Dhooñdha Hi Kareñ Daawar-e Mahshar Ke Sipaahi Wo Kis Ko Mile Jo Teri Kamli Meiñ Chhupa Ho Chhupana Apni Kamli Meiñ Chhupana Rahmat-e Aalam .. Hai Din Roz-e Mahshar Nabeeyoñ Pe Bhaari Kade Saf Ba-Saf Hoñge Noori Wa Naari Yaka Yak Jo Aayegi Unki Sawaari Kahegi Ye Chilla Ke Makhlook Saari. Aaqa, Chhupana Apni Kamli Me Chhupana Rahmat-e Aalam … Zamaane Ko Sha’oor-e Haq Parasti Se Kiya Waaqif Nawaase Rahbar-e Aalam, Haiñ Naana Rahmat-e Aalam ! Nawaase Rahbar-e Aalam .. Nawaase Rahbar-e Aalam .. (Ye Husain Tera Hi Kaam Tha…) Baatil Ke Aage Sar Na Jhukaaya Husain Ne Jo Kah Diya Wo Kar Ke Dikhaya Husain Ne Jiyo To Haq Ke Liye Aur Maro To Haq Ke Liye Husain Ye Bhi Hameñ Aap Ne Bataya Hai Wo Sar Kata Ke Ye Taaleem De Gaye Haiñ Ke Mere Gham Mein Na Masroof-e Dair Ho Jaana Agar Kahiñ Haqq o Baatil Ki Jang Ho Jaaye Tu Us Maqaam Pe Tum Bhi Husain Ho Jaana. Dekho, Zamaane Ko Shaoore Haq Parasti Se Kiya Waaqif Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam. Kaunain Ba Khabar Hai Rasool-e Anaam Se Waakif Nahiñ Hai Kaun Muhammad ﷺ Ke Naam Se Nisbat Hai Mujh Ko Shah-e A’ali Maqaam Se Leta Hai Jinka Naam Khuda Ehteraam Se Sharaf Ye Sirf Mahboob-e Khuda Hi Ko Mayassar Hai Ke Is Ghar Ka Har Ek Chhota Bada Rahbar Hi Rahbar Hai. Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam … Nabi Kis Shaan Se Najraan* Meiñ Allahu Akbar Haiñ (*Najran ek Shahar ka naam hai) Ali Haiñ, Fatima Haiñ, Saath Meiñ Shabbir o Shabbar Haiñ Nasaara Kah Rahe Haiñ Dekh Kar Ek-Ek Ko Aapas Meiñ Ye Kaisa Kaarbañ Hai Jis Meiñ Sab Rahbar Hi Rahbar Haiñ? Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam … Chale Ungli Pakad Kar Jab Nabi Ki Karbala Waale Nabuwwat Ke Khazaane Aa Gaye Dast-e Imamat Meiñ Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam … Ham Aise Nabi Ki Ummat Haiñ, Hum Aise Imam Ke Pairu Haiñ. Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam … Zameen o Aasmañ Gardish Meiñ Apni Tham Bhi Sakte Haiñ Shab-e Meraaj Duniyañ Ne Ye Jaana Rahmat-e Aalam. Zamaana RoothTa Hai, Rooth Jaaye, Rooth Jaane Do Magar Tum Bhi Na Hum Se Rooth Jaana Rahmat-e Aalam … Magar Tum.. Ya Rahmat-e Aalam Ya Muhammad ﷺ Rahmat-e Aalam Aale Muhammad ﷺ Rahmat-e Aalam Ya Shaah-e Muzammil.. Rahmat-e Aalam Magar Tum Bhi Na Hum Se Rooth Jaana Rahmat-e Aalam .. Suna Hai Noor Ki Baarish Hua Karti Hai Taiba Meiñ Hameñ Bhi Aap Taiba Meiñ Bulaana Rahmat-e Aalam. .. Mere Aaqa Masarrat Aap Hi Ka Naam Lewa Hai Sar-e Mahshar Ise Bhi Bakhshwana Rahmat-e Aalam … Ilaahi Dikha De Wo Madina Kaisi Basti Hai Jahañ Din Raat Ai Maula Teri Rahmat Barasti Hai. Suna Hai Noor Ki Baarish Hua Karti Hai Taiba Meiñ Tadapte Haiñ Machalte Haiñ Mere Armaan Seene Meiñ Rawaañ Jab Dekhta Huñ Kaafla Haj Ke Mahine Meiñ Muhammad ﷺ Ki Judaayi Aag Bhadkaati Hai Seene Meiñ Mazaa Kya Khaak Aaye Door Rah Kar Aise Jeene Meiñ Ke Parwaana Yahañ Tadpe Jale Shamma Madine Meiñ Hameñ Bhi Aap Taiba Meiñ Bulaana Rahmat-e Aalam .. Paye Aazaar Hai Saara Zamaana Rahmat-e Aalam.
