Indresh ji aap ka Canada me ek maa ko yeh kehna ki aap ke pati kabhi aap ke anukul nahi honge kyo ki aap bhagwan ki kewal is bhavna se pooja karti hain- yeh vichar uchit nahi hai. Aur aap jo kehte hain ki 50-60 ki umar ke baad bhajan karna bhagwan ko pasand nahi aata- woh aap ki taraf koi dhyan nahi denge- ye bhi shastro ke anusar galat hai. Vaanprastha aur Sanyaas Ashram me kis umar me jaaney ka vidhan hai aur kyo - is par sochiye. Aap ki research bahut achhi, bhasha saral aur gala bahut sureela aur meetha hai. Hamey aap ki katha bahut achhi lagati hai - is liye yeh sab likha hai. 🙏🌻 Bhagwan sam drishta hain. Woh jawani se pyar aur budhape se nafrat nahi karte hain jaise kai balak karte hain. Vridh logo ka ya budhape ka mazak udana jaise naak se naala, aankh me jala - aisi baaten bhi katha me theek nahi lagati hain. 🙏 Kahi aisa to nahi ki Asur jaise serial dekhne se aap ki sanvedansheelata (sensitivity) par bura prabhav pad raha hai ?? Aisi negative kritiyo se dur rehne ke liye theek likha gaya hai. Hamey yehi Kusang lagata hai. Kyo ki jis natak, serial, film me bhagwan ki bhakti ya stuti ka koi bhaav na ho- usey dekhne ke baad man bhajan me nahi lagata hai. Asha hai aap in bato ko positively lenge. 👏🙏
Sita Ram Hanuman 🙏
Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe
Indresh ji aap ka Canada me ek maa ko yeh kehna ki aap ke pati kabhi aap ke anukul nahi honge kyo ki aap bhagwan ki kewal is bhavna se pooja karti hain- yeh vichar uchit nahi hai. Aur aap jo kehte hain ki 50-60 ki umar ke baad bhajan karna bhagwan ko pasand nahi aata- woh aap ki taraf koi dhyan nahi denge- ye bhi shastro ke anusar galat hai. Vaanprastha aur Sanyaas Ashram me kis umar me jaaney ka vidhan hai aur kyo - is par sochiye.
Aap ki research bahut achhi, bhasha saral aur gala bahut sureela aur meetha hai. Hamey aap ki katha bahut achhi lagati hai - is liye yeh sab likha hai. 🙏🌻
Bhagwan sam drishta hain. Woh jawani se pyar aur budhape se nafrat nahi karte hain jaise kai balak karte hain. Vridh logo ka ya budhape ka mazak udana jaise naak se naala, aankh me jala - aisi baaten bhi katha me theek nahi lagati hain. 🙏
Kahi aisa to nahi ki Asur jaise serial dekhne se aap ki sanvedansheelata (sensitivity) par bura prabhav pad raha hai ?? Aisi negative kritiyo se dur rehne ke liye theek likha gaya hai. Hamey yehi Kusang lagata hai. Kyo ki jis natak, serial, film me bhagwan ki bhakti ya stuti ka koi bhaav na ho- usey dekhne ke baad man bhajan me nahi lagata hai. Asha hai aap in bato ko positively lenge. 👏🙏