गन्ने की मोटाई कैसे बढ़ाएं। ganne ki motai Kaise badhaye.

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 13 чер 2023
  • गन्ने की मोटाई 4 इंच तक कैसे बढ़ाएं। ganne ki motai Kaise badhaye.
    ganne ki motai badhane ke liye hamen gypsum khad ka istemal Karna chahie jiske andar calcium aur sulfur ki Matra rahti hai ganne ki motai badhane ke liye calcium ek mukhya strot hai aur gypsum khad ke andar calcium aur sulfur bahut hi jyada Matra Mein paya jata hai yah calcium aur sulfur ka jaivik strot hai isiliye buvai se pahle aakhiri jutaai per 100 kilo gypsum ka bikhrav karke rotawaiter khet Mein chala Dena chahie jisse gypsum khet Mein acche se mix Ho jaaye aur uske bad hamen ganne ki buvai karni chahie agar ham calcium ka prayog Apne khet Mein acchi Matra Mein karte Hain to ganne ki motai 4 inch Tak bhi pa sakte hain Kisan bhaiyon ganne ki motai badhane ke liye gypsum khad ka mahatvpurn yogdan rahata hai isiliye gypsum ka istemal ya Yun kahun ke calcium ka istemal hamen motai badhane ke liye karna chahie agar humne boy ke samay gypsum ka istemal nahin kara to 25 kg prati ekad ke hisab se hamen apni ganna fasal Mein calcium nitrate khad ka istemal Karna chahie isase hamare gannon ki motai badh jayegi agar ham chahe to calcium nitrate ghulanshil khad ka bhi apni ganne ki fasal mein motai ke liye prayog kar sakte hain 1 kg ghulanshil calcium nitrate ka spry ek ekad khet Mein karna chahie jisse hamare ganne ki motai acchi tarah se badh sake Kisan bhaiyon ganne ki motai mein gypsum ya calcium ka sabse jyada mahatvpurn yogdan rahata hai ganne ki motai badhane ke liye calcium ka prayog hamen ganna fasal Mein spry ke madhyam se aur jameen ke madhyam se donon tarah se karna chahie dhanyvad.

КОМЕНТАРІ • 66

  • @RandhirSingh-ek8eu
    @RandhirSingh-ek8eu Рік тому +3

    बहुत अच्छी जानकारी देते ह आप मनोज भाई साहब 🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻

  • @pankajsingh4447
    @pankajsingh4447 Рік тому +1

    Good information

  • @surjeetsingh9623
    @surjeetsingh9623 Рік тому

    Good evening manoj bhai 😊😊😊😊❤❤

  • @labraalice
    @labraalice Рік тому +1

    Calcium nitrate ke saath sulfar ka use kr sakte h kya

  • @manikantdeoldeol4967
    @manikantdeoldeol4967 Рік тому

    Calcium nitrate ya combical jyda acha konsa rhega

  • @kishanram5168
    @kishanram5168 Рік тому

    Calcium nitrate +javik potash mallakar bubai kar saktey hai

  • @RAVISAINI-ub9cv
    @RAVISAINI-ub9cv Рік тому

    सर जिप्सम का प्रयोग गन्ने में दुसरी सिंचाई पर भी कर सकते है क्या।

  • @farmingsolution3791
    @farmingsolution3791 Рік тому

    Konsi company ka jipsum achha hota hai

  • @nayyarhusain1011
    @nayyarhusain1011 5 місяців тому

    Ghar ki bani huyi original kach chi sharab ka spray kaisa rahega

  • @kavendralamba7579
    @kavendralamba7579 3 місяці тому

    Calcium nitrate or potas ka ek sath spray kar sakte hai ya nhi

  • @ashutoshtyagi661
    @ashutoshtyagi661 Рік тому

    Calcaim natitrat urea me mila sakta he kya

  • @v12_jatt
    @v12_jatt Рік тому

    Bhai kya calcium nitrate k sath potash mila kar dal sakte hai kya ??

  • @cartoor123
    @cartoor123 2 місяці тому

    Calcium nitrate ke sath kya milakar gire khet mein

  • @RamJi-iq6un
    @RamJi-iq6un Рік тому

    Korajan milakar Dal sakte

  • @piyushgupta5395
    @piyushgupta5395 Рік тому +2

    Manoj bhai calciumnitrate ko jab khet ki sichai kar rahe h tho jan pani na khol de calcium nitrate
    Ya urea me mix kar ke khet me dale de

    • @abhishekgujjar4887
      @abhishekgujjar4887 Рік тому

      Calcium nitrate ki urea ka sat mix nhi kate results nhi aate

    • @abhishekgujjar4887
      @abhishekgujjar4887 Рік тому

      Isme nitrogen nitrate foam hote h or urea ma simple nitrogen h

  • @Arjun-cb7ph
    @Arjun-cb7ph Рік тому

    Her vedyo me alg dawai batte ho bahi

  • @aryanmalik1580
    @aryanmalik1580 Рік тому +1

    Bhai nitrobenzene ke sath biovita 500 ml 1 acre mein lene hai kya btado

    • @sunilpundir4458
      @sunilpundir4458 Рік тому

      Nitrobenzin ke sath quantis aur npk 19.19.19 ka sprey kro top result milega

  • @uqbafiaz4586
    @uqbafiaz4586 Рік тому

    Calcium amonium nitrate bhe useful ha?

