Mira Waliyo Ke Sardar | Manqabat e Gaus e Azam 2023

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 21 жов 2023
  • Mira Waliyo Ke Sardar | Manqabat e Gaus e Azam 2023
    Kalam: Miran Waliyo Ke Sardar
    Writer: Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri
    Reciter: Waqar Ahmed Qadri
    R&R: ‪@WaqarAhmedQadri‬
    Lyrics:
    Mira Waliyo Ke Sardar ShayanLillah
    Teri Unchi Hai Sarkar ShayanLillah
    ShayanLillah Ya Abdal Qadir Jillani
    Haath Phailaiye Darpar Khada Hai Gareeb
    Tu Hai Rab Ka Wali Tu Nabi Ke Qareebb
    Shah e Jilaa Jagadey Mera Bhi Naseeb
    Mai Hoo Bimaar Tera Tu Mera Tabeeb
    Mere Bhi Dard Ki Aaj De Dey Dawa
    Tera Banda Hai LaChaar, ShayanLillah
    ShayanLillah Ya Abdal Qadir Jillani
    Dal Dey Mujh Pe Apni Ataa Ki Nazar
    Door Kar Mujh Se Khauf e Qaza O Ka Dar
    Gham Ki Taarekiya Sab Meri Khatam Kar
    Zindagi Ki Ho Meri Nayi Ik Saher
    Kashti e Naa Tawa Ka Tu Hai Na Khuda
    Kardey Mera Beda Paar, ShayanLillah
    Teri Aye Shah e Jilaa Badi Shaan Hai
    Marhaba Aulia Ka Tu Sultan Hai
    Qadriyo Ko Tujh Par Bada Maan Hai
    Teri Nisbat Hi To Apni Pehchan Hai
    Hum Ko Jo Kuch Mila Tere Dar Se Mila
    Tera Aisa Hai Darbar, ShayanLillah
    Shaan Unchi Teri Mere Gaus o Jali
    Tere Zer e Qadam Sare Gaus O Wali
    Mere MurJhaaye Dil Ki Khila Dey Kali
    Meri Qismat Buri Ho To Kardey Bhali
    Mere Lafzo Sey Bhi Shaan Teri Siwaa
    Ibn e Haidar e Karrar, ShayanLillah
    Urs Me Terey Hazir Hua Hoo Sahah
    Jholiiya Khol Kar Dey Raha Hoo Sada
    Aaj Damaan Murado Se Bhardey Mera
    Aye Gani Tere Dar Hai Bikhari Khada
    Tere Nana Mukhtar e Qul Sarwara
    Hai Dada Haidar e Karrar, ShayanLillah
    Faiz Tera Sada Hum Pe Jaari Rahey
    Yun Hi Teri Nazar Pyari Pyari Rahey
    Qaim Ulfat Dilo Me Tumhari Rahey
    Tum Se Ulfat Hi Pehchaa'n Humari Rahey
    Jab Talak Hum Jiye Ho Yahi Mashgala
    Tere Naam Ki Takrar, ShayanLillah
    Tere Darbar Me Agaya Jo Gada
    Apni Man Ki Murado Ko Wo Paagaya
    Sun Ubaid e Raza Ka Bhi Ye Muddaa
    Raqs Karti Hai Lab Par Yahi Ik Sada
    Chehra e Paak Se Aaj Parda Utha
    Mere Mira Bas Ik Baar, ShayanLillah

КОМЕНТАРІ • 11