mene meri maruti suzuki s-pesso lovato e-go cng sequence kit me try kiya . zatke maar rahi thi and low speed pe band ho ja rahi thi. 2ns switch on kr di ab bahot hi achhi chal rahi hai.. band bhi nahi ho rahi hai and zatke bhi nahi aa rahe. mere 1500 rs bacha diye aapne.. thank you bhai
Very deeply explained in details , Its most beneficial video on youtube regarding CNG pickup issue of all the vehicle , Definately going to save money for a silly problem . Thanks for Sharing .
सर मेरी गाड़ी पेट्रोल पर सही चल रही है सीएनजी पर गाड़ी बंद हो रही है बार-बार क्या करूं परेशान हूं सबको दिखा चुका हूं मैकेनिक को किसी को फोल्ड पकड़े नहीं आ रहा है
Maine sanskari channel ki video dekhi thi aapse phele ki thi vo usme itna ache se explained nhi kiya tha ye topic jaise aapne kiya acha laga meri new santro mein hai ye problem dekhte hai aapki trick se baat banegi ki nhi
Meri wagon r k series 2011 model company fitted cng hai,jo abhi aapne bataaye woh problem mujhe aa rahe hai...isme bhi yeh advancer laga hota hai aur yeh karne se problem solve ho jaayega ?
Bro Maine Eon car me CNG sequential kit 3 saal pahle lagaya hai. Gaadi petrol pe start honeke 10 second baad gas pe aati hai. Lekin jab gas pe aati hai tab smoothly convert nahi hoti. Gaadi zatka deti hai ya band padta hai. lsliye usko vapas start karke ke aur proper race karne ke baad/rukne baad, gaadi gear me uthana padta hai. Mera question hai ki yeh problem software related hai ya kuch mechanical problem hai ? kya iska time badha de petrol to gas ? Lekin isme risk yeh hai ki gaadi traffic me ya road pe band pad jayega. Hence please advise. Thanks!
Wow kya mast video banaya hai sir ji.. Maine bahot search kiya magar etna detail mai kisine nahi bataya. Question;- mere pas wagon r 2008 wala model hai jo 4 cylinder wala hai. Mere mechanic ne Timing advancer ckp based 711 type (2 pin) ka install kiya. Now mere car me advancer ke andar preset ke pas ek red color ki Led hoti hai wo jalti nahi hai ( Led is tased on multimeter it shows okay). Mechanic bolta hai old car mai Led nahi jalti. I think wo zut bol raha hai. Please aap muze es case mai advice karo kya problem ho sakta hai. Thank you Sir
Hello Mere pass swift lxi 2010 model h jisme m cng kaphi time se use kr raha hu mane mechanic se khaphi baar setting bhi karai h pr vo khate h ki engine hood m ko problem something tapet tight h, iske baare m aap kuch bta sakte h
Sir Hyundai Venue 1.2s varient me Blu gas ka kit , 3 switch advancer ke saath lagaya hai. Gaadi petrol me 35000km run ho chuki hai. Abhi CNG lagaya hai. Advancer me kaunsa kaunsa switches on Rakhna hai? Gaadi 1200-1500 rpm ke beech bahut jhatka maarti hai. Ye advancer ke bina bhi hota hai. Kya karna chahiye sir..?
