Soz-o-Salam Shahadat Hazrat ALI AKBAR a.s. (With Lyrics) | 8th Muharram 1443AH | Muharram 2021

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 11 лют 2025
  • ll بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم ll
    ALLAAHUMALA’AN QATALATAL HUSAYN (ع) WA AWLAADIHEE WA AS’HAABIHEE
    Title: Aye Maut Thehar Jaa
    ● Soz-o-Salam For 9th Night Muharram
    ● Shahadat Hazrat Ali Akbar a.s.
    ● Recited By: M Ahad-Ali
    ● Imambargah Shian-e-Haidery Montreal, Canada 2021
    -----------------------------------------------------------
    Many Condolences to Prophet Muhammad (ص) and Bibi Fatima Zahra (س) and especially to Imam e Zamana (ع).
    Labbaik Ya HUSSAIN! a.s.
    ☆ Subscribe to the Channel to receive Video Updates:
    / @azadar110
    ☆ Follow/Like Our Facebook Page As well
    www.facebook.c...
    Show Your Support!
    Iltemas-e-Dua
    JazakAllah!
    #YaZahra a.s. #YaHussain a.s. #HayeAliAkbar a.s. #ShahadatHazratAliAkbar a.s. #Karbala2021 #Noha2021 #Salam2021 #NohaLyrics #Azadar110 #SubScribe #HayeSajjad a.s #Arbaeen #HayeZainab s.a. #Karbala #HayeSakina s.a. #YAABBAS a.s.
    ==============================
    ●●NOHA LYRICS●●
    Hichkiyan lete thay ali Akbar Umme Laila ye bain karti thi
    Poshaak udhaloon ke mai armaan nikaloon
    Aye maut teher jaa ay maut teher jaa
    Mai apne jawan laal ko dulha to bana loon
    Aye maut...
    (1)
    Iss laal ko mai kaise karoon tere hawale
    Ye chand to deta hai zamane ko ujale
    Iss chand ki poshaak sitaron se sajaloon
    Aye maut...
    (2)
    Atthara baras phoolon ki tarha jise paala
    Jaata hai mujhe chod ke wo gesuon wala
    Ab tu hi bata kaise mai is dil ko sambhaloon
    Aye maut...
    (3)
    Dekhe thay bahut khaab magar khaak hue sab
    Iss bete ke sehre ki dua karti thi Zainab
    Dulah na sahi mai ise dulah sa banaloon
    Aye maut...
    (4)
    Her shaam jise lagti hai ab shame gharibaan
    Jo kehti thi akbar ki dulhan laaungi amma
    Uss Fatima Sughra ko Madine se bulaloon
    Aye maut...
    (5)
    Khaimey se zara door khade rote hai Sarwar
    Aik haat kalaje pe hai ek haat kamar par
    Mai khud ko sambhaloon ke shahe deen ko sambhaloon
    Aye maut...
    (6)
    Ye kiski nazar kha gayi is noore nazar ko
    Veeran kiye jaate hai Akbar mere ghar ko
    Jee karta hai is chaand ko dunya se chupaloon
    Aye maut...
    (7)
    Zainab ke labon par hai buka haaye muqaddar
    Kiya sehra chadhaun mai teri lash pe Akbar
    Aur khud ko teri laash pe sadqe hi utaroon
    Aye maut...
    (8)
    Mehendi na lagi haaton may hai khoon badan ka
    Poshak-e-shahani ko mila daag kafan ka
    Iss laash pe athaarveen mannat ko badhaloon
    Aye maut...
    (9)
    Taqdeer kisi maa ko ye manzar na dikhaaye
    Maiyyat pe jawaan laal ke wo ashq bahaaye
    Jee bhar ke ise dekhloon aur ashq bahaun
    Aye maut...
    (10)
    Faryaad zara sunle sakina ki zubaani
    Marjaungi bichda jo mera Yousuf-e-Saani
    Bhaiya mere naraaz hai mai unko manaloon
    Aye maut...
    (11)
    Maa roti rahi Mazhar-o-Irfan tadapkar
    Aur aakhri hichki may safar kargaye Akbar
    Maa kehti rahi mai ise dulah to banaloon
    Aye maut...
    =============================
    ☆ ● Related Searches ● ☆
    ● SHAHADAT JANAB E ALI AKBAR a.s.
    ● NOHA JANABEY ALI AKBAR
    ● BARCHI ALI AKBAR
    ● ALI IBNE HUSSAIN a.s.
    ● Noha For 9th Night Muharram
    ● Shahadat Hazrat Ali Akbar a.s.
    ● Akbar Tumhe Maloom Hai Kya Maang Rahe Ho
    ● Akbar Tumhe Maloom Hai
    ● MATAMDARI 2021
    ● MUHARRAM 2021
    ● NEW NOHA
    ● NEW SALAM
    ● AZADAR110
    ● NOHAY 2021
    ● YA HUSSAIN a.s.
    ● MATAM
    ● SALAM
    ● SOZ-O-SALAM
    ● MARSIYA
    ● Ya Hussain a.s.
    ● Ya Abbas a.s.
    ● Ya Sajjad a.s.
    ● Abbas e Alamdar
    ● Qaidi Imam
    ● Bazaar e Shaam

КОМЕНТАРІ • 9