Dhaba Style Aaloo Chhole Ki Sabji Ki Recipe | Dhaba Style Aaloo Chhole ki sabji banane ka tarika

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 16 жов 2024
  • Dhaba Style Aaloo Chhole Ki Sabji Ki Recipe.
    #DhabaStyle #AalooChholekiSabji #Rehana'skitchenjaipur #tasty #food #tranding #recipe #cooking #viral #dhabastyle #AalooChhole
    ingredients
    1.Chhole - 250g
    2.Aaloo - 250g
    3.Pyaaz - 2
    4.tamatar - 5 Chhote size ke
    5.Hari mirch - 3-4
    6.adrak lehsun paste - 2 tbsp
    7.Lal mirch powder - 2 tbsp
    8.haldi powder - 1& half tsp
    9.Dhaniya - 1 tbsp
    10.namak - 1& half tbsp
    11.hari ilaichi - 2
    12.badi ilaichi - 1
    13.javitri - 1 inch ka tukda
    14.jeera - 1tsp
    15.Shah jeera - thoda sa
    16.Kali mirch - half tsp
    17.laung - 4
    18.dalcheeni - 1 inch piece
    19.oil - 200g
    20.tej patte - 3
    21.dahi - 100g
    22.hara dhaniya - muththi bhar
    making
    ek cooker me chhole or Aaloo ko dalkar isme half tbsp namak thoda sa haldi powder or 2 glass Pani ka Dalkar ise tej aanch par 5 seeti aane denge taki chhole or Aaloo gal jaye. ab ek bartan me oil ko garam karke isme khada garam masala Dalkar ise achche se crackle kar lena hai ab isme pyaaz ki puree ko Dalkar pyaaz ko light pinkish colour aane tak fry kar lena hai pyaaz ke fry ho Jane ke baad isme adrak lehsun ka paste ko dalkar ise 2-3 min tak bhoon lena hai adrak or lehsun ke bhun Jane ke baad isme sabhi powder masale, namak or aadha katori Pani ki dalkar ise 4-5 min tak bhoon lena hai masale ke bhun Jane ke baad isme tamatar puree or Hari mirch ki Puree ko dalkar ise 4-5 min tak bhoon lena hai tamatar or hari mirch ki Puree ke bhun Jane ke baad isme dahi ko Dalkar 4 min tak bhoon lenge ab isme boiled aaloo, boiled chhole, Hara dhaniya Dalkar isme half glass chole ka Pani Dalenge or half glass sada pani Dalkar ise kam aanch par 7-8 min tak paka lena hai Aaloo Chhole Ki Sabji bankar tayyar hai aap ise garma garam Puri ke sath sarv kar sakte hai
    • Chhole Aaloo paneer ki...

КОМЕНТАРІ • 6