Tere Ishq Ki Inteha | Muhammad Samie | Official Video | 4k
Вставка
- Опубліковано 24 лис 2024
- Short Sufi Spells (Chapter 2) - The Eighteenth Spell
TERE ISHQ KI INTEHA | MUHAMMAD SAMIE
======================================
Singer: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Allama Iqbal | Abdul Hamid Adam | Mirza Ghalib | Ibrahim Zauq | Jigar Muradabadi | Hari Chand Akhtar | Hafeez Jaunpuri | Bedam Shah Warsi | Seemab Akbarabadi | Fani Badayuni | Wahshat Kalkatvi | Muhammad Samie
======================================
AUDIO CREW:
Music Production: J Ali
Music Direction: J Ali & Muhammad Samie
Harmonium: Muhammad Samie
Tabla: Israr Dildar
Violinists: Muhammad Ilyas, Amjad Ali, Ghulam Ali
Clarinet: Jafar Hussain
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
======================================
VIDEO CREW:
Director: Muhammad Samie
Video Concept: Muhammad Samie
Cinematographer: Suleman Shah
Post-Production: Suleman Shah
Lighting Production: Ahmed Mustafa Studio
Focus Puller: Bilawal Ahsan
BTS DoP: Muhammad Omer
Production Assistance: Light & Grip Production
Art Work & Wardrobe: Muhammad Samie
Production House: Heaven & Hades Productions
A Short Sufi Films’ Presentation
======================================
© 2023 - Short Sufi Spells
© 2023 - Short Sufi Films
======================================
Follow Samie on:
UA-cam: / muhammadsamie
Facebook: / msamieofficial
Instagram: / samie_muhammad
Twitter: / muhammadsamie
Official Website: www.muhammadsa...
======================================
LYRICS:
Khirad-mandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai
Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai
Tere ishq ki inteha chahta hun
Na shohrat na sarwat na mehraab-o-mimbar bas ..
Tere ishq ki inteha chahta hun
Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho
Tere ishq ki inteha chahta hun
Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq
Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez
Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi
Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hun
Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh
Mein aap ka samna chahta hun
Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi
Kya farz hai keh sab ko mile aik sa jawab?
Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki
Rakha hai us ne wa’ada-e-deedar hashr par
Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki
Keh mein aap ka samna chahta hun
Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga
Jahannam ho keh jannat jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
Keh mein aamna samna chahta hun
Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan
Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath
Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahin
Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath
Mein aamna samna chahta hun
Yeh roz-e-hashr hai malik savaalon par bhi aa jana
Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana
Keh mein aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bada be-adab hun saza chahta hun
Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu
Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu
Bada be-adab hun saza chahta hun
Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir?
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila
Bada be-adab hun saza chahta hun
Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla
In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge
Bada be-adab hun saza chahta hun
Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki
Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki
Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki!
Bada be-adab hun saza chahta hun
Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga
Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga?
Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga
Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga
Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga
Bada be-adab hun saza chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Keh main aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
#MuhammadSamie #TeraIshqKiInteha #ShortSufiSpells #ShortSufiFilms
*VERSES BY ALLAMA IQBAL*
Khirad-mandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai
Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hun
Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bada be-adab hun saza chahta hun
Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh
*VERSES BY ABDUL HAMID ADAM*
Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan
Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath
Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahi
Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath
Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir?
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila
*VERSES BY MUHAMMAD SAMIE*
Na shohrat na sarwat na mehraab-o-mimbar
Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq
Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye
Yeh roz-e-hashr hai maalik savaalon par bhi aa jana
Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana
Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga
*VERSES BY IBRAHIM ZAUQ*
Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu
Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu
Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla
In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge
*VERSES BY MIRZA GHALIB*
Kya farz hai ke sab ko mile aik sa jawab?
Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki
Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki!
*VERSES BY JIGAR MURADABADI*
Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga
Jahannam ho ke jannat jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
*VERSES BY HARI CHAND AKHTAR*
Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga
Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga?
Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga
Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga
*VERSES BY HAFEEZ JAUNPURI*
Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki
Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki
Rakha hai us ne wa’ada-e-deedar hashr par
Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki
*VERSES BY BEDAM SHAH WARSI*
Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi
Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin
*VERSES BY SEEMAB AKBARABADI*
Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi
*VERSES BY FANI BADAYUNI*
Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez
Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
*VERSES BY WAHSHAT KALKATVI*
Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho
Lajawaab Sami Bhai👌👍
❣️❣️
Masha Allah 😀
MashaaALLAH Nice ALLAH Pak bless you more...
