industrial sewing machine tutorial
Вставка
- Опубліковано 4 лют 2025
- industrial sewing machine tutorial
Is video me bataya hai ki industrial sewing machine kitni light leti hai aur kinko industrial sewing machine lena chahiye aur kinko nahi leni chahiye - Навчання та стиль
Jack F5 or Singer ss990 Which is better
Umbreela ki motar kitna light leti h iski jankari bataye
Very nice jankari
Useful information 👍 thank u 🙏
Sir singer 1409 promise electric machine ke bare me v video bnaye
👍
Sir plastic dhaga chalega thaila sine ke liye
Ha achha kiya dhiyan dila diya Kal dhaga lake tray karke dekhege video bhi bana denge
Ser appki dukan sahjahapur me h aor ser singer masin sahjahapur se hi li h ser kya fhainens ki suvidha h waha pe ser jarur bta dena ok bahut krapa hogi ser
Bata denge puchh ke kal
Body erath compllent
Mere pass vikrant ki machine hai 32 saal ho gaye hai maine use motor lagaya hai bahut awaj karti hai har 6 mahine me rs700 ka part badalna padta hai. Bahut awaj karti hai. Mujhe stiching pasand hai me chote baccho ke kapde siti hu blouse siti hu frocks etc din me 3-4 ghante kaam karti hu me f5 jack ki lene ki soch rahi hu. Kya ye machine le sakte hai. Mujhe bataya ki bahut kharcha hai machnie ko juki ki umbrella linc model le. Kya kare plz bataye. Ekbar hi leni hai baar basr kaam na nekle aur awaj na ho. Kyuki baar baar oily karne se kurti par daag pad jate hai na kare to machnie awaj karti hai. Stiching karte waqt awaj ki vajah se bahut taklif hoti hai. Plz reply fast.
F4, f5, singer 9900,juki ye sab achhi machine hai inko lene ke baad, avaj , bahut kam aayegi vivret nahi hoti oli dalne ki tensan gatm kapde kale nahi hoge
Ek baar le li to 10 saal tab kharab nahi hogi,
Lekin is ke liye ghar me light, 24 ghante ho ya inverter kiyo ki ye light se chalti hai is kiye
Umbrella paydan aur motar dono se chala sakti ho lekin avaj, karti hai
@@TcTailor thank you sir apne reply diya. Light ki koi problem nahi hai. Bohat bohat dhanyavad sir ab me jack f5 le sakti hu. Thankyou so much. Ek full video banade to bohat accha hoga sir. Jisme detali me machine k feature bataye jaye. Jaise ki sui badalna oil badalna jisase ghar me hum thoda maintainance rakh paye. Mujhe kisi ne kaha ki jack ki machine bohat kharacha vali machine hai char din kaam na kare to lock hoti hai. Sui badalne k liye company ke admi bulane padte hai ky sach me aisa hota hai ky sir.
Aysha kuch nahi jaise umbrella me sui lagti baise hai in machine me sui lagti hai 14 number usi ke sath milti hai
Machine jaam nahi hoti kiyo ki usi me oil bhara hota hai ye sab bekar ki bate hai
Ye machine kharb hi nahi hoti jaldi meri machine 1 saal ho gai lekin aabhi bhi ek bhi sui nahi thodi na sui badli sabhi kaldo par chalti kitna mote aur patle sabhi par abhi bhe jaise new machine laaye baise hi hai
Jack f5 lu ya juki 8100
Dost. 1000 wat ki moter aged 1 hours chalti he tab 1 unit nikalti he miter me. 2000 wat ki koi cheej he to 1 hourse me 2 unit nikalegi 500 watt ki moter continuity chala rhe he to 2 house me 1 unit niklegi is trah ap 100wat. 250 watt ki light evrege nikal sakte he
Bhai hamare yaha light ki koi problem nhi hai sher mein rahte hai to kya hum le sakte hai
Bilkul bahot hi mast chalti hai industrial sewing machine
Singer 9900 mere pass hai uski speed kharab ho Gya hai 400 par 150 ke brabr chalta hai
Reset karke dubara chalu karo
Ya fir costumer care ko call karo bo macanik bheje ga ghar pe hi sahi ho jaye gi baat kar lena WARANTTY me hogi to free me sahi hogi
Machine पुरानी ले या नयी इसमें आपकी क्या राय है
New lena chahiye
Agar purani lena to us me new purje pade ho tabhi lena
Ya fir new kandishan me ho
Agar machine bahot avaj karti aur purje kate ho to mat lena
Baise agar bajad ho to sidhe new machine lena agar aap ke pass kam jada aata hai to
Agar jada nahi istmal karna to purani le sakte Lekin dekh kar achhe se chalakar
Thanks brother
Is machine ka name kya h or price b
Namaste Sar ji mein bhi Silai ka kaam Karti hun lekin mujhe machine ki Itni Jyada Jankari Nahin Hai Mein Jab Silai kar lo ki Karti hun Silai ko log Karti hun to lock Nahin Hoti Hai Silai matlab Dhaage Lamba hi Rah Jaate Hain To Kya mistake hai meri machine Mein please bataiye
Lock matlab silai khatam hone ke last me taki nahi lag pati kiya yahi kahna chahte ho
Aap ki machine kaun si hai umbrella full suttel
Ya haf suttel hanth wali ya bataiye
Us ke baad mai aap ko bataye ge us ke hisaab se
Han Sar ji Meri Machine full shuttle Wali Hai Aur Vahi khatm last Mein Silai Karte Hain To Log Nahin hota hai Shuru karte hain aur khatm karte hain to bhi Silai log Karte Hain To vah Nahin Hota Hai
Aap taki liver ka istemaal nahi karti kiya
Liver ko niche karte hi taki lag jati hai
Ok is par video bana denge jald ayegi
Sar fusing machine ke bare mein bataiye
Ok
solar wala inverter lagao aaram se kam chalao 24 ghante koi tension nahin hogi aapko bhi
Kitne ka aata hai
@@Ummid_mt_chhodiye_45 Apne nazdiki solar system Shop se pata karke 500 wat ka setup
@@attamohd1622 ok 🙏
Interlock machine bar bar pichla dhaaga Tod rahi hai
Model number kya hai?
9900
Interlock machine bar bar pichla dhaaga Tod rahi hai
Interlock machine bar bar pichla dhaaga Tod rahi hai
Interlock machine bar bar pichla dhaaga Tod rahi hai
Dhaga tight hoga ya oil nahi bada hoga ya fir looper kisi dusre luper me halka takra to nahi raha ya fir kahi ragad to nahi lag rahi ya fir dhaga sahi na padne ka karan
In me se kuch problem ho to use pahle check kariye
Ya fir looper jada hil to nahi raha check kariye