Alto K10 me motozen kit par advancer HR ka hai. Yahi problem aa rahi hai. Kya mujhe advancer motozen ka lagana chahiye. Ya settings se baat ban jayega. Check engine ka sign baar baar aa raha hai
Sir mere gadi celerio cng hai usme missing ki problem hai 40k chali hai 2020 model hai pulg chang karwadiye tohkal body bhi clean karwa Chuka hu injotor clean ho gye hai phir bhi problem solve nhi ho rhi hai
Sir ji mera swift desire 2011 ka model hai usme lovato kit laga hua hai gadi highway per acchi chalti hai lekin traffic main low rpm per band pad jati hai iska kuch solution batata de
Sir meri car celerio zxi (2017) hai aur usme mijo ka cng kit 2022 November Mai lagvaya tha but lagvane ke 1 mahine bad car zatke Marne lgi aur 2nd gear pe jyada jor se Marne lgti hai AC lgne ke bad bhi zatke marti hai 2nd gear pe jor se vibrate hoti hai to sir uske liye kya Kiya Jaye ? Can I contact with u sir ? Thank you 🙏
sirji mere pass swift vxi 2012 hai usme ac me breake pedal bahut hard ho raha hai kya problem hai pls bataiyega & michenick kah raha hai ki booster ka problem hai aur koi kahta hai ki isme vacuum ka problem hai pls pls bataiyega dhanyavad aapka sir ji jai hind
Sir meri Celerio car me motozen lagwayi hai last month but abhi do din se jab morning me start karte hai tab start hoti hai or 20-30 sec me band ho jaati hai.Fir uske baad wapis start karke mai thoda accelerate karta hu to cng pr aa jaati hai tab koi dikkat nahi. Ye keval tab hota jab morning me first time start karte hai. Please advise.
@@pdwagh33 bhai automatically change ho jaati hai petrol se cng me, jab normally start karte hai to ek kilometer ke andar hi change ho jaati hai. Or koi jhatka bhi nahi feel hota hai. Bas do din se jab morning me first start karta hu to start hoke band ho jaati hai. Fir accelerate karta hu thoda aur fir normal rehti hai. Uske baad din me kitna bhi start karo koi dikkat nahi. Lekin pehle to morning me bhi araam se start ho jaati thi.
@@APcarBHP sir jii isme kya karu ki ye problem nhi Ayegi yhi sab problem h jo aaap ne video me bataai meri Gaadi jhatka pickup our mileage bhi nhi de rahi h 🙏🙏🙏kya karu pls baato
Bhai,My car is ertiga 2020 model, LOVATO C-OBD2 kit installed with Motozen advancer.Now my car KM reading is 18000,which switch should be on and which switch should be off.please tell me.
Sir Tata Tigor BS4 ki advancer ki setting btaye plz low race pr zhatke le rhi h. CNG kit motozen h.race chhodne p or race dene p bhi zhatke le rhi h. Plz reply.
Sir meri gadi 18000 km chali h venue h manual motozen ki cng kit h squwal kit badiya wali morning me petrol to cng convert hoti h tab jatka leke band hoti h Or traffic me second gear par nahi uthti band hoti h ab aap ka video dekha to advancer ko khola motozen ka advancer laga h aapne bata tha 2 batton milege meri wali me 3 h Or 1 .2. Off the 3 wala upar kiya hua tha fitment walo ne ab me kya karu kon se niche karu kon se upar karu ya 1.2nd ko upar kardu 3rd ko off kardu. Batao 🙏pls
Mere pass alto k10 he sir ,,usme TA ki squncial cng kit he usame jab car start karta hu to petrol me se cng me convert hoti he to bhand hone jane ka problem hota he to apne jo setting batai vo karuga to thik ho sakta he sir???? Pls reply me.. me bahut paresan hu..
New cng installation Kari he bs6 wagonr me 1.2 model... Cng kit mijo...par next day se jhatke le Rahi he chalte chalte, auto off nhi ho Rahi he ....tho kya kar sakte he
Mere pass jo advancer hai usme 3 switch hai PANDA sird red light hi ati hai setting kar k dekha no any green line ... to kya advancer bigda hua hai ....??
Sir chevrolet beat mein advancer lg skta hai kya? Mene motozen ki kit lgwayi hai, per installer ne advancer ni lgaya, keh rha tha isme ni lgta. Please suggest
M.S. Astar car cng pe chalate samay AC on karne par gaadi speed breaker par rukh jaati hain . Engine par kaafi pressure aa jata hain. Same petrol mein aisa nahi hota hain. Kabhi kabhi accelerator dabane par bhi gaadi accelerate nahi hoti hain. Kya kare. Kya dino switch ON kare.
Sir meri santro 2011 car he. Bumper pe second gear jate teti he. Or ac garm car garm hoti he to jatke deti he. Petrol proper chalti car Car pickup proper he. Please help.