زبردست سمیع صاحب
Here’s the Translation in English 😁😁😁
Khirad-mandon se kya poochun - What should I ask the wise?
keh meri ibtida kya hai? - Tell me, what is my beginning?
Ke main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai - For I dwell in this thought, what is my limit?
Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love
Na shohrat na sarwat na mehrab-o-mimbar bas .. - Neither fame, nor wealth, nor pulpit and sermon, just..
Tere ishq ki .. Tere ishq ki - Your love... Your love
Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love
Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad - The one who is captured by you is the only one free
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho - The one you set free will never be free
Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love
Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq - Whenever reason gave me the deception of logic
Ishq aaya hai mujhe raah dikhane ke liye - Love has come to guide me on the path
Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love
Meri sadgi dekh kya chahta hun - Look at my simplicity, what do I desire?
Tere ishq ki inteha chahta hun - I desire the limit of your love
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko - May paradise be blessed for the ascetics
Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez - You, the preacher, couldn't show me my paradise
Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri - Come, walk in the alley of the beloved and see my paradise
Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarar nahi - Even reaching heaven does not give me peace
Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin - This is not another place, it is the abode of the beloved
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko - May paradise be blessed for the ascetics
Keh main aap ka samna chahta hun - For I desire to face you
Mana keh teri deed ke qabil nahin hun mein - I admit that I am not worthy of your sight
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh - See my passion, see my anticipation
Mein aap ka samna chahta hun - I desire to face you
Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai - It is evident that this world is full of deception
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi - You will attain divinity, not servitude from us
Kya farz hai keh sab ko mile aik sa jawab? - Is it necessary that everyone receives the same answer?
Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki - Come, let us also visit Mount Sinai
Rakha hai us ne waada-e-deedar hashr par - He has kept the promise of meeting on the Day of Judgment
Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki - The heart of the patient has received a good punishment
Keh main aap ka samna chahta hun
(I want to face you)
Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
(We know, listen to me, what will happen in the Day of Judgment)
Sab us ko dekhte hon ge wo ham ko dekhta hoga
(Everyone will look at him, he must be looking at us)
Jahannam ho keh jannat jo bhi hoga faisla hoga
(Whether it is Hell or Heaven, whatever it may be, there will be a decision)
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
(What is our worth compared to theirs, and we will have to face them?)
Keh mein aamna samna chahta hun
(I want to face you)
Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan
(Since the story of Adam and the Creator began)
Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath
(Every faithful person is connected with an unfaithful one)
Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahin
(Do we have any enmity with the saints?)
Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath
(There is a slight difference between the servant of God)
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
(Oh Adam, whatever the outcome may be on the Day of Judgment!)
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath
(We will have open conversations with God)
Mein aamna samna chahta hun
(I want to face you)
Ye roz-e-hashr hai maalik savaalon par bhi aa jana
(This is the Day of Resurrection, O Lord, come even with questions)
Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana
(Let me have a glimpse of you, O soul of my beloved)
Keh main aap ka samna chahta hun
(I want to face you)
Tere ishq ki inteha chahta hun
(I desire the limit of your love)
Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
(I revealed the secret in a crowded gathering)
Bada be-adab hun saza chahta hun
(I am very impudent, I want punishment)
Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu
(Do not scorn the ruined state of a carefree person)
Tujh ko paraai kya parhi apni naberh tu
(Why do you care about others? Reflect on your own flaws)
Bada be-adab hun saza chahta hun
(I am very impudent, I want punishment)
Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir?
(Sir, what incident occurred in the end?)
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila
(I have heard that you did not find God even in the Kaaba)
Bada be-adab hun saza chahta hun
(I am very impudent, I want punishment)
Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jaaenge
(Now, fearing death, they say that we will die)
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jaaenge
(If even after death, we don't find peace, then where will we go?)
Zauq jo madrase se ghar ke liye laaye thay
(The taste that we brought from the seminary to our homes)
Chhodh ke shahar mein aaye to kidhar jaaenge
(Leaving the city, where will we go?)
Bada be-adab hun saza chahta hun
(I am very impudent, I want punishment)
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
(What is our worth compared to theirs, and we will have to face them?)
