Mutton Biryani With Home Made Masala Recipe | Defferent tarike se banne wali mutton biryani

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 16 жов 2024
  • Mutton Biryani With Home Made Masala.
    #MuttonBiryani #homemademasala #Rehana'skitchenjaipur #food #tranding #viral #recipe #indianrecipe #delicious #cooking #tasty #yummy #biryani #muttonbiryani #yummy
    ingredients
    1.mutton - 1 kg
    2.rice - 1 kg
    3.oil - 250g
    4.barista - 2 pyaaz ka
    5.Hari mirch - 12-15
    6.adrak paste - 2 tbsp
    7.lehsun paste 2 tbsp
    8.tamatar - 2
    9.nimboo - 1
    10.dahi - 5 tbsp
    11.namak - 4 tbsp
    12.kali mirch - 1 tbsp
    13.Laung - 5
    14.jayphal - 2 tukde
    15.javitri - 2 tukde
    16.mota jeera - 1tsp
    17.saunf - 1tbsp
    18.shah jeera - 1 tsp
    19.yellow food colour - half tsp
    Home made Masala
    1.jeera - 1 tbsp
    2.Hari ilaichi - 5
    3.javitri - 2 tukde
    4.Kali mirch - 1 tsp
    making
    sabse pehle cooker me oil ko garam karke isme gosht ko dalkar gosht ko off-white colour aane tak fry kar lena hai ab isme 1tbsp namak or 3 glass Pani dalkar 4 seeti tej aanch par aane ke baad Kam aanch par 10 min tak pakne denge taki gosht soft ho jaye gosht ke soft ho Jane ke baad cook me oil ko garam karke isme lehsun Dalkar ise 20-25 second tak bhoon lena hai lehsun ke bhun Jane ke baad isme adrak paste Dalkar ise bhi 20-25 second tak bhoon lenge ab isme tamatar ko dalkar 5 min tak bhoon lenge taki tamatar soft ho jaye tamatar ke soft ho jane ke baad isme khade masale dalenge fir isme home made Masala, namak hari mirch Dalkar ise 2-3 min bhoon lena hai 2-3 min bhoon lene ke baad isme dahi ko dalkar ise 3-4 min tak dahi ko bhi bhoon lenge ab isme gosht ko dalkar ise bhi 20-25 second tak bhoon lena hai sabhi masale or gosht ke bhun Jane ke baad isme 1& half glass yakhni ka pani dalenge or 2 & half glass normal pani Dalkar pani me ek boil aane denge ek boil aane ke baad isme chawal dalkar ise achchi tarhe mix karke cooker ki lid laga kar tej aanch par 2 pressure aane ke baad Gas ki flame ko off karke pressure khud se release hone ka wait karenge pressure ke release hone ke baad biryani ko check karke isme food colour dalenge fir ispar pyaaz, tamatar, nimboo ko laga kar ispar barista dalkar ise kam aanch par 5 - 7 min dum karke 10 min rest par rakhkar garma garam rayte ke sath sarv kar sakte hai

КОМЕНТАРІ • 6