Muhasra | Ahmad Faraz | Lutfe Sukhan

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 20 сер 2021
  • mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
    ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
    fasil-e-shahr ke har burj har manare par
    kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
    wo barq lahar bujha di gai hai jis ki tapish
    wajud-e-KHak mein aatish-fishan jagati thi
    bichha diya gaya barud us ke pani mein
    wo ju-e-ab jo meri gali ko aati thi
    sabhi durida-dahan ab badan-darida hue
    supurd-e-dar-o-rasan sare sar-kashida hue
    tamam sufi o salik sabhi shuyuKH o imam
    umid-e-lutf pe aiwan-e-kaj-kulah mein hain
    moazzazin-e-adalat bhi half uThane ko
    misal-e-sail-e-mubarram nashista rah mein hain
    tum ahl-e-harf ki pindar ke sana-gar the
    wo aasman-e-hunar ke nujum samne hain
    bas ek musahib-e-darbar ke ishaare par
    gada-garan-e-suKHan ke hujum samne hain
    qalandaran-e-wafa ki asas to dekho
    tumhaare sath hai kaun aas-pas to dekho
    so shart ye hai jo jaan ki aman chahte ho
    to apne lauh-o-qalam qatl-gah mein rakh do
    wagarna ab ke nishana kaman-daron ka
    bas ek tum ho so ghairat ko rah mein rakh do
    ye shart-nama jo dekha to elchi se kaha
    use KHabar nahin tariKH kya sikhati hai
    ki raat jab kisi KHurshid ko shahid kare
    to subh ek naya suraj tarash lati hai
    so ye jawab hai mera mere adu ke liye
    ki mujh ko hirs-e-karam hai na KHauf-e-KHamyaza
    use hai satwat-e-shamshir par ghamanD bahut
    use shikoh-e-qalam ka nahin hai andaza
    mera qalam nahin kirdar us muhafiz ka
    jo apne shahr ko mahsur kar ke naz kare
    mera qalam nahin kasa kisi subuk-sar ka
    jo ghasibon ko qasidon se sarfaraaz kare
    mera qalam nahin auzar us naqab-zan ka
    jo apne ghar ki hi chhat mein shigaf Dalta hai
    mera qalam nahin us duzd-e-nim-shab ka rafiq
    jo be-charagh gharon par kamand uchhaalta hai
    mera qalam nahin tasbih us maballigh ki
    jo bandagi ka bhi har dam hisab rakhta hai
    mera qalam nahin mizan aise aadil ki
    jo apne chehre pe dohra naqab rakhta hai
    mera qalam to amanat hai mere logon ki
    mera qalam to adalat mere zamir ki hai
    isi liye to jo likkha tapak-e-jaan se likha
    jabhi to loch kaman ka zaban tir ki hai
    main kaT girun ki salamat rahun yaqin hai mujhe
    ki ye hisar-e-sitam koi to giraega
    tamam umr ki iza-nasibiyon ki qasam
    mere qalam ka safar raegan na jaega
    sarisht-e-ishq ne uftadgi nahin pai
    tu qadd-e-sarw na bini o saya-paimai
    مرے غنیم نے مجھ کو پیام بھیجا ہے
    کہ حلقہ زن ہیں مرے گرد لشکری اس کے
    فصیل شہر کے ہر برج ہر منارے پر
    کماں بہ دست ستادہ ہیں عسکری اس کے
    وہ برق لہر بجھا دی گئی ہے جس کی تپش
    وجود خاک میں آتش فشاں جگاتی تھی
    بچھا دیا گیا بارود اس کے پانی میں
    وہ جوئے آب جو میری گلی کو آتی تھی
    سبھی دریدہ دہن اب بدن دریدہ ہوئے
    سپرد دار و رسن سارے سر کشیدہ ہوئے
    تمام صوفی و سالک سبھی شیوخ و امام
    امید لطف پہ ایوان کج کلاہ میں ہیں
    معززین عدالت بھی حلف اٹھانے کو
    مثال سائل مبرم نشستہ راہ میں ہیں
    تم اہل حرف کہ پندار کے ثناگر تھے
    وہ آسمان ہنر کے نجوم سامنے ہیں
    بس اک مصاحب دربار کے اشارے پر
    گداگران سخن کے ہجوم سامنے ہیں
    قلندران وفا کی اساس تو دیکھو
    تمہارے ساتھ ہے کون آس پاس تو دیکھو
    Ahmad Faraz | Muhasra | Mera Qalam To Adalat Hai Mere Logon Ka | Ahmad Faraz Poetry | Mushaira |Ghazal | Ahmed Faraz | Ahmad Faraz Nazm | Sad Poetry | Ahmad Faraz Nazam | Ahmad Faraz Shayari | Urdu Shayari | Urdu Nazm | Urdu Nazam | Urdu Ghazal | Urdu Poetry | Bashir Badar |احمد فرازؔ | Hindi Shayari |Ahmad Faraz Shayari | Heart Touching Shayari | Shayari Whatsapp Status | Sad Shayari | Urdu Hindi Shayari | Sad Poetry | Romantic Poetry | Urdu Poetry Collection | Jashn e Rekhta
    #Muhasra
    #AhmadFaraz
    #MeraQalamToAdalatHaiMereLogonKa
    #AhmadFarazGeet
    #AhmadFarazGhazal
    #AhmadFarazNazm
    #AhmadFarazPoetry
    #AhmadFarazNazam
    #AhmadFarazShayari
    #UrduShayari
    #UrduNazm
    #UrduNazam
    #UrduGhazal
    #UrduPoetry
    #AhmadFaraz
    #احمدفرازؔ
    #HindiShayari
    #AhmadFarazHindiKavita
    #AhmadFarazShayari
    #HeartTouchingShayari
    #ShayariWhatsappStatus
    #SadShayari
    #UrduHindiShayari
    #AhmadFaraz
    #LutfeSukhan
    #LutfeSukhan
    #LotfeSukhan
    #LotfSukhan
    #LutfSukhan
    #LutfeSokhan
    #AhmadFaraz
    #BestSongs
    #Lyrics
    #Mushaira
    #AhmadFaraz
    #AhmadFarazMushaira
    #AhmadFarazMushaira
    #AhmadFarazMushaira
    #DaghDehlviMushaira
    #JashneRekhta
    #Mushaira
    #BestPoetryWithLyrics
    #TeraChupRahna
    #BreakUpPoetry
    #SadPoetry
    #LovePoetry
    #AttitudePoetry
    #MotivationalPoetry
    #IndianPoetry
    #WoHumsafarTha
    #HameshaDerKarDetaHunMain
    #AhmadFarazAttitudePoetry
    #HumDekheinge

