Qaid Khane May Talatum Hai Ke Hind Aati Hai Duqtar E Fatema Ghairat Se Muee Jaati Hai Rooh Khaalib May Wo Zindaan May Ghabrati Hai Be Hawaasi Se Har Ek Baar Wo Chillaati Hai Aasman Door Zameen Saqt Kidhar Jaaun Mai Bibiyon Milke Dua Maango Ke Mar Jaaun Mai Kya karoon kya na karoon jald batao logon sadqa akbar ka hiqaarat se bachao logon oatt karke ho khade mujh ko chupao logon ya kisi goshay may le jaake bithao logon sar khuli ho kisi hujre may mujhe kha hind karo hinda ke aane se na ghabraun mai binte hyder hoon na kyun qaid may sharmaun mai koi deewaar jo shaq ho to sama jaaun mai Seedhe Maa-Jaaye Ke Maqtal Ko Chali Jaaun Mai Karbala May Na Ye Zillat Hai Na Ruswaai Hai Be Rida Mai Hoon To Be-Gor Mera Bhai Hai Naagaah Fizza Ne Di Ahle Haram Ko Ye Khabar Hind Aati Hai Bade Jaaho Tajammul Se Idhar Beeraqay Nuqra O zar ki hai juloo ke andar sab kaneezein to rida odhi hai wo nange sar par sawari bahut aahista rawaan hoti hai har qadam hind teher jaati hai aur roti hai kehti hai qaidiyon ki ada ma shor e mu juka ko kis ahle jafa ne maara kya wo syed tha jise ahle dagha ne maara ek bijli si kaleje pe mere girti hai nange sar fatema aankhon ke talay phirti hai hogaya zibha koi qhaasa e baari logon ins o jin hoor o malak karte hai zaari logon le chalo suye najaf meri sawaari logon hogi mushkil wahin aasaan hamari logon khair se hai mere aaqa to warna be sote bar honge may e pa huwa itne may amboh kamaal bole darbaan badhe doulat o umr o iqbaal qaidiyo utho adab se karo sab isteqbaal zan e haakim ka hai zindan may nuzool o ajlaal qasr e shaahi se a ya par ish lashreet thi zan e haakim ke juloo may jo rawaan dekhti kya hai ke ek sher hai aahan may nihaan laaghar o qasta tan o faaqakash o tashna dahaan moo pa saili ke nashan pusht pa durron ke nashan saaqe pa faaqe se zanjeer may thar'rati hai isthekhanon se larazne ki sada aati hai sab ne moo karke suye hind ye ki nauha giri dekhiye shaam ke zindaan sa hai may qaal ke zindaan sa Se Hai Be Qabari Kyun Musalsil Kiya Ye To Hai Adam Ka Safari Kis Ne Dam Band Kiya Touq E Jafa Se Iska Silsila Milta Hai Kuch Sher E Khuda Se Iska Gird Aabid Ke Phiri Hind Ba Haal E Tagheer Rakh Diya Paon Pa Sar Apna Hatakar Zanjeer Bole wo kaun hai boli ke kaneez e shabbir assalaam ay rasan o touq o salaasal ke aseer hai wasiyyat ka mahal marne pa tayyar hai too Kuch Kafan Ke Liye Rakhta Hai Ke Naadaar Hai Too Gham Na Kar Gor O Kafan Mai Tujhe Doongi Lillaah Nange Sar Tere Janaze Ke Chaloongi Hamraah Marne Waale Tera Kya Naam Hai Kab Se Hai Tabaah Bole Maula Abhi Chaalees Baras Jeena Hai Aah Naam Bekas Bhi Hai Qaidi bhi hai beemar bhi hai haal ye hai ke aseer bhi hai aazaar bhi hind ne poocha maraz kya hai kaha bepidari roke wo boli dawa kya hai kaha nauhagiri ghar ko daryaaft kiya kehne lage darbadari ka ha boli leta q poocha to sharmaane lage
Qaid Khane May Talatum Hai Ke Hind Aati Hai
Duqtar E Fatema Ghairat Se Muee Jaati Hai
Rooh Khaalib May Wo Zindaan May Ghabrati Hai
