Це відео не доступне.
Перепрошуємо.

Mere Ghaziع ki Nigah me Hai Jalale Haiderع || at Thatta || Poetry by Falak Zehra Rizvi

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 10 вер 2022
  • COMPOSITION: SYED MOAZZAM ALI KAZMI
    Poetry by Falak Zehra Rizvi
    LYRICS:
    Mere Ghaziع ki nigah me hai jalale haiderع
    Mera Abbasع sarapa hai misale haiderع
    Chah gaya banke zamane pe wafaon ka khuda
    Esi hoti hai Musalmano dua_e_Haiderع
    Har kisi ko kahan milta hai ye ishqe Haiderع
    Pak naslon ki zamanat hai wilaye Haiderع
    Chahe Abbasع ho Zainabع ho Ya 11 hon imamع
    Sabke kirdar me shamil hai adaye Haiderع
    Ek Mohammadص ka Mohammadع ek Aliع ka Hai Aliع
    Mere Shabirع ko ghaziع hai Ataye Haiderع
    Sara Quraan Qaseeda hai Aliع mola ka
    Rab ne kuch bhi to nhi likha siwaye Haiderع
    In Aliع walon ko marun to me marun kese
    Inko Allah ne rakha hai baraye Haiderع
    Bole turbat me Farishte ye Falak Humko suna
    Tune Likhi thi Jo dunya me sanaye Haiderع
    #falakzehrarizvi #labbaikyahussain #karbala #arbaeen #labbaikyaabbas

КОМЕНТАРІ • 387