КОМЕНТАРІ • 54

  • @perwinsaeed3007
    @perwinsaeed3007 Місяць тому +12

    آ جکل کے مطابق ہے

  • @AdabWalay
    @AdabWalay 3 дні тому

    بہت عمدہ! بہت خوبصورت انداز ہے۔

  • @ahsannaqvi9546
    @ahsannaqvi9546 Місяць тому +4

    سبحان اللہ، اسوقت کے حالات کی بہترین تصویر کشی

  • @waheeduss
    @waheeduss 5 місяців тому +11

    This is relevant today, on January 13th, 2024, the Black Day of the Supreme Court when PTI had their electoral symbol taken away.

    • @AbdulRaheem-tx2zo
      @AbdulRaheem-tx2zo Місяць тому

      To day ,s situation is too better than that time poem

  • @sahiguru4913
    @sahiguru4913 Місяць тому +5

    So true about today..Kaanjir munira

  • @obaidmirza45
    @obaidmirza45 Рік тому +10

    Kya baat he سبحان اللہ

  • @besmart7569
    @besmart7569 Рік тому +10

    Still a reality of the world !

  • @thefuntrap5792
    @thefuntrap5792 2 роки тому +9

    ke raat jab kisi khurshid ko shaheed kare
    to subh ik naya suraj tarash laatei hai.

    • @khadijahkhan6296
      @khadijahkhan6296 Рік тому +3

      Arshed sharif nay yeh nazm parhi hai issi liye iss ko search kartay kartay yaha tak pounch gayi

  • @MZohaib
    @MZohaib 2 роки тому +11

    we can relate this in this era

  • @khurshidnaturopath
    @khurshidnaturopath 3 дні тому

    مزاحمت کا استعارہ ھے فراز۔جو اپنے جہد قلم سے امر ھو گیا

  • @redstar1287
    @redstar1287 5 місяців тому +4

    Wah. Faraz Sahab

  • @HammadAhmad701
    @HammadAhmad701 Місяць тому +3

    ان شاءاللہ آپ کے قلم کا سفر رائگاں نہیں جائے گا ❤

  • @WaqasAli-zi8dk
    @WaqasAli-zi8dk 5 місяців тому +3

    Word to word so true these days even, Faraz undoubtedly was a great and brave poet❤

  • @mohammadshakeel6168
    @mohammadshakeel6168 2 роки тому +6

    Bahut Khoob

  • @palmshaikh813
    @palmshaikh813 Місяць тому

    I wish we have more people in Pakistan who believe and can act on his message.