Meri i10 100 ka hi average de rhi thi jabki 220 k around average tha uska advancer khrab hogya tha , ab maine change karwaya hai , and problem solved. But ek cheez compromise hogyi , phle jo usme advancer tha stag tap01 ₹8000, ab uske motozn ka hai joki 500 se 2000 tak bechte hai market main.
Sir meri gadi abhi lee h to meine usme cng full or petrol 1000 dalwaya ab start krte smya petrol pe hoti h uske baad cng per but 10 day mein cng to khatam hui saath mein petrol be aisa kyu iske kiya kre
Tried in my Wagon R 2012 model, 102650 kms done, now no jerk, but how long will these settings remain, asking just for knowledge, thanks a lot for nice information.
@@blacklisted0909 I just saw that both the switches of advancer were off, then I switched on both of them and then also adjusted the setting of advancer to approx 60-70 % which was not otherwise (it was approx 50%), then driven the car for 2-3 kms at single stretch for three times, thereby completed approx 10 kms total and switched off the engine and took out the keys from ignition after every 2-3 kms of ride for approx 2-3 minutes. Now the car is awesome, even on CNG I am able to park is reverse in my home, earlier I was unable to do the normal parking while CNG on, but was compelled to change over to Petrol. Hope you understood.
Instagram पर फॉलो जरूर करे।
instagram.com/apcarbhp?igshid=MzNlNGNkZWQ4Mg%3D%3D
सर आपके इस वीडियो से बहुत ज्यादा मुझे फायदा हुआ, आपका बहुत बहुत धन्यवाद इस ज्ञान के लिए
मैं अब आपने दिये निर्देशन के मुताबिक सेटिंग करके देखुंगा और मेरा अनुभव शेअर करुंगा l
Honda city VX 2014, 18000 Km , Lovato kit
बहोत उपयुक्त जानकारी 👍
mene meri maruti suzuki s-pesso lovato e-go cng sequence kit me try kiya . zatke maar rahi thi and low speed pe band ho ja rahi thi. 2ns switch on kr di ab bahot hi achhi chal rahi hai.. band bhi nahi ho rahi hai and zatke bhi nahi aa rahe. mere 1500 rs bacha diye aapne.. thank you bhai
bhai 2 din chali theek se vapas zatke marne lagi hai
बहुत acchi जानकारी दी आपने, मैं कल ही try krta hu ritz 16 model me, 80 से उपर नहीं जाती वो भी लाइट फुट से जाती है, खिंचने पर झटके मारती है
Problem sort hua apka?
Sir pahcle 2 mahine se presan Tha kafi mistri ku dikha li par problm sahi nahi hui apki vedeo se sole ho gai sir thank you sir
Bhai thank you
Mera problem thik ho gaya
2015 celerio amt me
Badi khubsurti se bata ho bhai ap aur apke pas real knowledge bhi hai ye apke baat karne k tarike se pata chalta hai keep it ap
@@devthakur509 आभार ठाकुर साब।😊
@APcarBHP apka bhi abhar aur khush rahe ap aise hi knowledge dete rahe aur apka channel khub tarakki kare
Very deeply explained in details , Its most beneficial video on youtube regarding CNG pickup issue of all the vehicle , Definately going to save money for a silly problem . Thanks for Sharing .
Glad you liked it
सर मेरी गाड़ी पेट्रोल पर सही चल रही है सीएनजी पर गाड़ी बंद हो रही है बार-बार क्या करूं परेशान हूं सबको दिखा चुका हूं मैकेनिक को किसी को फोल्ड पकड़े नहीं आ रहा है
Hamari Alto gadi ki pareshani dur hue very good video
बहुत ही शानदार एवं सटीक जानकारी
Knowledge is light which can remove any darkness. Thanks for video
Sir, I feel like meeting you someday & hug you, you're so amazing and have amazing knowledge about CNG
Good information
Sir mere pass esteem Gadi hai, sab setting normal hai, par second gear me bahut jatka leti hai, kya problem ho sakta hai.