Keh mein aamna samna chahta hun
(I want to face you)
Tere ishq ki inteha chahta hun
(I desire the limit of your love)
Great effort I read it all .
👑you dropped this.
Thanks A Lot Dear Many Difficult Urdu Words Covered by this ❤
Great effort Masha Allah ! Can you translate the last couplet or stanza ?
Thank you so so so much. Bless you!
کتنی خوش نصیب ماں کے بیٹے ھیں آپ ماشاءاللہ❤
You convinced me,legend
Allama Iqbal (5 couplets)
Abdul Hamid Adam (4 couplets)
Muhammad Samie (3 couplets & 1 verse)
Mirza Ghalib (2 couplets)
Ibrahim Zauq (2 couplets)
Jigar Muradabadi (2 couplets)
Hari Chand Akhtar (2 couplets)
Hafeez Jaunpuri (2 couplets)
Bedam Shah Warsi (1 couplet)
Seemab Akbarabadi (1 couplet)
Fani Badayuni (1 couplet)
Wahshat Kalkatvi (1 couplet)
Stay Tuned for Detailed Poetic References :)
السلام علیکم
Thanks alot Sir
For this kalam
Huge respect
کیفیت عطا ہوتی رہے
, تعلق میں استقامت رہے
آمین ❤
Upload a short also
Muhammad Samie bhai bss Love u so much...kabhi aap sy milny ki saadat naseeb ho yr 😢 badly wanna meet uuuuu
This is should be named میں آپ کا سامنا چاہتا ہوں
Teri deedh hogi tohi meri eidh hogi mere ALLAH 🤗
Crying + smiling + goosebumps = the power of Kalam recited by Muhammad Samie sir 🤍
Same 😮
No doubt about it❤️🩹
ua-cam.com/video/OctewnjGB0w/v-deo.html
Exactly ❤
Same
"Tere Ishq Ki Inteha" mein divangi ka gehra ehsaas hai. Muhammad Samie ki ruhani aur dilfareb adaon ke saath, ye geet sunne walon ko roohani safar mein le jata hai. Is geet ke dilchasp bol aur unki tadap bhari awaz se, Sufi shayari ke asli rang ubharte hain. Sufi sangeet ke deewano ke liye, yeh geet ek anmol chamak hai.
بھائی پلیز ایک بار آپکی طرف سے شکوہ اور جواب شکوہ اور ہو جائے 😍
kamal ki farmayesh ki hai
Yess
Aap ki farmaish se dil kush hogue bahi
واقعی میں بہت مزہ آئیگا ❤❤❤
Please 🥺❤
bhai bohat dino baad aisey awaz or lyrics sone hai mashallah.....good choice
جسے عشق کی معراج پر جانے کا شوق ہو وہ اِس کلام کو ایک بار سن لے❤❤
کیا ہی کہنے سمیع بھائی😍
G bilkul essa hy he 💯
Beshaq
Is moukam tuk ponchenay k lia bout Kuch kerna hota ha or wasay B ya God gifted ha
@@FarkhandaJabeen-h9z acha theek hai samaj gaya
ماشاءاللہ
نصرت صاحب کے بعد آج آپ کی آواز نے سکون دیا ھے
اللہ پاک آپ کو سلامت رکھے۔
Bilkull qasam sa
آمیں
یہ روزِ حشر ہے مالک سوالوں پر بھی آ جانا🙏🏼
ذرا دیدار تو کر لوں تیرا اے روئے جانانہ🙏🏼
Ameen Suma ameen
Insha Allah
عقل نے جب بھی دیا مجھ کو فریب منطق
عشق آیا ہے مجھے راہ دکھانے کیلئے
❤❤❤
Bhoot khoob ❤️🙏
جو گرفتار تمہارا ہے وہی ہے آزاد۔۔۔جس کو آزاد کرو تم کبھی آزاد نہ ہو۔۔۔۔۔۔۔۔💝💝💯💯♥️♥️Amazing
کیا زبردست گایا ہے۔ سمیع جیتے رہو۔ الله پاک اپ کو صحت کے ساتھ لمبی زندگی عطا فرمائے اور مزید کامیابیاں نصیب ہوں۔ امین۔
One of the Plateforms where we can listen the real depth of "Ishq e haqeeqi "
No doubt
Exactly
Wa MashaAllha 🕌💚
یہ جنت مبارک رہے زاہدوں کو
کہ میں آپ کا سامنا چاہتا ہوں
MashAllah sir what a Masterpiece ❤❤❤
جو جو بھائی سے شکوہ و جواب شکوہ چاہتا ہے وہ ووٹ کرے
اور کمنٹ کے رپلائے میں شکوہ جواب شکوہ لکھ دے ...
