara jahaiz ho maa baap k paas dainai k leay aur dhoom dharaka bhi karein shadi pr, to yai demands to larkaien walien krtai haien, to phr aurat k haath m yai akhteeyar kahan hota h k wo jb chahai tb shadi hojae jaldi... Allah hm sb kai leay asaneeyan karien. Aameen summaameen!
Haay bichari Aurat pata nahi Ye Aurtein Shaadi karti hi kyu hain kyo nahi Ye Sirf Apni duniyavi education par focus karein aur fir apni job se shaadi karlein jisse ye Aadmi par bojh bhi nahi banegi Aazaad aur Khush bhi raheingi apni marzi se zindagi jiyeingi aur Shaadi ki tenshi bhi nahi rahegi aur inka Boss ya supervisor inke kaame se khush hokar inko acchi tankhwah bhi dega inki mazduri ki 😊
Bahen m appko baat ko like kartihu but Khadiza (r.z) n 40 sal k ummar m shadi kiya ......onn k toh sareei bacha healthy thi Alhamdulliah ❤ . Toh please ... Rab k upper bhi yaqin rakhna chahhy . Ibrahim (a.s) k bacha 80onwards hua Ismail a.s but o yoh healthy the....Alhamdulliah......please deeply read islam than say something. A little knowledge intoxicated the mind!
Walaikum salam sister! I'm 29 year old looking for mature decent religious wife, I'm not a materlistic perosn and have same expectation to my future partner. Please pray for me that Allah bless me with a good partner who bring peace in this life and for life after death. Akhira is more important than this dunia. A person could be satisfied in limited resource if he/she believe in Allah but marriage is half eman which more important than materlistic resources.
Thank you. Mera nikah door ki cxn se hogai and her age is 16 now I understood now. I want to marry her after 2 years when her age will be 18. Before this video I was worry about her and me but now I am so happy. I was thinkin if I marry her and plan for a baby then there will be some difficulties for her but no I was wrong.
My dear sister shadi ka waqt muqarar hota hy ALLAH ki traf se. Jab ALLAH pak ka hukam hota hy tab hi shadi hoti hy ni to her parenta apny bachon k leay bot acha sochty hain or dosra bachy paida kr k orat ghr ko smabhaly bachon ko sambaly husbnd k husbnd k parents k kam kry ya apni education complet krny chli jay to ghr kasy time de, orat hy ya koi machine, to jab tak shadi ni hoti to career bnany main koi hrj ni or na apki bat main koi logic koi wazan ni q k main kud gwah hun 20 saal ki umer main shadi k bawjood mahzoor bachy or 31 saal ki age main shadi krny wali ki mashaALLAH 3 khoboorat or healty daughters, so plzzz try to make a useful and informative videos
I totally agree with you ,marriage and kids both are not in the hands of humans, but our society seems to ignore the fact.They want both according to them but that can never happen.
@@Hinakhan2200 so true, actually people like her have a lot of time to through out their own frustrations and all kinda complexes in name of "discussion" especially such matters to gain attention, expecting that people will call them "intellectuals" and "saint" but in reality they are so dumb to speak about any topic let alone just such sensitive topics. Take a chill pill, Allah is the Controller of everything, no need to get triggered by such youtube content but unfortunately there is a lot on social media platforms and people get really anxious after listening to such crap. avoid it! Hold on to your own faith, opinions and wisdoms.
Koi na behen aap Allah pe bharosa rakhe . Aur jaha Tak baat hai shadi ka woh Jo jaab karna chahte hai taab karne do .. 15, 17, 20,30, 40... Age koi matter nhi hai shadi pe
Jitna muskil guzara heay aaj keay dour meay husband wife doonoo kam kareay geay tuo tima pass hoo gaa ab zyada log job wili lakki ko targeeh deteay hain bghare job keay rista milna mumkin nahi gher ka rent bills bachoo ki taleem sub keay leay paseay hona zaroori heay Allah pak sub ki bateeoo ka naseeb achaa kareay
Baat apne bilkul shi khi but hmare muasre me lagbhag10%sasural hi supportive hai... Aise me aurte saade ke baad bachhe aur ghar parivar me hi fs kr rah jaati h.... Carrer is important with the limitation of age
Bahan mene kuch mahine pahle apse gujarish ki thi ap bhagwa love trap per bhi research kariye Or is topic per bhi vedio banaiye🙏 ap interfaith marriage per bhi vedio banaiye🙏
Ji Bilkul Sahi kaha aap ne Allah pak Sab ke liye behtar krege jin ki bhi problem hai rishte ki ya kuch bhi allah sab ki problem solve kren meri dua hai
Mujhe bss ek nek ladki chahiye jo samajhdaar, caring aur namazi ho.. aur jo mujhe Quran Sharif ache se pdhna aur smjhna v sikhaye bss aur kuch nhi chahiye..
