Mehdi Hassan/Tari Khan- Yuun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise [From audio Archive of Jamal Rashdi ]

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 26 лис 2024

КОМЕНТАРІ • 75

  • @vichitram7037
    @vichitram7037 17 днів тому +5

    Waah! Suman ji, uploads ke saath aapke visuals bhi sarahaaniye hote hain ! Dekh kar aise lagta hai jaise hum Mehdi Hassan Saaheb ko live hi sunn rahe hain!
    Iss private mehfil mein gaayi, Khan sb, ki ek aur nayaab peshkash ko saajha karke, hamein sunne ka mauqa dene ke liye, Rashdi sb, aur aapka dil se shukriya !
    Khan sb, ne apni iss performance mein, Shastriye kala aur apni taaleem ke baare mein bade vistaar se bataaya hai, jisei sunn kar hamaare bhi gyaan ki jaankaari mein izaafa hua !
    Shaayar ke dil ko choone waale alfaazo.n ki nazakat ko, motiyo.n ki tarah piroh kar pesh kiya hai,
    Khan sb ne ! ....Ishq ko shirk kee, hadd tak naa badhaa ..yuu.n na chhup humse, Khuda ho jaisey !
    Bahut hee pyaare ashaar hain ....Log yuu.n dekh ke ha.ns dete hain, tuu mujhe bhool gaya ho ....
    Hitchkiyaa.n raat ko aati hee rahee.n ...Toone phir yaad kiya ho jaise .
    Aur ye aakhir ka sh'er to rooh ko chuu leta hai ...Zindagi beet rahi hai "Daanish".....Ek be-zurm, sazaa ho jaisay !
    Unka sur laagaane ka bahut hee dil fareb andaaz tha ! Itne sakoon se gaate thay, ke sunne waalo.n ko bhi badi raahat mehsoos hoti thii !
    Bahut hi aalishaan aalaaps aur harkato.n se sushobhit kiya iss peshkash ko unhone.
    Dil ki gehrayion ko chuu gaya unki utkrisht gaayaki ka ye andaaz-e-bayaa.n ! ❤
    Bahut lutf aaya aaj ki iss naayaab ghazal ko Khan saheb kee makhmali aawaaz mein sunn kar !
    Ustad Tari Khan sb ke baa kamaal table aur Ustad Asad Ali Khan ke harmonium ki sangat ne,
    nikhaar diya iss live performance ko !
    Audience kee waah-waahi sunaayi de rahi thii , unki kala ki tareef mein !
    Subhaan Allah! 👌👌👌
    Hamaari shubh kaamnaayein ! 👍💐🙏

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  17 днів тому

      @@vichitram7037 Audience mein Rashid Jamal Saheb bhi hain. Shukriya Vichitra Jee itna accha comment likhne ke liye.

    • @vichitram7037
      @vichitram7037 17 днів тому

      @ Atal Bihari Vajpayee ji bhi nazar aa rahe hain picture mein!

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  17 днів тому

      @vichitram7037 Yes. Atal Jee bhi khan saheb ko chaahne waalon mein se they.

    • @vichitram7037
      @vichitram7037 17 днів тому

      Kya unheen ke saath mein baithe hain , Jamal sb ?

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  17 днів тому

      @@vichitram7037 Ye tasveer alag mehfil ki hai?

  • @pakmusic8145
    @pakmusic8145 13 днів тому +3

    Subhaan Allah.. Kia kamaal aor Lajawaab fankar thay.. Mehdi Hassan Sb.. Allah Maghfirat farmaey..

  • @sherafzal9834
    @sherafzal9834 11 годин тому +1

    ❤❤❤wah wah mehdi Hassen Sahib

  • @narendralodhia
    @narendralodhia 13 днів тому +2

    It’s wonderful to hear about Surav Suman Ji and his dedication to preserving the legacy of the legendary Mehdi Hassanji . Fans like him play an invaluable role in keeping Mehdi Hassanji ’s art alive for new generations, especially through sharing rare videos and recordings that bring back the magic of those timeless performances.
    Thank you, Surav Sumanji, for your passion and effort in sharing these treasured pieces of music history. Your work allows more people to experience Mehdi Hassanji’s unmatched mastery and dedication to ghazal music, ensuring that his contributions continue to inspire and touch hearts worldwide.❤

  • @nirmalpande3207
    @nirmalpande3207 18 днів тому +4

    रियाज़ , रियाज़ और सालों का रियाज़ है जिसका ज़िक्र अपने कई सारे साक्षात्कारों में मेहदी हसन ने करा है, ... सुमन जी बहुत बहुत शुक्रिया आपका और जमाल रिज़वी जी का इस धरोहर को बचा कर रखने और सामने लाने के लिए ....🌹🌹🌹

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  18 днів тому +1

      Shukriya Nirmal Sir feedback Dene ke liye.

  • @BhagatSingh-q8x
    @BhagatSingh-q8x 13 днів тому +1

    असरदार गायकी और सुरों की मिठास 🙏🙏🙏🙏

  • @kamleshpandya1271
    @kamleshpandya1271 15 днів тому +1

    इसका नशा मरते दम तक नही उतर सकता!कैसे शुक्रिया अदा करू?

  • @kanekarvilas12
    @kanekarvilas12 18 днів тому +2

    Very nice ghazal by the king of ghazals.Thanks Suman ji & Rashdiji.