میں
Shikwa jawabe shikwa
یس
دیکھا جائے تو میرے پاس کچھ بھی نہیں ہے
اک دل ہی تھا جو آپ کو نزرانہ کر دیا
😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭
دور جدید میں نسلوں کو عشق حقیقی کی شناخت کروانے کا تہ دل سے شکریہ
رب العالمین آپ کو دنیا ؤ آخرت میں کامیاب فرمائے
آمین یا رب العالمین
پھر سے شکریہ بھائی جان 🥹
Wah wah kia awaz hy masha Allah kalame iqbal ka haq ada kr dia .
Iqbal ka kalam parhny k liy iqbal jesa dil chahey jo ap ky pas hy..mashaAllah
Excellent 1st time itni detailed ?
Bachpan se sunnti ayee hon but not itna detailed
Completely Allama Iqbaal ki hai ????
جس ٹاںٔم سے سنا ہے مسلسل سنتے جا رہا ہو کمال کا کلام ہے اور اوپر سے آواز محمد سمیع سر کی ❤️❤️
Same is with me
Same
او نہ ہم بھی سیر کرے کوہ طور کی
کیا فرض ھے کہ سب کو ملے ایک سا جواب؟
♥️✨
Listened it many times, each time feels like i m listening it for the first time.
دوائی پیتے اور ساتھ یہ سنتے ہوئے آج پانچ مہینے ہو گئے۔۔💔
Lots of love from India ❤
سنا ہے آپ کو کعبے میں بھی خدا نہ ملا
بڑا بے ادب ہوں سزا چاہتا ہوں
اب تو گھبرا کے یہ کہتے ہیں کہ مر جائیں گے
مر کے بھی چین نہ پایا تو کدھر جائیں گے
ذوق جو مدرسے کے بگڑے ہوئے ہیں ملا
ان کو مے خانے میں لے آؤ سنور جائیں گے
بڑا بے ادب ہوں سزا چاہتا ہوں
بڑا بے ادب ہوں سزا چاہتا ہوں❤❤❤❤
کیا جناب محترم کعبے میں خدا ملتا ہے
بھشت میں بھی پہنچ کر مجھے کرار نہیں
یہ کوئی اور _جگہ ہے مقامِ یار ___ نہیں ❤
قرار
ماشاء اللہ.... Love from Gujarat, India 🇮🇳...
My favorite ❤
I'm also Gujarat from India
ishq e haqiqi " is the only one point
bss or kuch nahe never forever...
شاعری کا حسن اس کی اداٸیگی اور سمجھ بوجھ میں ہے اور آپ میں یہ دونوں صلاحیتیں بدرجہ اتم ہیں ❤
Janab. e .shaikh ye kia majra hua akhir
Suna hai apko kaaba main bhi khuda na mila😊
10 bar suna fr b sunne ka dil krta hai.. Wahh... Ma sha Allah
Exactly 🔥there's no doubt about that 🤍
Beautifully expressed the whole conversation, one conversed ki tere ishq ki intehaa chahta hu, all different from the originals @Muhammadsamie
بہت اعلیٰ❤
اللّه کریم آپ کے سوزوگداز اور آواز میں مزید برکتیں عطا فرمائے آمین ثم آمین
یہ محشر ھے مالک،
سوالوں پر بھی اجانا،
ذرا دیدار تو کرلوں اے
روء جاناناں۔
اچھی درخواست ھے
My sweetheart Mentor
الفاظ کا چناؤ بہت اچھا ہے ❤❤ ماشاء اللہ
Sami bhai ,آپ کا شوق ہمارے زوق کو بڑھا رہا ہے
Right gggggg
G
❤
He is the KING of his genre and no one comes even close to him MASHALLAH. LIVING LEGEND
MASHALLAH LA QOOTA ILLA BILLA, ALLAH S.W.T NAY JO KAM APP SY LEA HAY, APP KO BOHAT BOHAT PASHGEE MUBARIQ BAD. ROHANIAT KAY JAM PEETAY RAOU, ISHIQ ELLAHI MEIN DOBTAY JOU , EMESHA SALAMAT SHAD O ABAD RAOU AAMEEN ❤❤❤❤❤❤❤
Sami sir..........Allah apko jaza e kher dy
حق ادا کر دیا ہے بھائی ❤
Muhammad Samie is a separate genre of music. Enough Said!