  • @irfanbutt2007
    @irfanbutt2007 Рік тому +4

    Excellent poetry 👌

  • @saleemahmed3956
    @saleemahmed3956 Рік тому +3

    Bahut khoob
    Bahut ache tarike se vedio banaya h. 👌

  • @tauseefanjum1623
    @tauseefanjum1623 20 днів тому

    Bhhhht umda .....Kya kahtay fraz sb ....May his soul rip

  • @bashirmuhammad8136
    @bashirmuhammad8136 Місяць тому

    Without music his original nazm is the best

  • @mahfoozelahi7608
    @mahfoozelahi7608 Місяць тому +1

    My Favorite of all time

  • @imranmohammad3965
    @imranmohammad3965 6 місяців тому +5

    UNBELIEVABLY TRUE AND ITS HAPPENING RIGHT NOW 👍🫡🫡🫡🫡🫡🫡✌️✌️✌️🇵🇰✅

  • @user-pb2hq8ju3h
    @user-pb2hq8ju3h Місяць тому

    ❤ Bismilla Haq Beshak Saww Bismilla ❤

  • @livestatus8607
    @livestatus8607 2 роки тому +7

    Amazing Poetry Thanks for This Video.

  • @sajidshah7088
    @sajidshah7088 3 місяці тому +2

    مُلک و ملت کے غداروں نے کیا کیا ظلم کئے ہیں

  • @parimaha7342
    @parimaha7342 Місяць тому +2

    ❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

  • @user-tj6bs2uf9i
    @user-tj6bs2uf9i 2 місяці тому +1

    You're loved !!

  • @MuhammadKhalid-yo4xb
    @MuhammadKhalid-yo4xb 2 місяці тому +1

    Excellent

  • @dildil2062
    @dildil2062 2 роки тому +4

    Nice post

    • @LutfeSukhan
      @LutfeSukhan  2 роки тому +1

      Thanks

    • @dildil2062
      @dildil2062 2 роки тому

      @@LutfeSukhan u must seen this - ua-cam.com/video/hh7TJOpfnaQ/v-deo.html
      👆

    • @LutfeSukhan
      @LutfeSukhan  2 роки тому +1

      Great

    • @dildil2062
      @dildil2062 2 роки тому +1

      @@LutfeSukhan subscribe for more updates

  • @Individual.advertisement
    @Individual.advertisement 3 місяці тому

    This poem is very relevant even to this day.

    • @AbdulRaheem-tx2zo
      @AbdulRaheem-tx2zo Місяць тому

      To day s situation is too better than erra of Zia regime

  • @chaudhrysaddique9788
    @chaudhrysaddique9788 Місяць тому +1

    ساٹھ کی دہائی ہو یا ستر کی اسی کی دہائی ہو پھر نناوے کی کم وبیش ایک جیسے ہی حالات تھے پاکستان کے۔
    اب سال تو 2024 کا ہے لیکن سیاسی اور ملٹری کے حالات تو وہی ہیں۔ جب تک فوج اپنے اصل کام پر نہیں جاتی تب تک کچھ بھی نہیں بدلے گا۔ چین سے کچھ امید لگی تھی لیکن اب تائیوان کے نو منتخب صدر نے امریکہ کی شہہ پر جو بڑھکیں ماری ہیں ان کی وجہ سے چین کے صبر کا پیمانہ لبریز ہو گیا ہے۔ لہٰزا اس سے بھی اب توقع نہیں رہی چونکہ وہ تو تائیوان کی جنگ میں مصروف ہو جائے گا جس کی پشت پر امریکہ کھڑا ہے جس کا کاروبار ہی جنگیں کروانا ہے۔

  • @user-fo1gc9to6k
    @user-fo1gc9to6k Місяць тому +2

    Faraz ki Nazmein ho yaHabib Jalib ya kisi aurSarhadi Shaair hi Keyon nahi ho, aik baat Saaf zaahir hoti hai keh aik Aazad Fizaa mein saans lene ki qawhish ka izhar zaher hota hai. Sawal ye paida hota hai keh Aazaad Fizaa se kiya Murad hai ?

  • @shahzebanwar
    @shahzebanwar 4 місяці тому +3

    9th Feb 2024, we are still in the same time. We learn nothing from History.
    USAY KHABAR NAHI TAREEKH KIA SIKHAATI HAI

    • @LutfeSukhan
      @LutfeSukhan  4 місяці тому

      True

    • @AbdulRaheem-tx2zo
      @AbdulRaheem-tx2zo Місяць тому

      To day,s situation is too better than erra of Zia regime hence it can not be associated present tome

    • @thefluffybunny5083
      @thefluffybunny5083 Місяць тому

      Today is much worse​@@AbdulRaheem-tx2zo

  • @alfazalarts
    @alfazalarts Рік тому +6

    قلم کی تڑ تڑ تڑ اتنی بھیانک ہوتی ہے کہ بندوقوں والے ہڑبڑا کر کوئی نا معقول قدم اٹھا لیتے ہیں