kya in hathyaaron ki khareed bikri ka anya koi non-state actors galat-laabh ya durupyog na kar paye iske liye vaishwik-star par koi niyaman-tantra aur samjhauta maujood hai ab tak; aur agar hai to woh kaunsa samjhauta hai aur kin kin deshon ne uspar ratify kiya hai? agar nahi hai to kya abhi ye sahi samay nahi hai ki aisa koi samjhauta bhi astitva me laya jaye jisse beena atma-raksha hetu ke in hathyaaron ka koi bhi mulk ya vyaktiyon ka samooh anaitik laabh na utha sake aur aisa koi bhi samjhauta kanooni-star par baadhya bhi hona chahiye uski vishwasniyata aur kaargarta sunishchit karne ke liye. awwal to shanti-purna pragatisheel sansaar me ghaatak hatyaaron ki avashyakta hi nahi honi chahiye lekin ye to ek adarsh paristhiti ki dhaarna hai jo filhaal sambhav nahi dikhti zameeni haqeeqaton ko dekhte huye - manavta abhi us paripakvata ko praapt nahi hui hai - lekin un hathyaaron se hone wale nuksaan aur durupyog ko to kam se kam niyantrit kiya hi ja sakta hai aur iske liye vishwa patal par pratyek desh ki is uddeshya ko praapt karne ki pratibaddhata unke aacharan me spasht roop se dikhni bhi chahiye. nahi to niji laabh saadhne ke chakkar me jahaan yuddha ki avashyakta hi nahi hai aur kootnitik evam rajnitik margon aur prakriyaon dwara maslon ko suljhaya ja sakta hai wahaan bhi kuchh vikrit-maanskita rakhne wale log yuddha ko hi apna pratham aur antim lakshya aur saadhan bana lenge aur aise me hathyaaron ki aniyantrit, aasaan aur nirankush uplabdhi vishwastar par aisi jungon ko karyarat banane me sahayak paristhitiyon ka nirmaan karti hi rahegi jisse duniya me aur bhi zyaada hinsa, arajakta, aatank aur avyavstha ka prasaar-prachaar ho sakta hai jo atyant hi ghaatak aur khatarnaak sanket hai vishwa-shatni ke lihaaz se. zara pradhaan-mantriji jo abhi aap ke video ko dekh rahe hai is baat ka sangyaan bhi le aur apne samkaksh rashtra agraj se ye sarokaar saajha karke uspar samaadhaan khoje. niji laabh-haani ke saadhan uddeshyon se raksha maslon aur tantro ko joda nahi ja sakta. raksha ko raksha ke taur par dekha jana chahiye ek antim vikalp ke taur par nahi. uska prayog aakraamakta aur hinsaa ke prajanan hetu to katai hi nahi hona chahiye aur iske liye ankush aur kanooni-baadhyata pratyek rashtra par anivarya hai nahi to arajak paristhitiyon ka nirmaan hota hi rahega aur hame aur bhi afgahnistan, libya, syria, iraq, israel, palestine, ukraine, nagorno-karabaakh ityadi napunsak bankar nirmit hote huye dekhte rehne par vivash hona hi padega. zara in rajnetaon ke soye huye zameer aur imaan ko bhi jagrit karne ka bhi kaam koi kar le. woh swayam hi samajhkar swatah-sangyaan le to aur kya chahiye? vishwa ko sangathit hokar in maslon par gehen aur gambheer vichaar-vimarsh karne ki tatkaalik avashyakta hai. manavta treetya vishwa yuddha aur nuclear explosion ke muhaane par khadi hai. sthitiyon ko de-escalate karna avashyak hai na ki unme ghee daalne ki. sudhar jaiye sahibaan. niji laabh-haani ko pare rakhkar vishwa-kalyaan ki deesha me apne kadam badhaiyye na ki viprit deeshaon me. jaagiye apni gahan neendra se.
Good
Jiy Hind

Thoda sa sir aap voice tone thik kijiye,high low tone problem karta hai
Yeh bhi dekhna hoga usa khahin india ke dost ke khilf toh hatiyr nhi maang raha under sosa🤔