Ae baat sahi hai ki umar k rehte shaadi ho jani chahiye lkn unka kya jinko ache rishte nhi mil rahe hai koshish to bht karte hai fir b nhi mil rahe hai isliye umar badti jaa rahi hai hum kisi se b shaadi nhi kar sakte bina soche samjhe Allah ki jab marzi hogi tbhi hogi Allah has better plan for us Sirf Allah hi jante hai apne bando ko kya ata karna chahiye or kb ata karna chahiye Sabr rakhein or Allah pr tawakkul rakhein .. Allah hum sab momin behno ka naseeb acha banaye Ameen
Ye such hai kay acha rishta(kam say kam apna ghar, gari, earning above 1 lac monthly) asani say milna mushkil hai.. Hazaar main say 50 afrad hi is requirement par pora utrain gay
Islamic preacher Debate section all over the world .👇🇸🇦 1. Mufti yaseer Nadeem al wajidi (englis/Urdu) 2. IRPC India (hindi/English) 3. Abuzar responds (all languages) 4. Zaid Patel (English/Urdu) 5. Smile 2 jannah(English/Urdu) 6. Qaisar Ahmed Raja (English/Urdu) 7. Basalat adam (Urdu/English) 8. Haneen mukhtar (Urdu/English) 9. Awaz e haq Official(all languages) 10. The Muslim mum(English) 11. The Muslim skeptic (English) 12. Farid responds(English) 13. Farhan Ahmed zia(English) 14. Awaz e haq (all languages) 15. Towards eternity Urdu(Urdu) 16. The Muslims mum(English) 17. Mc Razz(hindi/Urdu) 18. ISLAMIC awaking (hindi/Urdu) 19. Servant of Islam(hindi/Urdu) 20. Dawah wise(English) 21. Sam Dawah(English) 22. SK portal(Hindi/Urdu) 23. Aalami facts(hindi/Urdu) 24. Adnan rashed (English) 25. Haneen mukhtar(Urdu/) 26. Basalat adam(hindi/Urdu) 27. Towards eternity(English) 28. Alina Ali (Urdu) 29. Emaan Union (English/hindi/Urdu) 30. Ahmed Deedat(English) 31. Khalid Yasin(English) 32. Aasim iftekhar(Urdu/hindi) 33. Mohammed hijab(English) 34. West Dawah(English) 35. Ali Dawah(English) 36. Dawah over Duniya(English) 37. Decent muslims (all languages)
I’ve seen so many girls who got married at very early age but they don’t have kids and I have also seen some women who got married after 30 they have healthy babies 20 23 Saal ki larkian ivf se bhi conceive nahi kar pa rahi hain larkian jaldi shaadi karna chahti hain par hoti nahi jo jaldbaazi kar rahe talak ka rate humare samne hai insan kahan jaye
Boys and girls should be encouraged to marry when they enter the complex phase of life marked by puberty, but it is essential for parents or guardians to ensure they have reached mental and emotional maturity and developed a strong sense of responsibility early on. Without this support, they may experience indulgence, frustration, and emotional disturbances that can negatively impact their lives and the lives of others.
Abhi bhe jo mothers hain wo apni thinking change kren halaat or mahool ko dekh k,, achy rishty na milna ek bht bara masla ban chuka hai iss mashrey ka ghr ghr jawan larkiyan hain jinky rishty nhe hurhy..mothers specially stress depression ki patient ban chuki hain.. apni soch ko badlaen West ko follow mat kren Islam, Muhammad Arabi صلی علی وآلہ وسلم ko focus or follow kren .. Sahi umer mein 17-20 saal ki umer mein apni bachiyon k rishty dhond k shaadiyan krden kbhi ye masla nhe aega K RISTY NHE AARAHY ACHY RISHTY NHE MIL RHY, Hm shaadi k lye ready hain Rista nhe mil rha ... mein apko likh k dy skta hoon apko apni bachi k rishty k pechy kbhi pareshan depressed nhe huna parega. Phir wahan naseeb ka role play hurha huga ..agr rarely kisi ka nhe hurha tu ..
Me 25 ki hogyi but acha behter rishta hi nhi mil rha kahin hisab hi nhi bna rha jb ki me khud chahti hu sahi umr me nikah krna chahiye..😢😢me toh shadi k liye ready hu but acha rishta nhi mil rha .. please mre liye dua kre mujhe behter shohar mile or jaldi se nikah hojye..or mri koi esi demand nhi ki ldka bht rich ho..bs deendar ho or educated ho .😢. allah mre haq me behter kre .. Ameen.. I'm from Delhi..