  • @sonaliyajatin5533
    @sonaliyajatin5533 17 днів тому +1

    Aur ek Ustad ji ki lajawab ghazal ka bahetarin taufa Suman ji Aur Jamal Rashdi saheb ki taraf se❤️
    Thank you both 🙏🙏

  • @amjad268
    @amjad268 17 днів тому +2

    Thank you both of u Suman ji and Rashidi Sb ❤. ❤ ❤

  • @hnmirza1
    @hnmirza1 17 днів тому +2

    Another priceless gem! Thank you. Khan saheb in full flow.

  • @hussainbhatti8721
    @hussainbhatti8721 10 днів тому +2

    Halq or seene ki taanain Mehdi sahib na Laga sakte thy or callasical GANA Patiala gharane ka fan Hy Ustad amanat Ali Khan or Ustad Fateh Ali Khan gazal Mehdi sahib ne bohat ache Gai Mehdi sahib Tano ke baat karate Hain wo to thumri na ga saky maazrat yani jo thumri ka tariqa hy

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  10 днів тому

      @@hussainbhatti8721 shukriya sir for feedback.

  • @maheshsoni5051
    @maheshsoni5051 17 днів тому +1

    Poetry of Ehsan Danish Ji and sweetness in singing of Mehandi Hasan Sb...
    Ishq ko sheerk ki had tak na bada...yu na mil mujhse khuda ho jaise...

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  17 днів тому

      @@maheshsoni5051 Shukriya sir for Feedback.

  • @NS-vz2rx
    @NS-vz2rx 18 днів тому +2

    Wah wah wah ... Aaalaa G aaalaa bahot khoob bahot aaalaa

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  18 днів тому +1

      Shukriya sir for listening and feedback.

  • @SUDHIRKUMAR-iz2fo
    @SUDHIRKUMAR-iz2fo 17 днів тому +2

    क्या कहने❤❤

  • @GhazalStudioChannel
    @GhazalStudioChannel 16 днів тому +1

    Incredible ❤❤❤❤❤

  • @sherafzal9834
    @sherafzal9834 17 днів тому +2

    Wah wah mehdi Hassen Sahi❤❤b

  • @ketchup2709
    @ketchup2709 17 днів тому +1

    Waah Suman❤ Great sharing thanks.🙏

  • @LatifAhmad-vf4sz
    @LatifAhmad-vf4sz 18 днів тому +1

    Mehdi Hassan Sb. Pay Allah Taala ka khas Karam tha k behlawy ki aamad byintaha the aur in k sur ki pukhtgi aur khubsurti KY lea wo apni mesal app he thy. Allah Taala un k darjat buland farmay aur unhain Janat ul Firdous main aala maqam atta farmay Aameen Summa Aameen

  • @FerozPathan-m7m
    @FerozPathan-m7m 17 днів тому

    धन्यवाद भाई, उम्दा रचना आपने पेश किया.

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  17 днів тому

      Thanks for listening and sharing ur feedback.

  • @gaaykistudiosranjitpunjabi4459
    @gaaykistudiosranjitpunjabi4459 18 днів тому +2

    Thanks ji ❤❤❤

  • @skgquranacademy3317
    @skgquranacademy3317 11 днів тому

    Thanks sir

  • @RaNaAli-ts8cc
    @RaNaAli-ts8cc 17 днів тому

    Mashallah ❤️ ❤️ ❤️

  • @sumansaurav71
    @sumansaurav71  18 днів тому +4

    Mehdi Hassan/Tari Khan- Yuun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise [From audio Archive of Jamal Rashdi ]
    Tabla -Tari Khan
    Harmonium -Ustad Asad Ali Khan
    This private Mehfil was organised in Houston in Early 80s. Thanks to Jamal Rashdi saheb for sharing this classic recording with music lovers.
    This ghazal is composed in Raag Bilawal+Bhairavi.

  • @basant161
    @basant161 18 днів тому +2

    ❤❤❤❤

  • @pongleekapyar
    @pongleekapyar 14 днів тому

    Saurav ji, aap ne to kamaal h kar dya ha ye jaadoo ki puryaupload kar ke, mere paas alfaaz nah han aap ko dhanyavaad kehne ke liye!

  • @sufimehfil2023
    @sufimehfil2023 18 днів тому +3

    Kon kon dekh rha hai

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  18 днів тому

      Thanks for listening and sharing ur feedback.

  • @pradikmr
    @pradikmr 17 днів тому

  • @sanjaygadhvi2201
    @sanjaygadhvi2201 17 днів тому

    Vah!
    Is Shri Bajpaiji in audience?

    • @sumansaurav71
      @sumansaurav71  17 днів тому

      @@sanjaygadhvi2201 jee but this picture is from different mehfil.

  • @KAMALK320
    @KAMALK320 6 днів тому

    Àlfaz men tareef mushkil hay

  • @AshokKumar-gp1li
    @AshokKumar-gp1li 15 днів тому

    Lajwaab Gayak aur lajwab Gayaki ❤

  • @s.h2335
    @s.h2335 17 днів тому

    Shukriya ji 🙏👍🌹

  • @mimranbabar
    @mimranbabar 17 днів тому

    ❤❤❤❤

  • @skgquranacademy3317
    @skgquranacademy3317 11 днів тому