Vada pav Recipe |Street style vada pav banane ka tarika |barish ke mausam me banaye garam vada pav

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 6 жов 2024
  • Vada pav Recipe.
    #vadapav #streetstyle #Rehana'skitchen #tasty #food #tranding #cooking #indianrecipe #recipe #vadapav #deliciousfood #simpleRecipe
    ingredients
    1.pav - 8-10 piece
    2.Aaloo - 3
    3.pyaaz - 1
    4.Hari mirch - 1
    5.Lal mirch powder - half tsp
    6.haldi powder - half tsp + 2 pinch ghol ke liye
    7.sabut dhaniya - half tsp
    8.aamchur powder - half tsp
    9.namak - 1 tsp (half tsp filling ke liye+ half tsp ghol ke liye
    10.meetha sodha - 1 pinch
    11.mustard seeds - half tsp
    12.adrak lehsun ka paste - half tsp
    making
    ek pot me besan ko dalkar isme thoda thoda pani Dalkar iska ghol Bana kar tayyar kar lena hai ab ek pan me oil ko garam karke isme mustard seeds ko Dalkar ise crackle kar lena hai mustard seeds ke crackle ho Jane ke baad isme pyaaz ko dalkar pyaaz ko thoda sa saute kar lena ab isme Hari mirch or adrak lehsun ka paste ko dalkar ise 2-3 min kam aanch par pakne denge 2-3 min baad isme sabhi powder masale namak or aaloo ko dalkar ise 4-5 min Kam aanch par paka Lena hai 4-5 min baad Gas ki flame ko off kar denge or filling ko ek plate me nikal kar thanda hone ke liye rakh denge filling ke thanda ho Jane ke baad hatheli par thoda sa oil ko laga kar iske chhote chhote size ke ball ke shape banakar tayyar kar lena hai or besan ke ghol me dip karke ise garam tel me dalkar golden colour aane tak fry kar lena vade bankar tayyar hai ab garam tel me hari mirch ko fry kar lena hai ab ek pov ko lekar isme green chutney laga lena hai ab isme vade ko rakhenge or Hari mirch ko laga lena hai vada pav bankar tayyar hai aap ise garma garam sarv kar sakte hai

КОМЕНТАРІ • 8