Ap in ki baton pe na jain yi sub ALLAH pak k hath main hy or Jo ALLAH ki Raza main razi rehty hain unky rasty kud bakud assan ho jaty hain😊
@@Araiz-v5t mre abbu h nhi or mri ammi mre liye 4-5 se rishta dhundh rhi h .kahin bnta hi nhi hisab .bs allah ka jb huqum jb hi hoga..🥺🥺mre liye dua krnaa... please me khud bhi bht krti hu wse.. allah qubool kre..
Same my situation yar mery father nhi or meri ammi bht sada hain bhai sochty nhi mai aik he sister hun. Phly soch nhi ati thi shadi ki mgr ab bhabiyon ny jeena dobhr krdia hai@@Muskan-zc2wl
@@Muskan-zc2wl inshaAllah bot behtreen ho ga AP apni nemax prhain or Sorah baqra ki tilawat ka mamool BNA lain, chahy 3 din main ya do din main Sorah khtm krain lkin Roxana zaror prhain AP kud apni ankhon se dekhain gi apni life main sakoon inshaALLAH
@@Araiz-v5t mene prhi thi surah baqrah kya hmesha prhti rhu...or namaz toh me prhti hu alhamdulillah..
i m married at 18+ kuch bhi possible nhi hota after marriage though i completed my whole education after marriage but it is tough
my elder daughter is completing her 14th year nd younger one is 10 + ,i gave birth to my 3rd daughter on 8 april 2024 but unfortunately she passed away after 12 hours of birth ,itsbeen 5 months but still struggling mentally nd physically
keep me in your prayers tha5 ALLAH Swt grant me sabr,ajr nd health
Are yrr thoda Hindi or urdu me comment kar diya kare sab English likh deti hai samjh nhi aata 😢
Ameen❤
May Allah give you strength and help you deal with your pain.
@@Gaon-k7e 😂😂😂
Apki kis age ma shadi hui and then delivery jo ap bata rahi kis age ma hui?
ہمارے سب بہترین نمونہ سیرت النبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلّم ہے
I'm 27 and my fiance is 22, we will get married next year, she asked me , she wants to continue her study after marriage and I asked her, as much as you want to carry your studies go for it. Because an educated woman can raise your kids in good manners and make the home liveable.
6saat saal zyada se zyada 9sal😉
Tlbn nay parhnay likhnay p pbandi lgadi nsal brhyngay 😏
Mlala larkyo ki taleem k lye shor krti thi isliay thokdia tha Akhroto nay👌
Nabi ne to 7 saal ki
Sita 6 saal ki hai@@adityapurohit8577
@@adityapurohit8577 Phir mn bolun terey bhagwano k barey but Merey Nabi Pak ny Ye kerney sy mana kia hy k kisi k religion py galat baat mat karo
Werna to 1 bv aur kitney patiiii
😢single waiting for marriage
The best message for "Girls" according to the Qur'an Kareem/حکم اللہٰی....
Do check my istigfar story
9 years as the age of Ayesha ?? And Husband age should be 55 ??
Madam humare yaha aaker dekho ek baar school college me 14-15saal ki ladkia zina karti hai woh bhi chupke nahi khule aaam samjo matlab pure school ko pata hota hai lekin jab maa baap shadi ka bolte hai toh education ka hawala deti hai or woh education ke naam pe roz school me boyfriend ke saat sab kuch hota hai joh husband wife ke liye jayaz hai or zahir baat hai jab unke desire pure ho raha hai toh shadi ki koe jarurat hi nahi hai, or jab zina ke side effects hone lagte hai zindagi me toh wohi ladki ke maa baap sabko bolte hai dekhi humari beti pe kisne kala jadu kiya hai acche riste hi nahi aate,
Agree
Aisi baat nahi hai. Kayee ladkiyan accha padti hai imadari se, magar ladko ko simple ladkiya nahi pasand hai. Woh well groomed, modern ladkiyan chahre
@@Curious1598 mera comment samjo phele maine kya likha hu aap ke samajne me hi galti hue hai, or jaha tak aap ne bola ladko ko simple ladki pasana nahi aati, uska jawab ye hai ladki koe product nahi hai or nahi unko ladko ko impress karne ke liye paida nahi kiya gaya hai, or jaha tak baat pasan ki hai meko ek mard batao jisko zina karne wali wife chahiye? wife toh sabko simple hi pasan hai lekin girlfriend (Rakhel) model chahiye bss ye farak hai
@@kraken6421 tumne ladkiyoun ka side bataya, ladkoun ka kya? Jisne barabar jurm Kiya hai! Uske ma baap nahi kehte kala jadu Kiya hai? Do hath se thali bajti hai. You have addressed a realistic issue, but have criminalised only women and men are just bloody innocent?