SUBHAN ALLAH BOHAT PYARA KALAAM AUR BOHAT ACHE ANDAZ MEIN PADE QAWWAL SAB
Mashrrat aap hi ka naam lewa hai,sare mahasar hame bhi bakhshwana rahmate aalam.
आमीन ❤🌹
all my childhood I have grown up hearing to this qawwali...sitting next to my Abbu..I miss my abbu every time I listen to this...
May he rest in peace.
zamana roothata hai rooth jaye rooth jane do magar tum bhi mere aaqa magar tum bhi na humse rooth jana rahmate aalam
Beautiful
'Muhammedcarromp
Subhanallah ❤
Bahut hi khoobsurat qalaam ♥️♥️♥️
Dhooñdha Hi Kareñ Daawar-e Mahshar Ke Sipaahi
Wo Kis Ko Mile Jo Teri Kamli Meiñ Chhupa Ho
Chhupana Apni Kamli Meiñ Chhupana Rahmat-e Aalam ..
Hai Din Roz-e Mahshar Nabeeyoñ Pe Bhaari
Kade Saf Ba-Saf Hoñge Noori Wa Naari
Yaka Yak Jo Aayegi Unki Sawaari
Kahegi Ye Chilla Ke Makhlook Saari.
Aaqa,
Chhupana Apni Kamli Me Chhupana Rahmat-e Aalam …
Zamaane Ko Sha’oor-e Haq Parasti Se Kiya Waaqif
Nawaase Rahbar-e Aalam, Haiñ Naana Rahmat-e Aalam !
Nawaase Rahbar-e Aalam ..
Nawaase Rahbar-e Aalam ..
(Ye Husain Tera Hi Kaam Tha…)
Baatil Ke Aage Sar Na Jhukaaya Husain Ne
Jo Kah Diya Wo Kar Ke Dikhaya Husain Ne
Jiyo To Haq Ke Liye Aur Maro To Haq Ke Liye
Husain Ye Bhi Hameñ Aap Ne Bataya Hai
Wo Sar Kata Ke Ye Taaleem De Gaye Haiñ
Ke Mere Gham Mein Na Masroof-e Dair Ho Jaana
Agar Kahiñ Haqq o Baatil Ki Jang Ho Jaaye
Tu Us Maqaam Pe Tum Bhi Husain Ho Jaana.
Dekho,
Zamaane Ko Shaoore Haq Parasti Se Kiya Waaqif
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam.
Kaunain Ba Khabar Hai Rasool-e Anaam Se
Waakif Nahiñ Hai Kaun Muhammad ﷺ Ke Naam Se
Nisbat Hai Mujh Ko Shah-e A’ali Maqaam Se
Leta Hai Jinka Naam Khuda Ehteraam Se
Sharaf Ye Sirf Mahboob-e Khuda Hi Ko Mayassar Hai
Ke Is Ghar Ka Har Ek Chhota Bada Rahbar Hi Rahbar Hai.
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Nabi Kis Shaan Se Najraan* Meiñ Allahu Akbar Haiñ
(*Najran ek Shahar ka naam hai)
Ali Haiñ, Fatima Haiñ, Saath Meiñ Shabbir o Shabbar Haiñ
Nasaara Kah Rahe Haiñ Dekh Kar Ek-Ek Ko Aapas Meiñ
Ye Kaisa Kaarbañ Hai Jis Meiñ Sab Rahbar Hi Rahbar Haiñ?