He presented Iqbal like a BOSS. KING!
کمال کر دیا یار
Apke qalam ko duniya bhr m maqbooliyat milegi inshallah apke qalam hmesha ke liye jinda rhenge ap itne dil se hmqalami krte hai ki sunne Wale k qlb ko sukoon mayassar hota h.. zajakallah khairan Allah apko tader salamti k sath dono jaha m afiyat k sath rkhe
واہ کیا بات ہے محمد سمیع کمال کردیا
یہ جنت مبارک رہے زاہدوں کو ❤️❤️❤️
After a long time. But with a masterpiece 😘👌❤️
Weldon Sami ❤main bar bar suna Hart tuching kalam wah share mashrik wah
Samie is the most unique, original and talented artist of Pakistan industry right now.
We can say world wide.
Not particularly in Pakistan
❤tery ishq ki inteha chahta hun❤ ,سو بار سن چکا ہوں ہزار بار مزید سننے کی تڑپ ہے۔
واہ کیا شاعری ہے اور کیا ادائیگی ہے الفاظ کی. سبحان اللہ.
کمال ہے محترم آپ کا اندازِ سخن اور اندازِ بیاں اچھوتا ہے۔
کیا خوب گرفت رکھتے ہیں آپ سُر اور ردھم میں۔
آپ کو سنے کے بعد میں ہمیشہ اپنے الفاظ کی قلت پر نالاں ہوتا ہوں۔
😍
😢❤❤
Kya hi BAAT hay extraordinary Samie Bhai ...... Excellent... super
Sami bhai insaan ki soch ko aap to next level par le gaye h
Purani cheez mein rooh phonkna koi apse sekhen
Kamaal kar dya apne waah ❤❤❤❤
Voice vocal of 1960s ,, wawaww wawawa subhanallh wawawaaw,, kia saadgi Hy Wawa mithhaas
Kalam e Iqbal ko itny khoobsoorat andaz mn aj tk ksi ny nhi gaya ho ga ❤❤❤
01:30 the way he count on finger and sing " na shohrat na sarwat na mehrab o minbar" is soooo awsm. Like he denied with full authority. Just wow
🎉😊 سبحان اللہ العظیم وبحمدہ
Kya khoobsurat likha & voice is mashallah
I'm listening for 5th time
Bus aamna sammna chatha hu
Aao hum bhe sair karain koh e toor ki
K me Allah apka samanaa cahta hon
Liked it before watching it ...I know it's so good 🔥 Cuz this man is maestro in this zone
Outstanding yaar Maza hee aagaya sun k
SubhanAllah sir kamal krr dia thanks for giving another heart ❤ touching masterpiece 😊
Absolutely Climax of poetry and how Hamd sung
Another Master Piece by #Muhammad_Sami 🎉❤
Dill ko chu lati ha tumari awaz or alfaz jazba josh kia bt ha mashallah beta.
Indeed... Aj tak is Aala kalam ka aisa version na bana hoga...
Only you deserve this work samie sir 🙌
Huge respect 🙌❤
Maula ham faqeeron ko Apne Ishq ki Intehaa se nawaaze ameen❤
My favorite ❤
ইবাদত৷ করি৷ কোন৷ কিছু র৷ আশায় না,শুধু আল্লাহর ভয়ে৷ করি,,,,আমিন
Can i talk to you?
Muhammad samie apny fan main yakta hain...❤❤ wowwww......Amazing
That's admirable ❤️
👉"Tere Ishq Ki Intiha Chahta Hoon"👈
This not only gives us inner peace but also gives us a chance to remember our poets❤️
True
Likhny walay Be-Misaal
Ganay walay-Ba Kamal!
Sir much respect!🙏🏻❤️
بہت خوب۔ مذہ آ گیا۔ خوش رہو۔ علامہ اقبال کی غزل کو نبھانا کوئ آسان نہیں ہے۔
But hi skon ma.
