Zulljanah Hussain as ka | Zafar Abbas Zafar | Noha 2024

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 13 лип 2024
  • 786-110-92
    MUHARRAM UL HARAM NOHA 1446 / 2024
    Title | Zulljanah hussain (as) ka
    Reciter | Syed zafar abbas zafar
    Poet | Janab syed zafar abbas zafar
    Chorus | Aoun rizvi & team
    Audio | Hyderi studio canada
    Video : Hyderi studio canada
    LYRICS :
    Khaimon mein zulljanah jab aya Hussain as ka
    Parhta tha bezabani mein noha Hussain as ka
    1-Gardan mein baahen daal k zainab nay ye kaha X2
    Karti hai intuzar sakina sa Hussainbas ka X2
    2- Duldul ka haal dekh k zainab sa samaj gaen X2
    Tanha para hai khaak py lashan Hussain as ka X2
    3-Baghen kati thin zeen dhali thi lagy thy teer X2
    Aya tha ran sy istarhan ghora Hussain as ka X2
    4- Lata raha sabhi k janazy mera Hussain as X2
    Mein laun ran sy kesy janaza Hussain as ka X2
    5- Samjha raha tha sheh ki yateema ko zulljanah X2
    Pao gi tum na aj sy seena Hussain as ka X2
    6- Charon taraf thy ahl e haram zulljanah k X2
    Matam kuna tha is tarhan kunba Hussain as ka X2
    7- Sir ko patakh raha tha zamee'n par ba shor o shain X2
    Yun zulljanah deta tha pursa Hussain as ka X2
    8- Shayad kaha ho bibi sa sy ye zulljanah ny X2
    Kis tarhan laun ran sy janaza Hussain as ka X2
    9- Us zakhmi zulljanah ki amad py ay Zafar X2
    Leti hai pursa Fatima Zehra sa Hussain as ka X2
    KHAIMON MEIN ZULLJANAH JAB AYA HUSSAIN AS KA
    #muharram2024
    #Muharram #Nohay2024 #Majlis2024 #azadari #azadariehussain #imamhussain

КОМЕНТАРІ • 6