@@Curious1598 yaha baat ego ki nahi hai or nahi mai personally target kar raha hu, baat samaj ne ki hai Allah ne ghar ki izzat ladki ko banaya hai ladke ko nahi, or jaha tak baat gunaah ki hai toh sahi baat hai gunnah dono ko hai, lekin ladki ka gunnah uske baap bhai husband or son ko saat me jahhanum me lejata hai or ladke ka gunnh sirf usko jahhanum me lejata hai ye bhi toh fark hai na? hadith padi nahi hai shayad tumne
These days, women are more focused on the facilities a man can provide than his age for marriage. However, a woman should understand that no matter what the man's situation is, wealth doesn't matter. If the woman has talent, Allah will bless them both with a good life.
true
If the woman has talent or if the man?
If women is talented she'll not settle with an average guy
@@muhammadmafaz8530 redpill?
Billkul sahi kaha Aap Very good Sister
میں بھی تو اللہ کا بنایا ہوا اچھا انسان ہوں لیکن پیسے نہ ہونیکی وجہ سے 27میں ہوں اور شادی نہیں ہوئی کاش میری بھی کوئی ہمراز ہمسفر ہوتی ۔چلو میں اللہ سے بہترین کا یقین رکھتا ہوں جب وہ چاہے گا تو سب رکاوٹیں دور ہوسکتی ہیں
Sister you are doing great work for our society.
Assalamualaikum aap ne shi kha or me 33ki ho gyi hu sadi nhi kiya ab nokri lg gyi he lekin mujhe fibroid ho gya jiska operation krana pda ab Allah se dua kr rhi hun k bs sadi ho Jaye aap mere liye Allah sevdua kijiye plz😢
Allah Aap ko jald hi shifa ataa farmaye. AMEEN.
@@mindpowerenglishclasses4691 ameen Allah pak aap ki aasanea kereay
Allah apki preshani door farmaye 🤲
Everyone has their own journey their own consequences, it's good to get married early but it doesn't apply to all girls..... So it's totally depends on what's a good time for you that Allah has decided keep believing on his planning.
Totally agree with every sentence, every word.
Ye sab naseeb ki baat ha insan k ekhtiyar me nahi ha
Beshak
Ya esay hi ha jesay koi kahay k zehar kahnay say moot nahi Hoti
Kion k yah naseeb ki BAAT ha insan k ahtayar me nahi ha
Ab jesay Zaheer say bachna zaroori ha wesay hi Baki cheso say b bachna chahiyay na k apni zid laga k beth Jain
Baki me bohat say esay logo ko Janta hn Jin k old age me bachay huway Hain aur wo zehni tur pay mazoor Hain JB k UN k hi phlay bachay Jo jawani me huway Thay bilkul thek Hain lakin bad walay ya TU zahni mazoor hain ya koi nuks ha jesay gongay bahray 😢
Sab se bari baat humy apny deen ko daikhna chahue Hazrat Khadija ki shadi 40 years ki age me hui unko ALLAH ne aulad b ata farmaii or sehat mand b thee i just mean that k ap jotni b koshish kar lo jab tak ALLAH ka hukam na ho kuch nahi ho skata or aulad b ALLAH khukam se hote ha
@@amnahayakhan1183 AP shadi na Karna aur deakhna k Alad Hoti ha k nahi kion k Hazrat Marium AS ki hui thi
Ab ik BAAT ko base bana k theory nahi bana Leni chahiyay
Islam me jaldi shadi ka hukam ha
Ab is k bad Apnay falsfay pesh karnay band karain aur sub Kuch Allah pay na dalain
Insan ko kushish ka hukam ha jab tak insan kushish na karay TU Allah Tala b koi madad nahi kartay
exectly
Log yahan naseeb ki baat kr rahy hain bilkul sahi hai rishty asmaano pe banty hain magr usky lye kosish zameen pe krni parhti hai sahi waqt or sahi soch k sath .. jo ek natural age hai (is video mein inki baat ko smjhaen) shaadi ki larki ki jb uswaqt kosish na ki jae k abhi parh rhi hai abhi career build krna hai, choti hai wgra wagra,, tu bhaee phir naseeb pe malba mat dalein.. pehly ek qudrati nizam k against krna phir sara hisaab kitab NASEEB par dal dyna ... we need to change this thinking... ek banda jawani mein ibadat na kre or burhaa huky boly mery naseeb mein nhe thi jawani ki ibadat toufeeq nhe mili mjhy .. I hope people got my point ...