Gunah se ashnai jb nhi rakhty farishty phr.. gunaah likhty hoye shyd farishta sochta ho ga ...👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻👌🏻deep
without glamour, you are achieving heights, hats off the real artist
سبحان الله، جی خوش ہوگیا۔جزاک الله خیر۔
کمال یار کمال کیا ہی کہنے بسس الفاظ نہیں سلامتی ہو❤
Janab e shaikh ye kya majra hua aakhir ?
Suna ha aap ko kaabay mai b khuda na mila ........ masterpiece.
No words to say, because words couldn't really describe that how this Kalam narrated the sentiments of a Sufi on the auspecious event of Hashar. Moreover, Sufi is not concerned for forgiveness of his Sins, but he always desires for being Penalized. "Barra Be Adab Hu Sazaa Chahtaa Hu", "Tere Ishq ki Inteha Chahtaa Hu".
Kohinoor halka h is kalaam k aage to❤
Soulful peaceful and rest is history.. best best MASHALLAH MASHALLAH
Really loved your poetry of Talab e deedaar e khaleq.❤
Best 12 Poet Plus Apki Awaz Ma sha Allah Great Combination ❤
Outstanding wah wah jitni tareef kro km ha ❤❤❤❤
The musicccc in start the idea is superb...brilliant piece sir.❤❤❤❤
wah sami bhai wah apka har song heart touching hota hai, or bohat hi saror de or ghahraye wali poetry hoti hai, suno mehshar men kya hoga, sub usko dekhty hunge wo humko dekhta hoga jahanam hu ke janat jo bhi hoga faisala hoga, ye kya kam hai hamara or unka samna hoga, ke men amna samna chahta hun,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, sami bhai thank you so much
No one can recite best sufi spells like this ..Hats off M. sami.😊
Jani superb , khuda ajr dy ♥️
Murshad is not coming slow ❤❤❤
Akheer krdi Murshad ❤❤
Outstanding
Mindblowing
Bahisht me bhi pahoch kar mujhe Qarar nahin
Ye koi aur jagah hai maqam e yaar nahin...
Ye Jannat Mubarak rahey zahidon ko......
Kucha e yaar me chal dekh le Jannat meri....
واہ واہ واہ! بھئی کیا کہنے ہیں، کیا کردیا آپ نے، میری ساری جائے داد آپ کے ناااام۔۔۔۔۔ بہت جئیں اور ہمارے ذوق کی تسکین کرتے رہیں۔
Mene fast time apki naat or kawali suni ...tareefe kabil hai aapke naat ke har bol or apki awaaz Masha Allah Subhan Allah....❤
Your mesmerizing kalam has captured my heart and i can say that I've totally become a fan of your work and your personality and it's all thanks to my dear friend Bushra (bush❤) who introduced me to your UA-cam channel...
Bohat Shandaar, Behtareen,
I can't express how grateful I am to you, Sir Muhammad Samie, for composing such intricate and elaborate pieces of art,that pierce right through the heart.
Hayeee mashallah buht khoob roh ki piyas khatam kr di ❤
Kayy Baat Hai! No one beat him Saaalm hai ❤️🙏🏻
Bht achha Bhai mashaallah Bhai ek baar Tulu e islam ho jaye please think about it
No Words
Just Feelings
Awesome Lyrics
Melt My Heart❤
Feel every line
It's so Deep Lines.
Andaz e Bayan
Khubsurat Awaaz
Piyar bharey alfaz
Sirf Haqqeqi Mohabat...❤
Apki Awaz MS
Subhan Allah❤
Kia kahun
Kia likhun
Dher sari Duaeyn Apke liye Bhai❤
Khush rahen
Allah pak hamesha kamyab krey❤
❤❤❤❤Ameen❤❤❤❤
Kya khoob…just amazing
Non stop listening this
अब तो सच में आमना सामना चाहिये..divine
Beautifully sung…!!!
Awesome I can't explain how this kalam motivate me for love with ALLAH
While hearing tears are falling continuously
Stay blessed and stay under the clouds of happiness
Ameeen sumameeen
MashaAllah very soulful samie brother I would suggest you that plz try to recite all kalams of Allama Iqbal same as Nusrat Fateh Khan sb have recited, Furthermore Sun Dard Kahani karbal di kindly recite this beautiful and painful Qalam.