Yaadgaar | Vocal: Haider Iqbal | Poet : Jaun Elia

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 15 жов 2024
  • Another ghazal of Jaun Elia which was sung by Haidar Iqbal and peoples liked it very much.
    Haider Iqbal sings many songs of June Elia, some of which are now very popular. You can listen to all those ghazals in the form of songs on Haidar Iqbal's UA-cam Channel.
    Title: Yaadgar
    Vocal: Haidar Iqbal
    Poet: Jaun Elia
    Composition: Haidar Iqbal
    #Yaadgar #HaidarIqbal #JaunElia
    Haidariqbal's Instagram: / iamhaidariq...​
    Haidariqbal's Facebook: / haidar.iqbal...​
    Haidariqbal's SoundCloud: / haidar-8​
    Haidariqbal's Twitter: / haidariqbal
    Lyrics:
    Aap Apna Ghubaar The Hum To
    Yaad The, Yaadgaar The Hum To
    Pardagi! Hum Se Kyun Rakha Parda
    Tere Hi Pardaa-daar The Hum To
    Waqt Ki Dhoop Mein Tumhare Liye
    Shajar E Saayaa Daar The Hum To
    Urte Jaate Hain Dhool Ke Manind
    Aandhiyon Par Sawaar The Hum To
    Hum Ne Kyun Khud Pe Aetebaar Kiya
    Sakht Be-aetebaar The Hum To
    Sharm Hai Apni Baar Baari Ki
    Be Sabab Baar Baar The Hum To
    Kyun Hamain Kar Diya Gaya Majboor
    Khud Hi Be-ikhtiyaar The Hum To
    Tum Ne Kaise Bhulaadiya Hum Ko
    Tum Se Hi Musta’aar The Hum To
    Khush Na Aaya Hamain Jiye Jaana
    Lamhe Lamhe Pe Baar The Hum To
    Sah Bhi Lete Hamaare Ta’anon Ko
    Jan E Man, Jaan Nisaar The Hum To
    Khud Ko Dauraan E Haal Mein Apne
    Be Tarah Naa-gawaar The Hum To
    Tum Ne Hum Ko Bhi Kar Diya Barbaad
    Naadir E Rozgaar The Hum To
    Hum Ko Yaron Ne Yaad Bhi Na Rakha
    ‘jaun’ Yaaron Ke Yaar The Hum To

КОМЕНТАРІ • 471