Ahmad Faraz - Hum khaabon ke beopaari tha.flv

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 18 гру 2024

КОМЕНТАРІ • 19

  • @raghavvines3133
    @raghavvines3133 Рік тому +3

    Aap gajab ke shayar the sahab aur jabardast insaan bhi the........❤❤

  • @amirhumza
    @amirhumza Рік тому +1

    Very nice sharing 😊

  • @oksialkot
    @oksialkot 14 років тому +5

    Part 4.
    Iss taak mien wo, iss ghaat mein yeh, her ott thagon ka tola hai
    AB GHAAT NA GHAR, DEEWAR NA DAR, ab pass raha hai kia baba
    Bas tan ki GHATHRI baqi hai, ja yeh b tu lay ja baba
    Hum basti choray jatay hain, tu apna qarz chuka baba...
    Ahmed Faraz

  • @navsenjoy
    @navsenjoy 2 роки тому +1

    Thanks alot. Will search for similar ones in simple language

  • @oksialkot
    @oksialkot 14 років тому +4

    Part 2.
    Tab hum ne jeewan kheti mien, kuch khwab anokhay boye thay
    Kuch khwab sajal muskanon k,kuch bol khabat deewanon k
    Kuch lafz jinhein maani na milay, kuch geet shakista janon k
    Kuch neer wafa ki shamon k, kuch per pagal perwanon k
    Phir apni ghayal aankhon se khush ho k lahoo chirkaya tha
    Maati mein saans ki khaad bhari, aur nas nas ko zehmaya tha
    Aur bhool gaye pichli rut mien, kia khoya tha kia paya tha
    Her baar gagan ne weham diya, ab k barkha jab aye gi

  • @oksialkot
    @oksialkot 14 років тому +4

    Part 1.
    Hum khwabon k beopari thay, per iss mien hua nuqsaan bara
    Kuch bakht mien dheron kaalak thi, kuch ab k ghazab ka kaal para
    Hum raakh liye hain jholi mien, aur ser pe hai sahu-kaar khara
    Yan bond nahi hai dheeway mien, wo baaj biyaj ki baat karay
    Hum baanj zamin ko taktay hain, wo dhor anaaj ki baat karay
    HUM KUCH DIN KI MOHLAT MAANGEIN, WO AAJ HI AAJ KI BAAT KRAY
    Jab dharti sehra sehra thi, hum darya darya roye thay
    Jab haath ki rekhayein chup thein, aur sur sangeet mien soye thay

  • @saeedakhan9914
    @saeedakhan9914 5 років тому +2

    Love showers in your words I name it , 'The Dew Drps"

  • @shahidabano9489
    @shahidabano9489 6 років тому +2

    Outstanding

  • @soniafiaz654
    @soniafiaz654 3 роки тому +1

    No words to say

  • @syediraza1674
    @syediraza1674 3 роки тому +1

    Deep words

  • @oksialkot
    @oksialkot 14 років тому +4

    Part 3.
    Her beej se conpal phootay gi, aur her konpal phal laye gi
    Ser per saya chatri ho gi, aur dhoop ghata ban jaye gi
    JAB FASAL KATTI TO KIA DEKHA, kuch dard k tootay gajray thay
    Kuch zehmi khwab thay kaanton per, kuch khakistr se kajray thay
    Aur door ufq k saager mein kuch dhoobtay, dholtay bajray thay
    AB PAON KHARA HON DHOOL BHARI, aur jism pe jog ka chola hai
    Sab sangi saathi bhed bharay, koi masa hai koi tola hai

  • @kashifhasan4747
    @kashifhasan4747 8 років тому +2

    Waah

  • @batla047
    @batla047 12 років тому +6

    Is sadi ki Urdu Shayri me Fraz No.1 ka maqam rakhte hain. Shariyat kya kahe gi mujhe maloom nahi. magar me jo kehta hu wo ye ke Fraz apne daur ke Shora e ikram ke darmiyan Shayri ke Peghamber ka muqam rakhte hain.

    • @knowledgeseeker9143
      @knowledgeseeker9143 7 років тому

      Anwar Ali Anwar galibno 1

    • @nazimhasan7565
      @nazimhasan7565 4 роки тому +1

      @@knowledgeseeker9143 mir taqi mir no. 1

    • @merrydogar322
      @merrydogar322 4 роки тому

      Unho ne is century ki baat ki hai, galib or mir is century k poet nahi

  • @saeedakhan9914
    @saeedakhan9914 5 років тому +1

    Acchi lagi bauhut zyada, BUT THIS BANJARA SAYS THIS IS THE " THIS IS LIFE" . A LIFE STILL IS LIKE A STAGNANT DRAINAGE FULL OF ODOUR