Houston (USA) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira
Вставка
- Опубліковано 1 січ 2025
- Rahat Indori Books - amzn.to/32vaVvN
Gulab khwab dawa zahar jaam kya kya hai
Main aa gaya hu bata intezam kya kya hai
Fakir shah kalandar imam kya kya hai
Tujhe pata nahi tera gulam kya kya hai
-
Naye safar ka naya intezaam keh denge
Hawa ko dhoop charagon ko shaam keh denge
Kisi se haath bhi chhupkar milaiye warna
Ise bhi maulvi sahab haraam keh denge
-
Loo bhi chalti thi to wo baad-e-saba kehte the
Paanv failaye andheron ko ziya kehte the
Unka anjaam tujhe yaad nahi hai shayad
Aur bhi log the jo khud ko khuda kehte the
-
Suraj sitare chand mere sath me rahe
Jab tak tumhare hath mere hath me rahe
Shakhon se toot jaye wo patte nahi hain hum
Aandhi se koi keh de ke aukat me rahe
-
Kabhi mehek ki tarah hum gulon se udte hain
Kabhi dhue ki tarah parbaton se udte hain
Ye kainchiyan hume udne se khaak rokengi
Ke hum paron se nahin hauslon se udte hain
-
Lave diyon ki hawa me uchhalte rehna
Gulon ke rang pe tezab dalte rehna
Main noor banke zamane me fail jaunga
Tum aftab me keede nikalte rehna
-
Ab apni rooh ke chhalon ka kuch hisaab karu
Main chahta tha charagon ko aaftab karu
Us aadmi ko bas ek dhun sawar rehti hai
Bahot haseen hai duniya ise kharab karu
Ye zindagi jo mujhe karzdar karti rahi
Kabhi akele me mil jaye to hisab karu
-
Jhoothon ne jhoothon se kaha hai sach bolo
Sarkari elaan hua hai sach bolo
Ghar ke andar jhoothon ki ek mandi hai
Darwaze par likha hua hai sach bolo
Guldaste par yakjahti likh rakha hai
Guldaste ke andar kya hai sach bolo
Ganga mayya doobne wale apne the
Naav me kisne chhed kiya hai sach bolo
-
Siyasat me zaruri hai rawadari samajhta hai
Wo roza to nahi rakhta par aftari samajhta hai
Achanak bansuri se dard ki lehren ubharti hain
Guzarti hai jo Radha par wo Girdhari samajhta hai
-
Khushk dariyaon me halki si rawani aur hai
Ret ke niche abhi thoda sa pani aur hai
Ek kahaani khatm karke wo bahot hai mutmayin
Bhool baitha hai ke aage ek kahaani aur hai
Jo bhi milta hai use apna samajh leta hu main
Ek bimari mujhe ye khandani aur hai
Boriye par baithiye kulhad me pani pijiye
Hum qalandar hain hamari mezbani aur hai
-
Ye barf raate bhi bankar abhi dhuan ud jaye
Wo ek lihaf main odhu to sardiyan ud jaye
Bahot guroor hai dariya ko apne hone par
Jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jaye
Hawayein baaz kaha aati hai shararat se
Saro pe hath na rakhein to pagdiyan ud jaye
Rahe khayal ke mazzub e ishq hain hum log
Agar zameen se phuke to aasman ud jaye
Bikhar bikhar si gayi hai kitab sanson ki
Ye kagzat khuda jane kab kaha ud jaye
-
Charagon ko uchhala ja raha hai
Hawa par raub dala ja raha hai
Mere jhoothe gilason ki chakha kar
Behekton ko sambhala ja raha hai
Na haar apni na apni jeet hogi
Magar sikka uchhala ja raha hai
Hamin buniyad ka patthar hain
Lekin humein ghar se nikala ja raha hai
Janaze par likh dena yaaron
Mohabbat karne wala ja raha hai
-
Andar ka zahar choom liya dhul ke aa gaye
Kitne shareef log the sab khul ke aa gaye
Suraj se jung jeetne lage the bevakuf
Sare sipahi mom ke the ghul ke aa gaye
-
Ye alag baat ke khamosh khade rehte hain
Phir bhi jo log bade hain wo bade rehte hain
Aise darveshon se milta hai hamara shijra
Jinke juton me kai taj pade rehte hain
-
Mujhme kitne raaz hain batlaun kya
Band ek muddat se hoon khul jaun kya
Ajizi minnat khushamad ilteja
Aur main kya kya karu mar jaun kya
Ek patthar hai wo meri raah ka
Agar na thukrau to thokar khau kya
Tere jalse me tera parcham liye
Sekdon laashein bhi hain ginwau kya
Phir jagaya tune soye sher ko
Phir wahi lehja darazi aau kya
-
Agar khilaf hain hone do jaan thodi hai
Ye sab dhuan hai koi aasman thodi hai
Lagegi aag to ayenge ghar kai zad me
Yahan pe sirf hamara makaan thodi hai
Hamare munh se jo nikle wahi sadakat hai
Hamare munh me tumhari zabaan thodi hai
Main janta hoon ke dushman bhi kam nahin lekin
Hamari tarah hatheli pe jaan thodi hai
Jo aaj sahib e masnad hain kal nahin honge
Kirayedar hain zati makaan thodi hai
Sabhi ka khoon hai shamil yahaan ki mitti me
Kisi ke baap ka Hindostan thodi hai
#RahatIndori #rahatkishayari
❤