ما شاء اللہ ما شاء اللہ سو فیصد درست فرمایا اپ نے الحمدللہ❤❤❤ اوورسیز پاکستانی
خاتون ہمارے اور یورپیئن کلچر میں یہ مشہور مقولہ تھا پہلا حیض والد کے گھر میں دوسرا خاوند کے گھر میں۔
Well said, great content, we need such type of awareness, everyone Kindly promote
Allah pak hm sb ko hedyt dy or hr beti or bety k bht achy naseeb kry ameen Allah pak mere naseb b bht achy kry or jld mere liya bhtreen fesla frmye ameen jazakillah ❤
MashaAllah
میری جان آپ نے شادی کے بارے میں جو کچھ بتایا وہ بہت بہت قیمتی ہے
Apne 100% sai farmaya lekin husband or sasural supportive hoga ya nae is darr se pehle taleem ko tarjee deti hon q k boht si khawateen ko unhi bachon k sat safar krte huwe deka hai 😢
Are yrr shadi se pahle baat kar lo ghar walo se ki shadi baad mai padhoongi tabhi shadi karoongi bas
@@Gaon-k7ehmm right aur yeh bhi ke padne ka time bhi diya jayega
@@mysterious7639 tab kya yrr mere appi ki shadi 18 saal me hui thi shadi baad unhone padhai ki aaj woh apne sohar ke saath bahut hi Khush hai unke sohar apni biwi ki tareef bhi bahut karte hai
@@Gaon-k7eplease log jhoot bolte hai....I got divorced within a year do u know why ...usne kaha vaado ka kya h ek baar shaadi ho jae...and chale vaade na poore krta atleast jo uski hasiyat thi uske according to mjhe rakhta....ye soch kar ki ab shaadi ho gae hai jaise chahenge waise rakhenge...koi commitment poore nhi krenge....Aisa nhi hota plus mjhe alcohol pilane ki koshish ki etc ....aap chahe laakh baatein kr lo fact to yahi h na ache ladke h na achi ladkiya...
@@shaziakhan9808 kisne alcohol pilane ki koshish ki aapko
17 18 mein shadi krli bachay bhi hogaye lekin parhny ki ijazat na mly kuch seekhny ky liye mana krdya jaye tou kya kry woh lrki . Abb wesa zamana tou raha nhi h aik kamaye sbb khaye .bacho ko axhi zindagi kesy faraham krein
Practical life sbb ki same nhi hoti hai khushhalll 😢
Are yrr shadi se pahle baat kar liya jaye ki mere beti shadi baad padhna chahti hai bas
Ap education complete kr bhi len or kuch krny ki permission nhi mily ya bachon ki waja se tume nhi mily kuch krny k ley to kia karengi,
Behn mt do diyaan jisse jb krni h shadi kare...hume kya h un se.,.hum wohi karegy jo psnd h..shadi koi bdi cheez nhi h jo kbi nhi hoskti....career b bht zarori h is zamane k hisaab se....shadi tbhi hogi jb llikha hoga...ab kya hum bahir nikal kr ldko ko pasaye aur ghr laye ldke aur hojaye shadi...kch b dunia bolti h
6saat saal zyada se zyada 9sal😉
Tlbn nay parhnay likhnay p pbandi lgadi nsal brhyngay 😏
Mlala larkyo ki taleem k lye shor krti thi isliay thokdia tha Akhroto nay👌
@@mmkidsfunbymusfirahmusab79686saat saal zyada se zyada 9sal😉
Tlbn nay parhnay likhnay p pbandi lgadi nsal brhyngay 😏
Mlala larkyo ki taleem k lye shor krti thi isliay thokdia tha Akhroto nay👌
ماشاءاللہ تبارک اللہ بہت بہترین معلومات فراہم کیئے آپ نے جزا ک اللہ خیرا
Masha Allah sister❤👍
I agree with your opinion mam.
In our biradery (Maiwati) we married in our earlies age Like (17--23) maximum
Allah pak har ksii k liye asaniyan farmayein aur humein islam py chalne ki toufiq ata farmayen Ameen
Bilkul theek kaha...i agreed... lekin har insan ka apna aik time frame huta hay jis k mutabiq wo apni zindagi guzarta hay... meray khiyal mein dunun buhut aaham hein aur aik larrki k leye dunun apnein tume par ho janein chahiye...
Career is important, marriage is important, both are valuable. We cannot survive in this environment without career and marriage, so both are valuable.
Marriage is more important for a woman than career because Allah has not put financial burden on her. It's not her obligation.
Bhai apka tawwakul nhi hai shayad Allah per... Weak faith ki nishani hai ye... Allah ne mard per responsibility de hai finance ki... Or just say you want to live in luxurious life with your wifes money 😅
@@abdurrahmankhan1145 right bro
It's a woman's duty to get marry as soon as possible, and man to delay his marriage as long as he can.
@@shahidX8it is not about finances only ..and a women has all the right to educate herself in Islam specially in this generation..it is very important for her to become self reliant and self sufficient.