Be Hawaasi Se Har Ek Baar Wo Chillaati Hai
Aasman Door Zameen Saqt Kidhar Jaaun Mai
Bibiyon Milke Dua Maango Ke Mar Jaaun Mai
Kya karoon kya na karoon
jald batao logon sadqa akbar ka hiqaarat se bachao logon
oatt karke ho khade mujh ko chupao logon
ya kisi goshay may le jaake bithao logon
sar khuli ho kisi hujre may mujhe kha hind
karo
hinda ke aane se na ghabraun mai
binte hyder hoon na kyun qaid may sharmaun mai
koi deewaar jo shaq ho to sama jaaun mai
Seedhe Maa-Jaaye Ke Maqtal Ko Chali Jaaun Mai
Karbala May Na Ye Zillat Hai Na Ruswaai Hai
Be Rida Mai Hoon To Be-Gor Mera Bhai Hai
Naagaah Fizza Ne Di Ahle Haram Ko Ye Khabar
Hind Aati Hai Bade Jaaho Tajammul Se Idhar
Beeraqay Nuqra O zar ki hai juloo ke andar
sab kaneezein to rida odhi hai wo nange sar
par sawari bahut aahista rawaan hoti hai
har qadam hind teher jaati hai aur roti hai
kehti hai qaidiyon ki ada ma shor e
mu
juka ko kis ahle jafa ne maara
kya wo syed tha jise ahle dagha ne maara
ek bijli si kaleje pe mere girti hai
nange sar fatema aankhon ke talay phirti hai
hogaya zibha koi qhaasa e baari logon
ins o jin hoor o malak karte hai zaari logon
le chalo suye najaf meri sawaari logon
hogi mushkil wahin aasaan hamari logon
khair se hai mere aaqa to
warna be sote
bar honge may e pa huwa itne may amboh kamaal
bole darbaan badhe doulat o umr o iqbaal
qaidiyo utho adab se karo sab isteqbaal
zan e haakim ka hai zindan may nuzool o ajlaal
qasr e shaahi se a ya
par ish
lashreet thi zan e haakim ke juloo may jo rawaan
dekhti kya hai ke ek sher hai aahan may nihaan
laaghar o qasta tan o faaqakash o tashna dahaan
moo pa saili ke nashan pusht pa durron ke nashan
saaqe pa faaqe se zanjeer may thar'rati hai
isthekhanon se larazne ki sada aati hai
sab ne moo karke suye hind ye ki nauha giri
dekhiye shaam ke zindaan sa
hai may qaal ke zindaan sa Se Hai Be Qabari
Kyun Musalsil Kiya Ye To Hai Adam Ka Safari
Kis Ne Dam Band Kiya Touq E Jafa Se Iska
Silsila Milta Hai Kuch Sher E Khuda Se Iska
Gird Aabid Ke Phiri Hind Ba Haal E Tagheer
Rakh Diya Paon Pa Sar Apna Hatakar Zanjeer
Bole wo kaun hai boli ke kaneez e shabbir
assalaam ay rasan o touq o salaasal ke aseer
hai wasiyyat ka mahal marne pa tayyar hai too
Kuch Kafan Ke Liye Rakhta Hai Ke Naadaar Hai Too
Gham Na Kar Gor O Kafan Mai Tujhe Doongi Lillaah
Nange Sar Tere Janaze Ke Chaloongi Hamraah
Marne Waale Tera Kya Naam Hai Kab Se Hai Tabaah
Bole Maula Abhi Chaalees Baras Jeena Hai Aah
Naam Bekas Bhi Hai Qaidi bhi hai beemar bhi hai haal
ye hai ke aseer bhi hai aazaar bhi
hind ne poocha maraz kya hai
kaha bepidari roke wo boli dawa kya hai kaha nauhagiri
ghar ko daryaaft kiya kehne lage darbadari ka ha
boli leta
q poocha to
sharmaane lage
Mere Moula SAJJAD. 😭😭😭😭😭🙏
Hayee hayee 😭😭😭😭😭
Maula aapko salamat rakhen. Jazakallah!
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢😢
😭😭😭😭😭❣️
😥😥😭😭😭😭💘❣️😭😭
😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭
😭😭😭😭😭🙏
😭😭😭😭😭