Clin MAF sensor
Sir mera Gadi EON 2011 ka hai par inka Advancer pin kon sha rakhu jara bataye please sir vo AC me dabati hai aur milleg bhi kam hai please reply sir
Sir 3 cylinder gadi celerio me bhi ye apply kr sakte h kya model 2019 ka h
Meri 2017 ki wagon r company fitted CNG hai to
Ye advancer sub ko hota hai kya
Maine sanskari channel ki video dekhi thi aapse phele ki thi vo usme itna ache se explained nhi kiya tha ye topic jaise aapne kiya acha laga meri new santro mein hai ye problem dekhte hai aapki trick se baat banegi ki nhi
Bhai problem solve Hui?
Meri wagon r k series 2011 model company fitted cng hai,jo abhi aapne bataaye woh problem mujhe aa rahe hai...isme bhi yeh advancer laga hota hai aur yeh karne se problem solve ho jaayega ?
Bro Maine Eon car me CNG sequential kit 3 saal pahle lagaya hai. Gaadi petrol pe start honeke 10 second baad gas pe aati hai. Lekin jab gas pe aati hai tab smoothly convert nahi hoti. Gaadi zatka deti hai ya band padta hai. lsliye usko vapas start karke ke aur proper race karne ke baad/rukne baad, gaadi gear me uthana padta hai. Mera question hai ki yeh problem software related hai ya kuch mechanical problem hai ? kya iska time badha de petrol to gas ? Lekin isme risk yeh hai ki gaadi traffic me ya road pe band pad jayega. Hence please advise. Thanks!
Sir bahut acha video hy mare gadi me sir yhi problem kl kr ke dekhte hy
Nice, now I got to know about I was looking for to fix this problem since a month back.
Wow kya mast video banaya hai sir ji.. Maine bahot search kiya magar etna detail mai kisine nahi bataya.
Question;- mere pas wagon r 2008 wala model hai jo 4 cylinder wala hai. Mere mechanic ne Timing advancer ckp based 711 type (2 pin) ka install kiya. Now mere car me advancer ke andar preset ke pas ek red color ki Led hoti hai wo jalti nahi hai ( Led is tased on multimeter it shows okay). Mechanic bolta hai old car mai Led nahi jalti. I think wo zut bol raha hai. Please aap muze es case mai advice karo kya problem ho sakta hai.
Thank you Sir
Sir tata zest hey a/c me traffic me bandh ho rahihay
Hello
Mere pass swift lxi 2010 model h jisme m cng kaphi time se use kr raha hu mane mechanic se khaphi baar setting bhi karai h pr vo khate h ki engine hood m ko problem something tapet tight h, iske baare m aap kuch bta sakte h
Please let me know that advancer rate is included in kit price or separate
sir mujhe nissan magnite main cng lagwani hai iska authorisation kab tak ayega aur ismein konsi kit lagwani chahiye
Sir meri gadi 2010 santro xing usme kaunsa advancer legega. Please app bataye
Motozen/mijo
Sir meri gaddi cng kit k controller me 3 swich he 1,2&3 kon sa off krna kon sa on on krna
Kya dusri car ki cng utrva ke dusri var me lagva sakte h kya
Well explained and problem sorted out....
Thanks bhai aapki jankari bahut kam I
Kuv 100 Mahindra mein sucessful hai advancer pls reply
Sir Hyundai Venue 1.2s varient me Blu gas ka kit , 3 switch advancer ke saath lagaya hai. Gaadi petrol me 35000km run ho chuki hai. Abhi CNG lagaya hai. Advancer me kaunsa kaunsa switches on Rakhna hai? Gaadi 1200-1500 rpm ke beech bahut jhatka maarti hai. Ye advancer ke bina bhi hota hai. Kya karna chahiye sir..?
Meri mahindra kuv main break bahut kam lagti hai kya cng ki setting karani padegi
Alto K10 me motozen kit par advancer HR ka hai.
Yahi problem aa rahi hai.