JazakAllah good information thanks
Assalamu alaikum from Assam India ❤❤❤
Great Explanation Sister, it's worth sharing to fix our society. That's the reason why village children are healthier than city children comparatively.
Inshaallah this year i will do nikah soon.
Simply. Good suggestion
Bht zabardast ❤👌
Bilkul sahi kaha? I read in science book , female 36 and above ki hone per , unka menstrual cycle (माहवारी) hone k physics process disturbed ho jata h , even excess 42 tak to band hi ho jata h ..... It means aap ko 36-42 age tak aate h child hone ki chances bahut kum ho jata h ?
Sister i 100 percent agree with you.
Marriage is a good way for both male and female sleep and love your video😍
Beshaq
Sahi kaha hai aapne❤
Great demonstration, and very beneficial if adopted by people
What is your qualification in deeni field
Yahan tk to docter sahiba ki baat theak h k jld nikkah sai gunnaho sai bchna asaan hota h mgr yai topic k shadi kis omar m krni chaheyai to yai kese K akhteeyar m blkul bhi nhi hai aur sb he chatai haien k shadi wqt pr hojae mgr larkeoun k aakhteeyar m to blkul nhi hota k jb chahaien tb shadi krlien logoun ki demands itni zada hoti haien k gori bhi ho ameer bhi ho khob sara jahaiz ho maa baap k paas dainai k leay aur dhoom dharaka bhi karein shadi pr, to yai demands to larkaien walien krtai haien, to phr aurat k haath m yai akhteeyar kahan hota h k wo jb chahai tb shadi hojae jaldi... Allah hm sb kai leay asaneeyan karien. Aameen summaameen!
Gareeb ladki b kaha himmat karti hai kisi gareeb ladke se shadi karne ki
@@sirajshaikh7892karti to hein aur sari zi dagi guzarti bhi hein?
Haay bichari Aurat pata nahi Ye Aurtein Shaadi karti hi kyu hain kyo nahi Ye Sirf Apni duniyavi education par focus karein aur fir apni job se shaadi karlein jisse ye Aadmi par bojh bhi nahi banegi Aazaad aur Khush bhi raheingi apni marzi se zindagi jiyeingi aur Shaadi ki tenshi bhi nahi rahegi aur inka Boss ya supervisor inke kaame se khush hokar inko acchi tankhwah bhi dega inki mazduri ki 😊
@@Cloudyy9900 accha to fir ye itni saari beshadishuda kunwariya kaha se aagayi ekdum se
@@coolerthetyrant7923 agar kisi ki shadi nahi ho rahi to wo Allah ki marzi he aur unko khilane wala Allah he wo kisi par bouj nahi
Bahen m appko baat ko like kartihu but Khadiza (r.z) n 40 sal k ummar m shadi kiya ......onn k toh sareei bacha healthy thi Alhamdulliah ❤ .
Toh please ... Rab k upper bhi yaqin rakhna chahhy .
Ibrahim (a.s) k bacha 80onwards hua Ismail a.s but o yoh healthy the....Alhamdulliah......please deeply read islam than say something.
A little knowledge intoxicated the mind!
Walaikum salam sister!
I'm 29 year old looking for mature decent religious wife, I'm not a materlistic perosn and have same expectation to my future partner. Please pray for me that Allah bless me with a good partner who bring peace in this life and for life after death. Akhira is more important than this dunia. A person could be satisfied in limited resource if he/she believe in Allah but marriage is half eman which more important than materlistic resources.
Thank you. Mera nikah door ki cxn se hogai and her age is 16 now I understood now. I want to marry her after 2 years when her age will be 18. Before this video I was worry about her and me but now I am so happy. I was thinkin if I marry her and plan for a baby then there will be some difficulties for her but no I was wrong.
Thank you ❤❤
You are absolutely right.... Sperm & ovam quality decrease with time....
We must make everyone educated
Excellent guidelines and advice form
You to girls
You did a great job.
Thanks a lot sister for highlighting an important point .
Very beautiful topic❤
Bht acha topic hai api ❤
اسلام علیکم 🙋
@@mukeemsiddiqui7998 walaikum ssalam
Very informative video MashaAllah ❤️
❤😊 Mashallah Boht Khoob 😊❤
❤🎉 Allah Pak Apko Sada Khosh Or Salamat Rakhy 🤲🌟
There is no best age for marriage it depends on the circumstances, not everyone's life and struggles are same
Great Mam! Really appreciated🙏
My dear sister shadi ka waqt muqarar hota hy ALLAH ki traf se. Jab ALLAH pak ka hukam hota hy tab hi shadi hoti hy ni to her parenta apny bachon k leay bot acha sochty hain or dosra bachy paida kr k orat ghr ko smabhaly bachon ko sambaly husbnd k husbnd k parents k kam kry ya apni education complet krny chli jay to ghr kasy time de, orat hy ya koi machine, to jab tak shadi ni hoti to career bnany main koi hrj ni or na apki bat main koi logic koi wazan ni q k main kud gwah hun 20 saal ki umer main shadi k bawjood mahzoor bachy or 31 saal ki age main shadi krny wali ki mashaALLAH 3 khoboorat or healty daughters, so plzzz try to make a useful and informative videos
finally someone sensible spoke up
I totally agree with you ,marriage and kids both are not in the hands of humans, but our society seems to ignore the fact.They want both according to them but that can never happen.
