Shimr kay Zulm se mai Kanp Rahi hun Baba l Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 30 вер 2024
  • Shimr ke Zulm se mai Kanp Rahi hun Baba l alb 5 yas
    Poetry - Hur Sultanpuri
    Reciters- Zuhair Qain & Haider Raza (Anjuman
    Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat)
    20 Safar (Arbaeen Imam Mazloom)
    Posted by- Azadari Bhanauli
    Venue- Roza-e-Sakina Bintul Hussain a.s Karbala,
    Bhanauli Sadat
    Lyrics-
    ***
    Haye jab sham kay darbar mein pohacha qunba
    Hakim-e-Sham ne ye shimr-e-lain se pucha
    Hai kahan ladli shabbir ki batlao zara
    Hakim-e-sham se tab shimr-e-lain ne ye kaha
    Shah k seeney ka sukun jo thi wahi hai bachchi
    Paas zainab k jo pahlu me chupi hai bachi
    ***
    Haye sar bachi ko dikhla k sitamgar ne kaha
    Chahta tha tera baba tujhe maine hai suna
    God me teri sare shah ko aana hoga
    Ro k hathon ko utha kar ye sakina ne kaha
    Uth k ab tasht-e-tela se paye dukhtar aao
    Imteha beti ka leta hai sitamgar aao
    ***
    Sun k fariyad sakina ki sar-e-shah chala
    Nagah janibe dukhtar sar-e-shabbir badha
    Aan k god me beti k sar-e-shah ruka
    Choom kar baap ka muh bali sakina ne kaha
    Fir tamache na lage rukh pe dari hun baba
    Shimr k zulm se main kanp rahi hun baba
    *
    Sare shabbir pe muh rakh sakina ne kaha Shimr k zulm se main kanp rahi hun baba Kaid-e-zalim se hame jald chhudhao baba
    1.
    Aag khaimo me lagi jal gaya mera kurta
    Chin gye kaano se gauhar bhi luti sar se rida
    Khaye zalim k tamache bandha rassi me gala
    Shimr k zulm se main kanp....
    2.
    Jab se uttha hai mere sar se tumhara saya
    Khoob jee bhar k mujhe shimr-e-lain ne mara Dekho baba tane zakhmi se hai chipka kurta Shimr k zulm se main kanp...
    3.
    Apne oonton ko laino ne pila k pani
    Khaak pe phenk diya ham ko dikha k pani
    Main tadapti rahi hathon me tha khali kooza
    Shimr k zulm se main kanp...
    4.
    Kuch bhi ankhon se sujhai nahi deta baba
    Shiddat-e-pyas se bhunta hai kaleja mera
    Jism ki haddiyan bhi sookh chuki hain baba
    Shimr k zulm se main kanp...
    5.
    Shimr jab muh pe lagata tha tamache aakar
    Rukh suwe naher kiye kahti thi mai chillakar
    Aao dariya se hame aake bachao aye chacha
    Shimr k zulm se main kanp...
    6.
    Oont ki pusht pe jakda gaya mujhko tanha
    Tez raftar se fir oont ko daudaya gaya
    Dekho baba hua kis tarha se zakhmi seena
    Shimr k zulm se main kanp...
    7.
    Iss kadar muh pe sitamgar ne tamache mare
    Neele rukhsar hain ab tak mere baba sare
    Khauf jata nahi baba mere dil se uska
    Shimr k zulm se main kanp...
    8.
    Jis ghadi bachi ki godi se chhina baap ka sar
    Hur sakina ne kaha shah se yahi ro ro kar
    Chhodh kar fir na mujhe jaiye tanha baba
    Shimr k zulm se main kanp....
    HUR SULTANPURI
    Social Media
    Subscribe: / @azadaribhanauli72
    Instagram: / azadaribhanauli_
    Want to chat? Hit me up on social media!
    Instagram: / rashidhussain_110
    Hashtag
    #arbaeen #imamhussainas #sakinasa #chehlumimamhussain #karbala
    #maulaabbasa_s #azadaribhanauli #noha
    #anjumansipahehussainibhanaulisadat
    #yahussain #maulaalias #bibisakinanoha

КОМЕНТАРІ • 4