Kya mujhe advancer motozen ka lagana chahiye. Ya settings se baat ban jayega. Check engine ka sign baar baar aa raha hai
Very good information thanks bhai saab
Very Nice Bro.👌💐
Sir meri i10 1.2 kaapa hai abhi filhal mene SANIT COBRA KA lagwaya hai kya sahi lagwaya hai plz jaldi batana sir
This really works, hope this will not impact engine performance on long term
Sir mere gadi celerio cng hai usme missing ki problem hai 40k chali hai 2020 model hai pulg chang karwadiye tohkal body bhi clean karwa Chuka hu injotor clean ho gye hai phir bhi problem solve nhi ho rhi hai
Bhai same issue aa rha h aapne kya krwaya.
very nice i have polo 1.2 cng after 5 km 2 gear me band padati hi sequacial kit hi advancer nahi hi pl help
My advancer Has 3 pin .. Which should be On and Off
Hyundai venue turbo GDI SX naya kaun si CNG kit lagegi
Sir ji mera swift desire 2011 ka model hai usme lovato kit laga hua hai gadi highway per acchi chalti hai lekin traffic main low rpm per band pad jati hai iska kuch solution batata de
Thank you sir this video excellent information
Sir Wagon R cng 8 years old, start hone k baad petrol se automatic cng per nhi aa rhi, kya dikkat h scanning bhi karwa li gaadi
Honda amaze zavoli cng kit agar last ki setting map sensor se bhi problem solve nahi ho rahi ho to kya karna chahiye..
Reply dena
Main samjha nhi ji aapka question.
Sir advancer ki setting kar di yake bad map sensor bhi kar diya plug change kar diya fir bhi pickup na le rahi ho to kya karna chahiye
Triber Rxl me CNG kit kis company ka lagaye
Bhai sahab mere pass i10 2012 hai low lick up hai AC main to bilkul mat hi jati hai.....advancer lagane ke baad performance kaisi rahegi
Performance improve hoga
Sir meri car celerio zxi (2017) hai aur usme mijo ka cng kit 2022 November Mai lagvaya tha but lagvane ke 1 mahine bad car zatke Marne lgi aur 2nd gear pe jyada jor se Marne lgti hai
AC lgne ke bad bhi zatke marti hai
2nd gear pe jor se vibrate hoti hai to sir uske liye kya Kiya Jaye ?
Can I contact with u sir ?
Thank you 🙏
Bhai Volkswagen Vento mey advancer lag jata hai or not??
भाई साहब जानना हे की टोयोटा हाईराइडर बेस माडल में कोन सी सीएनजी लगवाना चाहिए
company fitted cng ho to kya kare ?
Sir cng gadi khadi rakhake ac laganeke bad direct zatke deti hai or RPM pura dwn hota hai temprator or engeen chake light ata hai
Sir ye setting normal kit ke liye hai ki sequential kit ke liye pls reply
sirji mere pass swift vxi 2012 hai usme ac me breake pedal bahut hard ho raha hai
kya problem hai pls bataiyega
& michenick kah raha hai ki booster ka problem hai aur koi kahta hai ki isme vacuum ka problem hai pls pls bataiyega dhanyavad aapka sir ji jai hind
Which model no. of Motozen ckp is suitable for brand new 2021 Triber Renault.
710 or 711
,710
Very clearly explained ..good hard work done before advising
Sir meri Celerio car me motozen lagwayi hai last month but abhi do din se jab morning me start karte hai tab start hoti hai or 20-30 sec me band ho jaati hai.Fir uske baad wapis start karke mai thoda accelerate karta hu to cng pr aa jaati hai tab koi dikkat nahi. Ye keval tab hota jab morning me first time start karte hai. Please advise.
No issue
@@APcarBHP Ok thank you sir for your advise
@@APcarBHP cng car me P0171 and P0420 error engine check light aa rha hai ..koi solution bataye sjr
Neeraj bhai Subah gadi 5km tak petrol me chalana chahiye
@@pdwagh33 bhai automatically change ho jaati hai petrol se cng me, jab normally start karte hai to ek kilometer ke andar hi change ho jaati hai. Or koi jhatka bhi nahi feel hota hai. Bas do din se jab morning me first start karta hu to start hoke band ho jaati hai. Fir accelerate karta hu thoda aur fir normal rehti hai. Uske baad din me kitna bhi start karo koi dikkat nahi. Lekin pehle to morning me bhi araam se start ho jaati thi.
