AKBAR KIU NAHI AYE | Syed Mesum Abbas | Noha 2024

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 10 вер 2024
  • 786-110-92
    Title | Akber a.s kyun nhi aye
    Reciter | Syed Mesum Abbas
    Poet | janab syed zafar abbas zafar
    Chorus | Aoun rizvi & team
    Audio | Hyderi studio canada
    Video : Hyderi studio canada
    LYRICS :
    Bain kary dukhyari Akbar kiu nahi aye
    Ai yad tumhari Akbar kiu nahi aye
    1- Tum ny kia tha wada akbar aunga
    Akar sughra tujh ko mein le jaun ga
    Ro ro raat guzari Akbar kiu nahi aye
    2- Ashghar bhi yad ata hai din raat mujhy
    Tarpati hai us ki har ik yad mujhy
    Ashk huy hain jari Akbar kiu nahi aye
    3- Mery bin shadi mat karna ay bhai
    Mar jay gi warna tumhari maa jaai
    Mein sadqy mein waari Akbar kiu nahi aye
    4- Dur hui chehray ki weerani baba
    Ab nahi hogi koi pareshani baba
    Khatm hui beemari Akbar kiu nahi aye
    5- Rozy pr nana k bethi rehti hun
    Sab ki judai ka sadma mein sehti hun
    Kia karu ghum ki maari Akbar kiu na aye
    6- Khuawb mein dekhi hai jab sy maqtal ki zameen
    Dil hi nahi lagta hai bhai ab to kaheen
    Zarb lagi hai kaari Akbar kiu nahi aye
    7- Bain ye Sughra k thy Mesum or Zafar
    Kehti thi ye ashk baha kr sham o sahar
    Reh gae mein ghumkhuari Akbar kiu nahi aye
    BAIN KARY DUKHYARI AKBAR AS KIU NAHI AYE
    #muharram2024 #Muharram #Nohay2024 #Majlis2024 #azadari #azadariehussain #imamhussain

КОМЕНТАРІ • 3