Khud se bhi mila kare Sarr utha ke chala kare Khuda ke tareeke hum nahi samajh sakte, hum usse kya gila kare? Duniya sang dil banti meri dushman Hum kam-az-kam khud se hi sulah kare Kam bola kare, zyada suna kare Rab deta hai maafi phir gunaah kare Ye taqaat thikaane badal sakti Qalam ki taaqat takhat bhi palat deti Likhaari jaan leva hun par likhayi hi roj ab jeene ka sabab deti Warna zindagi mauke toh kam deti Mehfilo me toh ronak bhi humse thi Idhar hustle karte-karte pura din gaya Urdu rap main, Urdu rap mere bin kya? Facts hai ye flex nahi Mujhe Ghalib jaisa likhne ka faiz nahi Wo habib hai mere toh mujhse durr kyun? Wo hareef hai mere toh unki khair nahi Aaj kal, bheje mujhe text sab Whatsapp pe they wanna know what's up Meri zindagi kitno ki hasrat Main misaal mera naam lete maslan Dil phenk ke na dil todd, Billboard pe ab dikhe shakal inko Mera bank balance lagta tha pin code Ab safar dekh sirf sifar gin tu Aye, I belong here, jaane ka mood nahi hai Headlines hum, teri koi news nahi hai Kya wo sunte par karte mehsoos nahi ye Waade toote par toote asool nahi ye (Gun Fire!) Jo bhi hustle thi gayi wo fuzool nahi hai Lekin duniya toh faani hai, bhool nahi ye Hum fanaa huye iss fanoon ki khaatir Paagalpan ki hadd tak junoon bhi hai Tum subh rakh lo, main shab rakhta hun Main jalwa, jalaal aur karb rakhta hun Iss hi dil me rakhta hun dard apno ka Dil ka ek khaana ab sard rakhta hun Zarurat aur khwahish me farq rakhta hun Hisaab se lafzo me harf rakhta hun Dildaar hun main bada par dil shikasta hun The joke is on you, main tum pe hasta hun Baate ye mukhtasar, main karta raha mustaqil Nahi hote mushtamil, kahani ye mukhtalif Ye khwaab huye muntaqil, Kaghaz mushta'il Urdu rap aur main uska dil, munafiq jo munfa'il Log muntazir they iss qadar, phir kis ka darr? Hum muntakhab, sab muntashar, jab chunte lafz Ab sunte sab, ye khush khabar, jo bad-nazar, wo darguzar Ye dhunn pakad, kyun besabar? kyun be asar? tu le sabaq! Ab befikar ye sher arz, motabar ho beshtar Ho der jab toh be adab, ye khel ab Lagta na mumkin Main aur mere khwaab, jeena chahta hun main khul ke Qalam ye azaad, yahan nizaam saare ulte Lagi jaise aag, shehar baarishon me dhulte Dil me ho dard jab yahan kalakaar rulte Zindagi paheli, bujho jaano kitne uljhe Andhere me chiraag jaise hi ye lehja sulge Kate mere parr phir bhi jaane kaise udte Mujhe udne de, toote jo dil aaj wo judne de Inn aankhon ko khushiyon se bharne de Alfaaz mere dil me utarne de Manzil toh khush ho theharne pe Ye ghar mera, jadd ko na marne de Ubhrenge, suraj ye dhalne de Waqt lage khud ko balalne me Magar waqt ye badalta hai Safar ye taveel beshak nange pair chalta reh Chubhe pade qeel, khuda zakhmo ko bharta reh Khud pe yaqeen hai toh zamane se ladta reh Tha hi na kuch khone ko, har ek gully, har ek kone ko Main karta hun mutaasir apni baaton se, chal hone do Jo so rahe the sone do, main likhne baitha pauney do Raatein na mili sone ko, in khwaab'on ko pirone do Dekha tha jo kal wo toh jee raha hun aaj main Likhe asal haadse, saare bane hai khaak se Jaana hai humne khaak me, ye ilam mera baant de Nahi koi bade baap ke, hai fakhar apne baap pe Aaj bhi iss shayari me saadgi, jazbaat bhi aur ye ehsaas bhi Hai sabar ka phal meetha aaj bhi Ye hunar, dil'on ki awaaz bhi
Khud se bhi mila kare
Sarr utha ke chala kare
Khuda ke tareeke hum nahi samajh sakte, hum usse kya gila kare?