बहुत अच्छा भाई सहाब iiiiiii
Bhai pls reply pls bhai 🙏🙏🙏🙏🙏Meri car cng tata indigo ecs h yahi problems h kya usme ye kit fit hoga
Kaunsa kit dubey ji?
@@APcarBHP sir jii isme kya karu ki ye problem nhi Ayegi yhi sab problem h jo aaap ne video me bataai meri Gaadi jhatka pickup our mileage bhi nhi de rahi h 🙏🙏🙏kya karu pls baato
Fuel trimming chack kraaye laptop se agar baki sab kraa ke dekh liya ho to.
Bhai,My car is ertiga 2020 model, LOVATO C-OBD2 kit installed with Motozen advancer.Now my car KM reading is 18000,which switch should be on and which switch should be off.please tell me.
Reply please
Apki swift mein motozen lgi h iska kaisa response h ?
Grand i10 mein MOTOGEN kaisi rhegi pls btaye
Response is quite good
@@APcarBHPBRC kit kahi bhi nhi mil rhi to aap konsi suggest kroge grand i10 mein
Konsi kit lagvau??
Sir Tata Tigor BS4 ki advancer ki setting btaye plz low race pr zhatke le rhi h. CNG kit motozen h.race chhodne p or race dene p bhi zhatke le rhi h. Plz reply.
Same to same problem in my tiago
Sirji factory fitted car is also required to install Advancer?
Apki gadi me sir konsi cng kit lagaie hain
Sir meri gadi 18000 km chali h venue h manual motozen ki cng kit h squwal kit badiya wali morning me petrol to cng convert hoti h tab jatka leke band hoti h Or traffic me second gear par nahi uthti band hoti h ab aap ka video dekha to advancer ko khola motozen ka advancer laga h aapne bata tha 2 batton milege meri wali me 3 h Or 1 .2. Off the 3 wala upar kiya hua tha fitment walo ne ab me kya karu kon se niche karu kon se upar karu ya 1.2nd ko upar kardu 3rd ko off kardu. Batao 🙏pls
क्या vaporiser type LPG किट मे भी advancer लगता है?
Mere pass alto k10 he sir ,,usme TA ki squncial cng kit he usame jab car start karta hu to petrol me se cng me convert hoti he to bhand hone jane ka problem hota he to apne jo setting batai vo karuga to thik ho sakta he sir????
Pls reply me.. me bahut paresan hu..
New cng installation Kari he bs6 wagonr me 1.2 model... Cng kit mijo...par next day se jhatke le Rahi he chalte chalte, auto off nhi ho Rahi he ....tho kya kar sakte he
Mere pass jo advancer hai usme 3 switch hai
PANDA
sird red light hi ati hai setting kar k dekha no any green line ... to kya advancer bigda hua hai ....??
Sir mere paas 2020 ka cargo me hai isme advancer kaha pe laga hota hai
Xcent main kaunsa advancer thik rahega? Dynamic or Statics?
Hyundai i20 model 3800km chalihy CNG my advansar lagwaliya hy firbhi dab rahi hy ky kary
Ye static advanser hai ya dynamic
Bro.. meri gadi Chandigarh register hai..kya cng kit mujay Chandigarh se hi lagwani pdegi ..ya kisi b state se lgwa skta hu???
Alto k10 70000 km driven.. Sir kya setting hogi
क्या Moto Zen किट में advancer प्रदान करती है या इसे अलग से खरीदा जाता है
Sir chevrolet beat mein advancer lg skta hai kya? Mene motozen ki kit lgwayi hai, per installer ne advancer ni lgaya, keh rha tha isme ni lgta. Please suggest
Plz kisi dusre installer se contact kre aur bole
I have hyundai xcent after running in cng excitation padell not work ignition off then on speed up properly what is fault
M.S. Astar car cng pe chalate samay AC on karne par gaadi speed breaker par rukh jaati hain . Engine par kaafi pressure aa jata hain. Same petrol mein aisa nahi hota hain. Kabhi kabhi accelerator dabane par bhi gaadi accelerate nahi hoti hain. Kya kare. Kya dino switch ON kare.