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Chale Ungli Pakad Kar Jab Nabi Ki Karbala Waale
Nabuwwat Ke Khazaane Aa Gaye Dast-e Imamat Meiñ
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Ham Aise Nabi Ki Ummat Haiñ,
Hum Aise Imam Ke Pairu Haiñ.
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Zameen o Aasmañ Gardish Meiñ Apni Tham Bhi Sakte Haiñ
Shab-e Meraaj Duniyañ Ne Ye Jaana Rahmat-e Aalam.
Zamaana RoothTa Hai, Rooth Jaaye, Rooth Jaane Do
Magar Tum Bhi Na Hum Se Rooth Jaana Rahmat-e Aalam …
Magar Tum.. Ya Rahmat-e Aalam
Ya Muhammad ﷺ Rahmat-e Aalam
Aale Muhammad ﷺ Rahmat-e Aalam
Ya Shaah-e Muzammil.. Rahmat-e Aalam
Magar Tum Bhi Na Hum Se Rooth Jaana Rahmat-e Aalam ..
Suna Hai Noor Ki Baarish Hua Karti Hai Taiba Meiñ
Hameñ Bhi Aap Taiba Meiñ Bulaana Rahmat-e Aalam. ..
Mere Aaqa Masarrat Aap Hi Ka Naam Lewa Hai
Sar-e Mahshar Ise Bhi Bakhshwana Rahmat-e Aalam …
Ilaahi Dikha De Wo Madina Kaisi Basti Hai
Jahañ Din Raat Ai Maula Teri Rahmat Barasti Hai.
Suna Hai Noor Ki Baarish Hua Karti Hai Taiba Meiñ
Tadapte Haiñ Machalte Haiñ Mere Armaan Seene Meiñ
Rawaañ Jab Dekhta Huñ Kaafla Haj Ke Mahine Meiñ
Muhammad ﷺ Ki Judaayi Aag Bhadkaati Hai Seene Meiñ
Mazaa Kya Khaak Aaye Door Rah Kar Aise Jeene Meiñ
Ke Parwaana Yahañ Tadpe Jale Shamma Madine Meiñ
Hameñ Bhi Aap Taiba Meiñ Bulaana Rahmat-e Aalam ..
Paye Aazaar Hai Saara Zamaana Rahmat-e Aalam.
NAWSE RAHBARE AALAM HAIN NAANA RAHMATE AALAM SUBHANALLA
Was looking for this qawwali in digital format for so long. Thanks for uploading. Million thanks
Plz.. Like Suscribe and share
Mashllah bahut hi pyara kalaam he
k parwana yahan tadpe jale shamma madeene me ..hamen bhi aap tayba me bulana rahmate aalam
Bahut hi surili,mithi, naat sharif
Shuban allah masha allah
Ya rahmate allam ❤
Best
Subhanallah
Subhanllah🌹🌹🌹🌹🌹
ﷺ
Lyerich
Yaa allah madad waste me mere nabi ke
Duva a rashul pak sallm
Aa
शब्बीरो शब्बर के लिए मासूम असगर के लिए
सजदे मे जो सर कट गया लिल्लाह उस सर के लिए
Subhan allah
Amin
Gulam mithani sahab plz Suscribe
Ya ,Jhaddil , Hassan-wal- Hussain. Nawase Rehbar-a-alam.
Duva a Noor
subhanallah
Subhanllah
Massah allah
Beshq
🐣
A
Ramzan churu
Duva a sukun
Dislike karne walo ko Allah hidayat de
ALLAAH 🌹👍☘️🌺
Butiful
Any one... Please upload meri qashri bhawar me hai aaqa in digital
Ranjit basiya babra amrali Gujarat India
Masha Allah
Duva a tandurashati
Nice
Karam kardo aaka
0p0
Masha allah
Subhanllah
Subhan Allah