Exactly ase videos dekh k aur dar lagny lg jata hai aur tensn hojati hai shukar hai kisi ny hosle wali bat ki
@@Hinakhan2200 so true, actually people like her have a lot of time to through out their own frustrations and all kinda complexes in name of "discussion" especially such matters to gain attention, expecting that people will call them "intellectuals" and "saint" but in reality they are so dumb to speak about any topic let alone just such sensitive topics. Take a chill pill, Allah is the Controller of everything, no need to get triggered by such youtube content but unfortunately there is a lot on social media platforms and people get really anxious after listening to such crap. avoid it! Hold on to your own faith, opinions and wisdoms.
Koi na behen aap Allah pe bharosa rakhe . Aur jaha Tak baat hai shadi ka woh Jo jaab karna chahte hai taab karne do .. 15, 17, 20,30, 40... Age koi matter nhi hai shadi pe
Jitna muskil guzara heay aaj keay dour meay husband wife doonoo kam kareay geay tuo tima pass hoo gaa ab zyada log job wili lakki ko targeeh deteay hain bghare job keay rista milna mumkin nahi gher ka rent bills bachoo ki taleem sub keay leay paseay hona zaroori heay Allah pak sub ki bateeoo ka naseeb achaa kareay
Mashallah Outstanding massage
Absolutely right jzakallah khair sister
Apka mashwara bahtreen hai..
Subhanallah
Thanks for the information
Nice suggestions 🎉
Baat apne bilkul shi khi but hmare muasre me lagbhag10%sasural hi supportive hai... Aise me aurte saade ke baad bachhe aur ghar parivar me hi fs kr rah jaati h....
Carrer is important with the limitation of age
mentally disturbed etc etc etc saaaare Kaaran Reasons baad m.... FIRST SABSE PEHLE... nikaah AADHA DEEN e ISLAAM h... Ek Bohooot Bari SUNNAT h.... Alhamdulillaah !!
Mashallah sister bilkul sahi kaha
Mashallah good information ❤❤❤❤❤❤❤
Jazak Allah
Bahan mene kuch mahine pahle apse gujarish ki thi ap bhagwa love trap per bhi research kariye Or is topic per bhi vedio banaiye🙏 ap interfaith marriage per bhi vedio banaiye🙏
Ji Bilkul Sahi kaha aap ne Allah pak Sab ke liye behtar krege jin ki bhi problem hai rishte ki ya kuch bhi allah sab ki problem solve kren meri dua hai
Alhmd my sasural z v supportive. I did my B.Ed after mrrg, MA Eng after 2 kids n they still permit me to study as long as i wish.
Mujhe bss ek nek ladki chahiye jo samajhdaar, caring aur namazi ho.. aur jo mujhe Quran Sharif ache se pdhna aur smjhna v sikhaye bss aur kuch nhi chahiye..
Masha Allah sister.
Assalam alaikum
Mashallah sister Dua ki darkhast hai
I am from Indian 🕋🤲🤗🥰
Allah paak aap k moaqaam men izzatt men bht bht ziyadah izzaffaa farman dey Aameen .
Mere Rab mujh ko Deen daar shareeke hayath ata farmaiye aameen yarabbul aalameen 🤲
MashaAllaha, it was nice info sister
Excellent speech
Wa Alaikumussala-m wa rahmatulla-hi wa baraka-tuh.
Short summary: female marriage age is early 20s (before 25 years old) 18 19 years ok
Anytime between 18-25
Sahi kaha
Aapaa begum, aapa pasha, aapa jani! you are right.
Your views are appreciable, full of wisdom. I wish you too have got married earlier. May Allah bless you
Very nice Masha Allah
Waqt se pehle kisku kuch mila hai app ka life partner app ki phasli se bana hai allah jab banaya hai toh app tak pahucha bhi dega halal tarika appna ❤
Aslam o alakam g bilkul boohat achi video bani hay great topic
Ae baat sahi hai ki umar k rehte shaadi ho jani chahiye lkn unka kya jinko ache rishte nhi mil rahe hai koshish to bht karte hai fir b nhi mil rahe hai isliye umar badti jaa rahi hai hum kisi se b shaadi nhi kar sakte bina soche samjhe Allah ki jab marzi hogi tbhi hogi Allah has better plan for us Sirf Allah hi jante hai apne bando ko kya ata karna chahiye or kb ata karna chahiye Sabr rakhein or Allah pr tawakkul rakhein ..
