Delhi Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira
Вставка
- Опубліковано 8 лют 2025
- Rahat Indori Books - amzn.to/32vaVvN
Aisi sardi hai ke suraj bhi duhai mange
Jo ho pardes me wo kisse razai mange
Apne haakim ki fakiri pe taras aata hai
Jo garibon se pasine ki kamai mange
Apne munsif ki zehaanat pe ho qurban
Ke jo qatl bhi hum ho hamin se hi safai mange
-
Shehron me to barudon ka mausam hai
Ganv chalo ye amrudon ka mausam hai
-
Meri saanson me samaya bhi bahot lagta hai
Aur wahi shakhs paraya bhi bahot lagta hai
Usse milne ki tamanna bhi bahot hai
Lekin aane jane me kiraya bhi bahot lagta hai
-
Zuban to khol nazar to mila jawab to de
Main kitni baar luta hu mujhe hisab to de
Tere badan ki likhawat me hain utar chadhav
Main tujhko kaise padhunga mujhe kitab to de
-
Faisla jo kuch bhi ho manzoor hona chahiye
Jung ho ya ishq ho bharpoor hona chahiye
Kat chuki hai umr sari jinki patthar todte
Ab to in haathon me koh e noor hona chahiye
-
Hum apni jaan ke dushman ko apni jaan kehte hain
Mohabbat ki isi mitti ko Hindustan kehte hain
Jo ye diwar ka surakh hai sazish ka hissa hai
Magar hum isko apne ghar ka roshandan kehte hain
Jo duniya me sunayi de use kehte hain khamoshi
Jo aankhon me dikhayi de use tufan kehte hain
Mere andar se ek ek karke sab kuch ho gaya rukhsat
Magar ek cheez baki hai jise imaan kehte hain
-
Sirf khanjar hi nahin aankhon me pani chahiye
E khuda dushman bhi mujhko khandani chahiye
Maine apni khushk aankhon se lahu chhalka diya
Ek samandar keh raha tha mujhko pani chahiye
-
Andhere charon taraf saaye saaye karne lage
Charag hath uthakar duayein karne lage
Salika jinko sikhaya tha humne chalne ka
Wo log aaj hume daaye baaye karne lage
Tarakki kar gaye bimariyon ke saudagar
Ye sab mareez hain jo ab dawayein karne lage
Ajeeb rang tha majlis ka khoob mehfil thi
Safedposh uthe kaaye kaaye karne lage
-
Naye safar ka naya intezaam keh denge
Hawa ko dhoop charagon ko shaam keh denge
Kisi se haath bhi chhupkar milaiye warna
Ise bhi maulvi sahab haraam keh denge
-
Sabko ruswa baari baari kiya karo
Har mausam me fatwe jaari kiya karo
Neendon ka aankhon se rishta toot chuka
Apne ghar ki pehredari kiya karo
Roz wahi ek koshish zinda rehne ki
Marne ki bhi kuch tayyari kiya kari
Chaand zyada roshan hai to rehne do
Jugnu bhaiyya ji mat bhari kiya karo
-
Chalte phirte hue mehtab dikhayenge tumhe
Humse milna kabhi Punjab dikhayenge tumhe
Puchte kya ho ke rumal ke piche kya hai
Phir kisi roz ye sailab dikhayenge tumhe
-
Kabhi akele me milkar jhanjhod dunga use
Jaha jaha se wo tuta hai jod dunga use
Mujhe wo chhod gaya ye kamal hai uska
Irada maine kiya tha ke chhod dunga use
Pasine bantta phirta hai har taraf suraj
Kabhi jo hath laga to nichod dunga use
Maza chakha ke hi mana hu main bhi duniya ko
Samajh rahi thi ke aise hi chhod dunga use
-
Charagon ko uchhala ja raha hai
Hawa par raub dala ja raha hai
Naya suraj nikala ja raha hai
Diye me tel dala ja raha hai
Hamin buniyad ka patthar hain
Lekin humein ghar se nikala ja raha hai
Janaze par likh dena yaaron
Mohabbat karne wala ja raha hai
-
Uski katthai ankhon me hain jantar mantar sab
Chaku vaku chhuriyaan vuriyaan khanjar vanjar sab
Jis din se tum ruthi mujhse ruthe ruthe hain
Chadar vadar takiya vakiya bistar vistar sab
Mujhse bichhadkar wo bhi kahan ab pehle jaisi hai
Feeke pad gaye kapde vapde zevar vevar sab
Ishq vishq ke sare nuskhe mujhse sikhte hain
Sagar vagar Manzar vanzar Johar vohar sab
-
Raste me phir wahi peron ka chakkar aa gaya
January guzra nahin tha aur December aa gaya
Ye shararat hai siyasat hai ke hai sazish koi
Shaakh par phal aayein isse pehle patthar aa gaya
Maine kuch pani bacha rakha tha apni ankh me
Ek samandar apne sukhe honth lekar aa gaya
Apne darwaze pe maine pehle khud aawaz di
Aur phir kuch der me khud hi nikal kar aa gaya
#RahatIndori #rahatkishayari - Розваги