Farwa Tumhara Qasim A.S | Shahbaz Ali Nohay 2020

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 22 жов 2024
  • #ShahbazAli #Nohay2020 #FarwaTumharaQasimA.S #AshkeAza # फरवा तुम्हारा क़ासिम
    Please Like and Subscribe Share with Friends and Family : bit.ly/3iOLOqz
    Listen to and watch the new noha video फरवा तुम्हारा क़ासिम of Shahbaz Ali latest Muharram 2020 Noha Album
    This Noha is written by Maulana Danish Firdaus (Najafi)
    Video Credits:
    Recited by: Shahbaz Ali
    Written by: Maulana Danish Firdaus (Najafi)
    Chorus: Own Rizvi & Team
    AudioRecorded
    Syed Ahmed Hussain AMU Studios (India)
    Mixed & Mastered
    Tirmah Zaidi Al Baqi Studio (Pakistan)
    Edit & post
    Syed Ahmed Hussain AMU Studios (India)
    Video shooting location
    AMU Studios
    Label: Digital Aza
    Chief Organizer
    Syed Ali Hasan Rizvi (USA)
    Nohay Lyrics
    Ibine Hasan (A.S) Kaa Laasha Pamaal Hochuka Hai,
    Farwa Tumhara Qasim (A.S) Tukdo Mein Bat Gaya Hai,
    1. Sarvar Bula Raha Hai Jangal Mein Tum Kahan Ho,
    Aawaz De Raha Hai Maqtal Mein Tum Kahan Ho,
    De Kar Sadayen Tumko Shabbir Thak Gaya Hai,
    2. Nusrat Ko Teri Qasim (A.S) Shabbir Aa Naa Paaya,
    Pamaal Hone Se Main Tumko Bacha Naa Paaya,
    Taapo Se Jisme Nazuk Chhalni Tera Hua Hai,
    3. Aane Mein beta mujhse Takheer ho gai hai,
    Sharminda tumse ruhe shabbir ho gai hai,
    Nusrat ko waqt par jo sarwar na aa saka hai,
    4.Kaise utaye Sarwar Qasim (A.S) tumhari mayyat,
    Tan dekh ke tumhara khasta hui hai himmat,
    Dashte bala mein beta bebas tera chacha hai,
    5. Aao khalile kaba ye majra to dekho,
    Ayyoob sabr e sarvar ki inteha to dekho,
    Qasim (A.S) k tann ka tukda sarwar utha raha hai, .
    6. Ehle haram se koi kehde jigar ko thaame,
    Farte alam se ya rab farwa naa jaan dede,
    Chadar me laash e Qasim (A.S) Shabbir la raha hai,
    7. Ek shab ki biyahi dulhan pal mein hui hai bewa,
    Seene me ghut rahe hain armaan e qalbe kubra,
    Naa shaad umme laila k labb pe ye buka hai,
    8 Aayi naa raas haye qasim tumhe jawani,
    Tumhi the bhayya shabbar ki aakhri nishani,
    Masroofe girya maqtal mein ibne fatima hai,
    9 Wah Qasim (A.S) k naale saidaniyo mein gunje,
    Jiss waqt dekhe Qasim (A.S) k tann k pare pare,
    Ehle haram ka khaima matam kada bana hai,
    10.Qasim Ibine Hasan (A.S) ki Shahbaz par ata ho,
    Ehle aza ko ya rab deedare karbala ho,
    Karbobala mein Danish Ke labb pe ye dua hai.
    New nohay video by Shahbaz Ali reciting Zehra S A Ke Jayee (Official Video). © 2020 Shahbaz Ali / Digital Aza.
    Facebook: / nauhakhwanshabaz
    Instagram: ...

КОМЕНТАРІ • 306