Allah hum sab momin behno ka naseeb acha banaye Ameen
Ye such hai kay acha rishta(kam say kam apna ghar, gari, earning above 1 lac monthly) asani say milna mushkil hai.. Hazaar main say 50 afrad hi is requirement par pora utrain gay
Jb Allah Tala nay kismat main likha ho to tub he honi ha
Right
Shadi ke matter me apni marzi nahi chalti jab dhang ka rishta milta hai tab hi hoti hai
Right
People visions are never end
Do what pleases Allah .
Islamic preacher Debate section all over the world .👇🇸🇦
1. Mufti yaseer Nadeem al wajidi (englis/Urdu)
2. IRPC India (hindi/English)
3. Abuzar responds (all languages)
4. Zaid Patel (English/Urdu)
5. Smile 2 jannah(English/Urdu)
6. Qaisar Ahmed Raja (English/Urdu)
7. Basalat adam (Urdu/English)
8. Haneen mukhtar (Urdu/English)
9. Awaz e haq Official(all languages)
10. The Muslim mum(English)
11. The Muslim skeptic (English)
12. Farid responds(English)
13. Farhan Ahmed zia(English)
14. Awaz e haq (all languages)
15. Towards eternity Urdu(Urdu)
16. The Muslims mum(English)
17. Mc Razz(hindi/Urdu)
18. ISLAMIC awaking (hindi/Urdu)
19. Servant of Islam(hindi/Urdu)
20. Dawah wise(English)
21. Sam Dawah(English)
22. SK portal(Hindi/Urdu)
23. Aalami facts(hindi/Urdu)
24. Adnan rashed (English)
25. Haneen mukhtar(Urdu/)
26. Basalat adam(hindi/Urdu)
27. Towards eternity(English)
28. Alina Ali (Urdu)
29. Emaan Union (English/hindi/Urdu)
30. Ahmed Deedat(English)
31. Khalid Yasin(English)
32. Aasim iftekhar(Urdu/hindi)
33. Mohammed hijab(English)
34. West Dawah(English)
35. Ali Dawah(English)
36. Dawah over Duniya(English)
37. Decent muslims (all languages)
v.good
ماشاءاللہ
I’ve seen so many girls who got married at very early age but they don’t have kids and I have also seen some women who got married after 30 they have healthy babies 20 23 Saal ki larkian ivf se bhi conceive nahi kar pa rahi hain larkian jaldi shaadi karna chahti hain par hoti nahi jo jaldbaazi kar rahe talak ka rate humare samne hai insan kahan jaye
Boys and girls should be encouraged to marry when they enter the complex phase of life marked by puberty, but it is essential for parents or guardians to ensure they have reached mental and emotional maturity and developed a strong sense of responsibility early on. Without this support, they may experience indulgence, frustration, and emotional disturbances that can negatively impact their lives and the lives of others.
I agree 100%
Hamari khasusi dua h aap k liay Allah pak Aap s behter s behter deen kaa isslaah kaa kaam ley .
Abhi bhe jo mothers hain wo apni thinking change kren halaat or mahool ko dekh k,, achy rishty na milna ek bht bara masla ban chuka hai iss mashrey ka ghr ghr jawan larkiyan hain jinky rishty nhe hurhy..mothers specially stress depression ki patient ban chuki hain.. apni soch ko badlaen West ko follow mat kren Islam, Muhammad Arabi صلی علی وآلہ وسلم ko focus or follow kren .. Sahi umer mein 17-20 saal ki umer mein apni bachiyon k rishty dhond k shaadiyan krden kbhi ye masla nhe aega K RISTY NHE AARAHY ACHY RISHTY NHE MIL RHY, Hm shaadi k lye ready hain Rista nhe mil rha ... mein apko likh k dy skta hoon apko apni bachi k rishty k pechy kbhi pareshan depressed nhe huna parega. Phir wahan naseeb ka role play hurha huga ..agr rarely kisi ka nhe hurha tu ..
Absolutely right
No girl has looked at me in my life and I also feel shy looking at a girl.
How will I get married then? 😂
😂
Us❤
The best Educated Person in this world of Leadership qualities is Prophet Muhammad ibn Abdullah peace be upon him.
I am agree with you
Sara kusoor ana ka hai...or Kuch nhi..dekh kar achha rishta sahi waqt par kiya ja sakta hai❤
But ladkiyo ki priorities ladki hi jane❤
Sirf paisa...
@@yasirnizam3090to ap apne bhn ki saadi kr dena bikhari se