My Wogan r sem problem he aapne dono switch on karke Trai kiya ??
Bhai rc pe bs4/bs6 likha hai.. what does it means.. it come undee bs4 or bs6.. kya cng lag sakti hai...please do reply
Mere pass 2016 ki second hand car hai to cng pe A.c one karta hu to car jatka leti hei to kya kare please bataye
बहुत अच्छी जानकारी मिली आप से
बाकी लोग बकवास पेलते ह
टाइम खराब करते ह
Are sir yahi sari problem company fited cng car me ho to kya kre bta dijiye
Aap intelligent ho. Well educated
Sar jis gadi mein bhi vvt ha is mein advance lagane ki jarurat hoti hai
Sir grand i10 zavoli kit lagai hai lekin bar bar check engine light blink karti hai to koi solution batao, please
2022 model cng dzire hai isme Maine new head lagwa Diya fir v mileage shi nhi ho rha please help
Mai bahot paresan hu aapko agr knowledge hai to muje help kren
Sir meri santro 2011 car he. Bumper pe second gear jate teti he.
Or ac garm car garm hoti he to jatke deti he.
Petrol proper chalti car
Car pickup proper he.
Please help.
I10 sportz 2011 model hai rpm up down ho rha hai thortal or spark plug Cheng kar diye fir v up down kar rha hai. Koi upaye btaiye
Sir wagon r cng 2008 model he isme advancer use kar sakte he kya ???
Yes
@@avanishchoudhary6083 konsa?
@@YashThorat28 motozen b thik h ya loveto ka
@@avanishchoudhary6083 cobra ka accha he kya idhar motozen aur lovato nahi he
@@YashThorat28 aap mechanic ke pas jao aur advancer lagvao aur gadi ki drive lonagar fark lagta h to thik h verna ise vapas kar deve
Sir mere Alto K10 mai jhatke ate hai kya karu? Please help..
Campani fitted eeco ka addevancer kidher hota hi video bano do please ❤❤
Hinda amaze pahle 195 kai around deti thi, abhi 90 dai rhi hai...any suggestion ?
Meri i10 100 ka hi average de rhi thi jabki 220 k around average tha uska advancer khrab hogya tha , ab maine change karwaya hai , and problem solved. But ek cheez compromise hogyi , phle jo usme advancer tha stag tap01 ₹8000, ab uske motozn ka hai joki 500 se 2000 tak bechte hai market main.
@@chandrashekhar5687 Advancer lgane kai baad acceleration main farq aaya hai..but avg still wesa hi hai, kya kru av?
Sir meri gadi abhi lee h to meine usme cng full or petrol 1000 dalwaya ab start krte smya petrol pe hoti h uske baad cng per but 10 day mein cng to khatam hui saath mein petrol be aisa kyu iske kiya kre
Sir my car celerio low rpm pe bhand hoti he aur average bhi Kam hogaya hai pls help
Tried in my Wagon R 2012 model, 102650 kms done, now no jerk, but how long will these settings remain, asking just for knowledge, thanks a lot for nice information.
Kya kiye apne
@@blacklisted0909 I just saw that both the switches of advancer were off, then I switched on both of them and then also adjusted the setting of advancer to approx 60-70 % which was not otherwise (it was approx 50%), then driven the car for 2-3 kms at single stretch for three times, thereby completed approx 10 kms total and switched off the engine and took out the keys from ignition after every 2-3 kms of ride for approx 2-3 minutes. Now the car is awesome, even on CNG I am able to park is reverse in my home, earlier I was unable to do the normal parking while CNG on, but was compelled to change over to Petrol. Hope you understood.
@@SunilSharma-wz7lh thanks bro
@@SunilSharma-wz7lh gazzab bro ... !! Meri gaadi to abhi petrol pe missing le rahi h honda city zx ... Maybe emulator wiring kharb h!!
Sir red light jo jaldi hai wo kab jalegi ya band hogi uska bhi batao sir