Shaam ka bazar Abid e Bimaar

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 9 вер 2024
  • Noha: Shaam ka bazar Abid e Bimaar
    sham ka bazaar abide bemaar
    paon may bedi taukhe garabaar
    sham ka bazaar....
    bhoolega na wo manzar naize pe sare sarwar
    be makhnao be chadar balwe may phuphi madar
    aur majmae kuffaar, Abid e Bimaar
    sham ka bazaar....
    bazaar ki zaybayi kothon pe tamashayi
    aada ki saf araaye aur aalame tanhai
    wo bekas-o-laachar, Abid e Bimaar
    sham ka bazaar....
    darbar may sar uryan aate hai haram giryan
    uthne laga ek toofan mehshar ka sa hai samaa
    jumbish may hai darbaar, Abid e Bimaar
    sham ka bazaar....
    boo paayi to ghabrakar bachi ne kaha rokar
    is tasht may hai jo sar wo to hai sare sarwar
    kaise karoo deedar, Abid e Bimaar
    sham ka bazaar....
    hakim ne ye sun paaya to aur sitam dhaaya
    sar posh ko sirkaya aur bachi ko dikhlaya
    chillayi wo ek baar, Abid e Bimaar
    sham ka bazaar....
    kuch shimr se farmado gardan meri khulwado
    sar baba ka dilwado ya usko ye samjhado
    maare na sitamgaar, Abid e Bimaar
    sham ka bazaar....

КОМЕНТАРІ • 12