woh tafawutein hain mere khuda k yeh tu nahi koi aur hai k tu aasman pe, ho to ho, pai sar-e-zameen koi aur hai (tafawutein - doori,distance) woh jo raaste the wafa ke the,yeh jo manzalein hain, saza ki hain mera hamsafar koi aur tha, tera hamnashin koi aur hai (hamnashin - associate) mere jism-o-jaan mein tere siwa, nahi koi bhi doosra mujhe fir b lagta hai is tarah k kahin kahin koi aur hai main aseer apne gizaal ka, main fakir dashat-e-visaal ka jo hiran ko baandh ke le gaya woh Subuktageen koi aur hai (aseer - prisoner, gizaal - a beautiful deer, Subuktageen - Sultan Mahmood’s father) main ajab musafir-e-beamaan k jahan jahan b gaya wahan mujhe laga mera khaakdan yeh zamin nahi koi aur hai (musafir-e-beamaan - traveler without a shelter, khaakdan - world, sansaar) rahe bekhabar mere yaar tak, kabhi is pe shak kabi us pe shak mere ji ko jiski rahi lalk, woh kamar-jabin koi aur hai (kamar-jabin - mehboob, lover) yeh jo chaar din ke nadeem hain, unhe kya ‘Faraz’ koi kahe woh mohabattein, woh shikayatein, hame jis se thi koi aur hai (nadeem - friends)
وہ تفاوتیں ہیں میرے خدا کہ یہ تو نہیں کوئی اور ہے کہ تو آسمان پر ہو تو ہو یہ سر زمیں کوئی اور ہے وہ جو راستے تھے وفا کے تھے یہ جو منزلیں ہیں سدا کی ہیں میرا ہم سفر کوئی اور تھا میرا ہم نشیں کوئی اور ہے میرے جسم و جاں میں تیرے سوا نہیں اور کوئی بھی دوسرا مجھے پھر بھی لگتا ہے اس طرح کہ کہیں کہیں کوئی اور ہے میں اسیر اپنے غزال کا میں فقیر دشت وصال کا جو ہرن کو باندھ کے لے گیا وہ سبکتگیں کوئی اور ہے احمد فراز
woh tafawutein hain mere khuda k yeh tu nahi koi aur hai
k tu aasman pe, ho to ho, pai sar-e-zameen koi aur hai
(tafawutein - doori,distance)
woh jo raaste the wafa ke the,yeh jo manzalein hain, saza ki hain
mera hamsafar koi aur tha, tera hamnashin koi aur hai
(hamnashin - associate)
mere jism-o-jaan mein tere siwa, nahi koi bhi doosra
mujhe fir b lagta hai is tarah k kahin kahin koi aur hai
main aseer apne gizaal ka, main fakir dashat-e-visaal ka
jo hiran ko baandh ke le gaya woh Subuktageen koi aur hai
(aseer - prisoner, gizaal - a beautiful deer, Subuktageen - Sultan Mahmood’s father)
main ajab musafir-e-beamaan k jahan jahan b gaya wahan
mujhe laga mera khaakdan yeh zamin nahi koi aur hai
(musafir-e-beamaan - traveler without a shelter, khaakdan - world, sansaar)
rahe bekhabar mere yaar tak, kabhi is pe shak kabi us pe shak
mere ji ko jiski rahi lalk, woh kamar-jabin koi aur hai
(kamar-jabin - mehboob, lover)
yeh jo chaar din ke nadeem hain, unhe kya ‘Faraz’ koi kahe
woh mohabattein, woh shikayatein, hame jis se thi koi aur hai
(nadeem - friends)
نہایت قابل داد۔
عمدہ کلام
وہ تفاوتیں ہیں میرے خدا کہ یہ تو نہیں کوئی اور ہے
کہ تو آسمان پر ہو تو ہو یہ سر زمیں کوئی اور ہے
وہ جو راستے تھے وفا کے تھے یہ جو منزلیں ہیں سدا کی ہیں
میرا ہم سفر کوئی اور تھا میرا ہم نشیں کوئی اور ہے
میرے جسم و جاں میں تیرے سوا نہیں اور کوئی بھی دوسرا
مجھے پھر بھی لگتا ہے اس طرح کہ کہیں کہیں کوئی اور ہے
میں اسیر اپنے غزال کا میں فقیر دشت وصال کا
جو ہرن کو باندھ کے لے گیا وہ سبکتگیں کوئی اور ہے
احمد فراز
Amazing man great poet
Wah
Kiya baat ha
Zindabaad
Kya kehne