Duniya sang dil banti meri dushman
Hum kam-az-kam khud se hi sulah kare
Kam bola kare, zyada suna kare
Rab deta hai maafi phir gunaah kare
Ye taqaat thikaane badal sakti
Qalam ki taaqat takhat bhi palat deti
Likhaari jaan leva hun par likhayi hi roj ab jeene ka sabab deti
Warna zindagi mauke toh kam deti
Mehfilo me toh ronak bhi humse thi
Idhar hustle karte-karte pura din gaya
Urdu rap main, Urdu rap mere bin kya?
Facts hai ye flex nahi
Mujhe Ghalib jaisa likhne ka faiz nahi
Wo habib hai mere toh mujhse durr kyun?
Wo hareef hai mere toh unki khair nahi
Aaj kal, bheje mujhe text sab
Whatsapp pe they wanna know what's up
Meri zindagi kitno ki hasrat
Main misaal mera naam lete maslan
Dil phenk ke na dil todd, Billboard pe ab dikhe shakal inko
Mera bank balance lagta tha pin code
Ab safar dekh sirf sifar gin tu
Aye, I belong here, jaane ka mood nahi hai
Headlines hum, teri koi news nahi hai
Kya wo sunte par karte mehsoos nahi ye
Waade toote par toote asool nahi ye
(Gun Fire!)
Jo bhi hustle thi gayi wo fuzool nahi hai
Lekin duniya toh faani hai, bhool nahi ye
Hum fanaa huye iss fanoon ki khaatir
Paagalpan ki hadd tak junoon bhi hai
Tum subh rakh lo, main shab rakhta hun
Main jalwa, jalaal aur karb rakhta hun
Iss hi dil me rakhta hun dard apno ka
Dil ka ek khaana ab sard rakhta hun
Zarurat aur khwahish me farq rakhta hun
Hisaab se lafzo me harf rakhta hun
Dildaar hun main bada par dil shikasta hun
The joke is on you, main tum pe hasta hun
Baate ye mukhtasar, main karta raha mustaqil
Nahi hote mushtamil, kahani ye mukhtalif
Ye khwaab huye muntaqil, Kaghaz mushta'il
Urdu rap aur main uska dil, munafiq jo munfa'il
Log muntazir they iss qadar, phir kis ka darr?
Hum muntakhab, sab muntashar, jab chunte lafz
Ab sunte sab, ye khush khabar, jo bad-nazar, wo darguzar
Ye dhunn pakad, kyun besabar? kyun be asar? tu le sabaq!
Ab befikar ye sher arz, motabar ho beshtar
Ho der jab toh be adab, ye khel ab
Lagta na mumkin
Main aur mere khwaab, jeena chahta hun main khul ke
Qalam ye azaad, yahan nizaam saare ulte
Lagi jaise aag, shehar baarishon me dhulte
Dil me ho dard jab yahan kalakaar rulte
Zindagi paheli, bujho jaano kitne uljhe
Andhere me chiraag jaise hi ye lehja sulge
Kate mere parr phir bhi jaane kaise udte
Mujhe udne de, toote jo dil aaj wo judne de
Inn aankhon ko khushiyon se bharne de
Alfaaz mere dil me utarne de
Manzil toh khush ho theharne pe
Ye ghar mera, jadd ko na marne de
Ubhrenge, suraj ye dhalne de
Waqt lage khud ko balalne me
Magar waqt ye badalta hai
Safar ye taveel beshak nange pair chalta reh
Chubhe pade qeel, khuda zakhmo ko bharta reh
Khud pe yaqeen hai toh zamane se ladta reh
Tha hi na kuch khone ko, har ek gully, har ek kone ko
Main karta hun mutaasir apni baaton se, chal hone do
Jo so rahe the sone do, main likhne baitha pauney do
Raatein na mili sone ko, in khwaab'on ko pirone do
Dekha tha jo kal wo toh jee raha hun aaj main
Likhe asal haadse, saare bane hai khaak se
Jaana hai humne khaak me, ye ilam mera baant de
Nahi koi bade baap ke, hai fakhar apne baap pe
Aaj bhi iss shayari me saadgi, jazbaat bhi aur ye ehsaas bhi
Hai sabar ka phal meetha aaj bhi
Ye hunar, dil'on ki awaaz bhi
Sehma tha dil par tha yaqeen
Ladkhadate kadam par rasta wohi
Siyaahi me doobi zindagi toh seekha udna tabhi
Aazma le, zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi
Thank you bhai 🥺💘❤️
Welcome bhai🥰❤️
@@PakiHiphopInstrumentals ❤️❤️
Bro please upload the instrumental of Kehdo by JJ47, if possible
Will do it❤️
Bhai suppressed k saath thora sa edit acha kiya kro yaar good work.
the search by nf se similar h