Ek Lafz e Mohabbat Ka Adna Ye Fasana Hai | Jigar Moradabadi | Lutfe Sukhan

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 20 жов 2024
  • ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
    simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
    ye kis ka tasawwur hai ye kis ka fasana hai
    jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai
    dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai
    dil phir bhi mera dil hai dil hi to zamana hai
    hum ishq ke maron ka itna hi fasana hai
    rone ko nahin koi hansne ko zamana hai
    wo aur wafa-dushman manenge na mana hai
    sab dil ki shararat hai aankhon ka bahana hai
    shair hun main shair hun mera hi zamana hai
    fitrat mera aaina qudrat mera shana hai
    jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai
    apni hi musibat hai apna hi fasana hai
    kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai
    hum KHak-nashinon ki Thokar mein zamana hai
    aaghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai
    ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana hai
    aankhon mein nami si hai chup chup se wo baiThe hain
    nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai
    hum dard-ba-dil nalan wo dast-ba-dil hairan
    ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai
    ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se
    kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
    ai ishq-e-junun-pesha han ishq-e-junun-pesha
    aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai
    thoDi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti
    aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai
    ye ishq nahin aasan itna hi samajh lije
    ek aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai
    KHud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna
    jab dekhiye ab wo hain aaina hai shana hai
    taswir ke do ruKH hain jaan aur gham-e-jaanan
    ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai
    ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna
    jine ki tamanna hai marne ka zamana hai
    mujh ko isi dhun mein hai har lahza basar karna
    ab aae wo ab aae lazim unhen aana hai
    KHuddari-o-mahrumi mahrumi-o-KHuddari
    ab dil ko KHuda rakkhe ab dil ka zamana hai
    ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum mein
    masum mohabbat ka masum fasana hai
    aansu to bahut se hain aankhon mein 'jigar' lekin
    bandh jae so moti hai rah jae so dana hai
    اک لفظ محبت کا ادنیٰ یہ فسانا ہے
    سمٹے تو دل عاشق پھیلے تو زمانا ہے
    یہ کس کا تصور ہے یہ کس کا فسانا ہے
    جو اشک ہے آنکھوں میں تسبیح کا دانا ہے
    دل سنگ ملامت کا ہر چند نشانا ہے
    دل پھر بھی مرا دل ہے دل ہی تو زمانا ہے
    ہم عشق کے ماروں کا اتنا ہی فسانا ہے
    رونے کو نہیں کوئی ہنسنے کو زمانا ہے
    وہ اور وفا دشمن مانیں گے نہ مانا ہے
    سب دل کی شرارت ہے آنکھوں کا بہانا ہے
    شاعر ہوں میں شاعر ہوں میرا ہی زمانا ہے
    فطرت مرا آئینا قدرت مرا شانا ہے
    جو ان پہ گزرتی ہے کس نے اسے جانا ہے
    اپنی ہی مصیبت ہے اپنا ہی فسانا ہے
    کیا حسن نے سمجھا ہے کیا عشق نے جانا ہے
    ہم خاک نشینوں کی ٹھوکر میں زمانا ہے
    آغاز محبت ہے آنا ہے نہ جانا ہے
    اشکوں کی حکومت ہے آہوں کا زمانا ہے
    آنکھوں میں نمی سی ہے چپ چپ سے وہ بیٹھے ہیں
    نازک سی نگاہوں میں نازک سا فسانا ہے
    ہم درد بہ دل نالاں وہ دست بہ دل حیراں
    اے عشق تو کیا ظالم تیرا ہی زمانا ہے
    یا وہ تھے خفا ہم سے یا ہم ہیں خفا ان سے
    کل ان کا زمانہ تھا آج اپنا زمانا ہے
    اے عشق جنوں پیشہ ہاں عشق جنوں پیشہ
    آج ایک ستم گر کو ہنس ہنس کے رلانا ہے
    تھوڑی سی اجازت بھی اے بزم گہ ہستی
    آ نکلے ہیں دم بھر کو رونا ہے رلانا ہے
    یہ عشق نہیں آساں اتنا ہی سمجھ لیجے
    اک آگ کا دریا ہے اور ڈوب کے جانا ہے
    خود حسن و شباب ان کا کیا کم ہے رقیب اپنا
    جب دیکھیے اب وہ ہیں آئینہ ہے شانا ہے
    تصویر کے دو رخ ہیں جاں اور غم جاناں
    اک نقش چھپانا ہے اک نقش دکھانا ہے
    یہ حسن و جمال ان کا یہ عشق و شباب اپنا
    جینے کی تمنا ہے مرنے کا زمانا ہے
    مجھ کو اسی دھن میں ہے ہر لحظہ بسر کرنا
    اب آئے وہ اب آئے لازم انہیں آنا ہے
    خودداری و محرومی محرومی و خودداری
    اب دل کو خدا رکھے اب دل کا زمانا ہے
    اشکوں کے تبسم میں آہوں کے ترنم میں
    معصوم محبت کا معصوم فسانا ہے
    آنسو تو بہت سے ہیں آنکھوں میں جگرؔ لیکن
    بندھ جائے سو موتی ہے رہ جائے سو دانا ہے
    Jigar Muradabadi | Jigar | Ik Lafz e Mohabbat Ka Adna Ye Fasan Hai | Jigar Muradabadi | Jigar Muradabadi Mushaira |Ghazal | Jigar Muradabadi Nazm | Jigar Muradabadi Poetry | Jigar Muradabadi Nazam | Jigar Muradabadi Shayari | Urdu Shayari | Urdu Nazm | Urdu Nazam | Urdu Ghazal | Urdu Poetry | Jigar Muradabadi | جگر مرادآبادی | Hindi Shayari |Jigar Muradabadi Shayari | Heart Touching Shayari | Shayari Whatsapp Status | Sad Shayari | Urdu Hindi Shayari | Sad Poetry | Romantic Poetry | Urdu Poetry Collection | Jashn e Rekhta
    #JigarMoradabadiGeet
    #JigarMoradabadi
    #JigarMoradabadiGhazal
    #JigarMoradabadiNazm
    #JigarMoradabadiPoetry
    #JigarMoradabadiNazam
    #JigarMoradabadiShayari
    #UrduShayari
    #UrduNazm
    #UrduNazam
    #UrduGhazal
    #UrduPoetry
    #DaghDehlvi
    #جگر مرادآبادی
    #HindiShayari
    #JigarMoradabadiHindiKavita
    #JigarMoradabadiShayari
    #HeartTouchingShayari
    #ShayariWhatsappStatus
    #SadShayari
    #UrduHindiShayari
    #LutfeSukhan
    #LutfeSukhan
    #LotfeSukhan
    #LotfSukhan
    #LutfSukhan
    #LutfeSokhan
    #JigarMuradabadi
    #LoveAndDeath
    #BestSongs
    #Lyrics
    #Mushaira
    #FaizAhmadFaiz
    #JigarMuradabadiMushaira
    #JigarMuradabadiMushaira
    #JigarMuradabadiMushaira
    #DaghDehlviMushaira
    #JashneRekhta
    #Mushaira
    #BestPoetryWithLyrics
    #TeraChupRahna
    #BreakUpPoetry
    #SadPoetry
    #LovePoetry
    #AttitudePoetry
    #MotivationalPoetry
    #IndianPoetry
    #WoHumsafarTha
    #ApneMaaziKeTaswwurSe
    #JigarMuradabadiAttitudePoetry

КОМЕНТАРІ • 2