Zindagi ka dard lekar inqalaab aaya to kya Ek doshiza pe ghurbat main shabaab aaya to kya Ab to aankhOn par gham-e-hasti ke pardai paRd gaye Ab koi husn-e-mujassim beh-naqaab aaya to kya Khud chale aate to shaayad baat ban jaati koi Baad tark-e-aashiqi khat ka jawaab aaya to kya MuddatOn bichhaDe rahe phir bhi gale to mil liye Hum ko sharm aayi to kya un ko hijaab aaya to kya
Ek tajalli se munawar ki jiye qatl-e-hayaat Har tajalli par dil-e-khaana-kharaab aaya to kya Matala-e-hasti ki saazish dekhA te ham bhi 'Shakeel' Hum ko jab neend aa gayi phir maahataab aaya to kya -Shakeel Badayuni
❤ Aik behtreen ghazal
Bahut sukun Aya man ko. Me from assam.such a extraordinary voice
Zindagi ka dard lekar inqalaab aaya to kya
Ek doshiza pe ghurbat main shabaab aaya to kya
Ab to aankhOn par gham-e-hasti ke pardai paRd gaye
Ab koi husn-e-mujassim beh-naqaab aaya to kya
Khud chale aate to shaayad baat ban jaati koi
Baad tark-e-aashiqi khat ka jawaab aaya to kya
MuddatOn bichhaDe rahe phir bhi gale to mil liye
Hum ko sharm aayi to kya un ko hijaab aaya to kya
Waaah waaah waaaaahh g kmaaaall
ASALAMALLAIKUM JANAB AADDAB AOUR EID MUBARAK, BAHUT HI SHOKRIYAA ISH GHHAZAL KELIYE MR,MAHAKAVIJI AOUR Mirza jamal saheb kyya bnaayab ghazalen upload ki hai, aaj muddatse dil kibakaashi ko karrar aayya zindaghi kaa dard lekar ikllab aayaa to kyaa, aallh aap ko hamensha tadurashti bakshe fatehchyand,
Kya baat hai .
Aek Nayab Sitara Buz Gaya.
Very sweet and rarest
Not sweet very sad voice
wah wah wah wah wah wa
Ek tajalli se munawar ki jiye qatl-e-hayaat
Har tajalli par dil-e-khaana-kharaab aaya to kya
Matala-e-hasti ki saazish dekhA te ham bhi 'Shakeel'
Hum ko jab neend aa gayi phir maahataab aaya to kya
-Shakeel Badayuni
zzzzpakistan qasr-e-hayaat
@@junnu0919
durust ...qasr-e-hayat !
baat jab hai ġham ke māroñ ko jilā de ai 'shakīl'
tū ye zinda mayyateñ miTTī meñ daab aayā to kyā
Matala-e-hasti ki taabish dekhte ham bhi 'Shakeel'
most beautfiul song song by malika e gazal written by shakeel badanyuni
ہم کو تو شرم آئی تو ان حساب آیا.