  • @anilkumarkumar5266
    @anilkumarkumar5266 Рік тому

    Jipsam kha se milta h

  • @MohdShahid-jd2gk
    @MohdShahid-jd2gk Рік тому

    Bhaiya coragen laga di thi 1 month pehle 3 pani or ek baar barish ho gayi regalt sahi milega

  • @mukeshkumarkumar6240
    @mukeshkumarkumar6240 Рік тому

    Gpsam kha melega ji

  • @kshatrapal7849
    @kshatrapal7849 Рік тому +1

    Upaj badane ke liye contect kre

  • @abhishekgujjar4887
    @abhishekgujjar4887 Рік тому +3

    Manoj bhai ssp ma bhi too calcium hota h

  • @ManojKumar-ng5kd
    @ManojKumar-ng5kd Місяць тому

    Potash 1 Bigha me Kitna Dala

  • @user-lc6cq5ob9p
    @user-lc6cq5ob9p Рік тому

    आपके रिंग पिट का क्या एवरेज रहा

  • @davindergurjar1729
    @davindergurjar1729 Рік тому

    Bhai ganne mein top bowler or thana chetak ek hi hai kya

  • @kavendralamba7579
    @kavendralamba7579 3 місяці тому

    Zipsom Ka katta kitne ka hai

  • @cartoor123
    @cartoor123 2 місяці тому

    1 ekad khet mein 25 kilo to purani padega

  • @ambardahiya
    @ambardahiya Рік тому

    क्या इतनी गर्मी में कैल्शियम नाइट्रेट का प्रयोग कर सकते हैं ??

  • @mayanktyagi4226
    @mayanktyagi4226 Рік тому +1

    गन्ने में यूरिया की मात्रा कितनी दे शुरू से आखिर तक?

  • @sachinrana9743
    @sachinrana9743 Рік тому +4

    manoj bhai kya hum progibb+quantis+19:19:19. k saath nitro benzim ki spray kr sakte hai kya

  • @piyushgupta5395
    @piyushgupta5395 Рік тому +1

    Kya gypsum ka use ab bhi kar sakte h urea me mix karke

    • @ManojRajput
      @ManojRajput  Рік тому

      Ha

    • @hnydhiman9985
      @hnydhiman9985 Рік тому

      ​@@ManojRajput Bhai ped kaise sukaye mitti ke tel se btaoo pls bhai

    • @hnydhiman9985
      @hnydhiman9985 Рік тому

      ​@@ManojRajputBhai apne ek video me btaya tha ki mitti ke tel se ped ko sukha sakte hai btao Bhai muze. Shkana hai meere se baat kro gg

  • @santoshkushawaha2194
    @santoshkushawaha2194 Рік тому

    👍👍👍🕉️🕉️🕉️🕉️🕉️🕉️🕉️

  • @hardeepsarwara8054
    @hardeepsarwara8054 Рік тому +2

    Red ko kaise roke 0238 m
    7 april ki buwaayi h

  • @RohanSingh-iy3yg
    @RohanSingh-iy3yg Рік тому

    Calcium nitrate mai magnisium sulphate mila skte h kyaa

  • @शिवमचौधरी.up12जाट

    भाईजी कैल्शियम नाइट्रेट दानेदार की घोल कर स्प्रे करे तो👉पत्तो पर ज्यादा लाभ मिलेगा या स्प्रे से ड्रिप विधि द्वारा जड़ों में🤔🤔

    • @ankitchaudhary4881
      @ankitchaudhary4881 Рік тому

      Spray ka dwara aacha kam karaga

    • @labraalice
      @labraalice Рік тому

      Nahi karega ghol wala alg aata h

    • @sunilpundir4458
      @sunilpundir4458 Рік тому

      पौधों की जड़ों में ज्यादा लाभ होगा

  • @ravibhardwaj2332
    @ravibhardwaj2332 Рік тому

    मनोज भाई जी आपका मो न क्या है

  • @anandtiwari7442
    @anandtiwari7442 Рік тому +1

    मनोज भाई calcium nitrate को अकेला ही डालें या यूरिया के साथ???

    • @ManojRajput
      @ManojRajput  Рік тому +1

      Thoda bahut Milana chaho to Mila sakte hain vaise iske andar pahle se hi nitrogen hoti hai

    • @anandtiwari7442
      @anandtiwari7442 Рік тому

      @@ManojRajput thanks Bhai

  • @Deepanshu___Chaudhary
    @Deepanshu___Chaudhary Рік тому

    Sidha khad btaya kro Jada bakwas Mt bhra kro video me

  • @Robust_Programer
    @Robust_Programer 2 місяці тому

    tere peche jo gannna uske motai badha lo phle

  • @noobgamer3062
    @noobgamer3062 6 місяців тому

    E sala reply nahi deta

    • @ManojRajput
      @ManojRajput  6 місяців тому

      एक बार जीजा बोल दिया कर रिप्लाई जरूर मिलेगा तुझे

    • @noobgamer3062
      @noobgamer3062 6 місяців тому

      @@ManojRajput tumhari beti se shadi karao jarur boldunga