De Di Hame Azadi Bina Khadag (Clean) 5 Stanza Hindi Lyrics Demo Karaoke By Prakash Jain

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 27 бер 2021
  • Female Solo, Full Length: 5:04, Pitch: F, Classification: Patriotic, Scrolling Lyrics.
    Film: Jagriti (1954)
    Singer: Asha Bhonsle
    Lyricist: Pradeep
    Musician: Hemant Kumar
    HOW TO GET FULL KARAOKE :
    Please go to my channel -- About -- How to get Karaoke.
    For full and more Karaokes, and for full customization of any karaoke (like pitch, tempo, equalizer, volume, addition/ deletion of any line/ antara/ stanza etc) please contact over whatsapp No. +91 9887231767.
    LYRICS:
    de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    /de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    andhi men bhi jalti rahi gandhi teri mashal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    /de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    (1/5)
    dharti pe ladi tune ajab dhab ki ladaai
    daagi na kahin top naa banduk chalaai
    dushman ke kile par bhi na ki tune chadhaai
    vaah re fakir khoob karamat dikhaai
    chutki men dushmanon ko diya desh se nikaal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    /raghupati raghav raja raam
    (2/5)
    shatranj bichhakar yahan baitha tha jamana
    lagta tha ke mushkil hai firangi ko haraana
    takkar thi bade jor ki dushman bhi tha dana
    par tu bhi tha bapu bada ustad purana
    mara vo kas ke daanv ke ulti sabhi ki chal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    /raghupati raghav raja raam
    (3/5)
    jab jab tera bigul baja jawan chal pade
    majdoor chal pade the aur kisan chal pade
    hindu vo musalman sikh pathan chal pade
    kadmon pe tere koti koti pran chal pade
    phulon ki sej chhod ke daude jawahar lal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    /raghupati raghav raja raam
    (4/5)
    man men thi ahinsa ki lagan tan pe langoti
    lakhon men ghumta tha liye satya ki soti
    vaise to dekhne men thi hasti teri chhoti
    lekin tujhe jhukti thi himalay ki bhi choti
    duniyan men tu bejod tha insan bemisaal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    /raghupati raghav raja raam
    (5/5)
    jag men koi jiya hai to bapu tu hi jiya
    tune vatan ki raah pe sab kuchh luta diya
    manga na koi takhta na to taj hi liya
    amrit diya sabhi ko magar khud jahar piya
    jis din teri chita jali roya tha maha kaal
    /sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    de di hamen azadi bina khadag bina dhal
    sabarmati ke sant tune kar diya kamal
    /(raghupati raghav raja raam)3
    ----0----

КОМЕНТАРІ •