Kabhi Youn Bhi Aa Meri Aankh Main Ke Meri Nazar { The Immortal Jagjit Singh } * The Golden Moments *

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 30 вер 2024
  • Kabhi Youn Bhi Aaa Meri Aankh Main Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
    Mujhe Ek Raat Nawaz De Mager Uske Baad Sehar Na Ho
    Wo Barra RAHEEM-O-KAREEM Hai Mujhe Yeh Sifat Bhi Ataa Kare
    Tujhe Bhoolane Ki Duaa Karun To Duaa Main Meri Asar Na Ho
    Kabhi Din ki Dhoop Main Jhoom Ke Kabhi Shab Ke Phool Ko Chuum Ke
    Youn Hi Saath Saath Chalein Sadaa Kabhi Khatm Apna Safar Na Ho
    Mere Paas Mere Habib Aaa Zara Aur Dil Ke Qareeb Aaa
    Tujhe Dhadkanon Main Basaa Lun Main Ke Bicharrne Ka Kabhi Darr Na Ho
    Mere Baazuon Main Thaki Thaki , Abhi Mahav-e-Khwaab Hai Chadni
    Na Uthe Sitaron Ki Paalaki, Abi Aahaton ka Guzar Na Ho
    Wo Firaaq Ho Yaa Visaal Ho, Teri Yaad Mahakegi Ek Din
    Wo Gulab Ban ke Khilega Kya, Jo Chirag Ban Ke Jalaa Na Ho
    Kabhi Dhoop De, Kabhi Badaliyan, Dil-o-Jaan Se Donon Qubul Hain
    Magar Us Nagar Main Na Qaid Kar Jahan Zindagi Ki Hawaa Na Ho
    Album: The Golden Moments
    Lyrics: Bashir Badar
    Music: Jagjit Singh

КОМЕНТАРІ • 3

  • @Aziee4u
    @Aziee4u 4 роки тому +1

    @imranzaidi6 ( Comments )
    There is an amazingly different kind of effect, Jagjit's melodies create; An incredible voice & immense talent for singing all shades of songs/ghazals. He sings here so beautifully the poetic imagery of the ghazal. The lover's dream to imagine his love to be with him without even his awareness, and swinging in the sunshine of the day, kissing the flowers of the night, she stays with him never to go back.
    And the exalted pictures shown by Aziee make the upload a real treat. Thanks !!

  • @Aziee4u
    @Aziee4u 4 роки тому +1

    @Haseena93 (Comments)
    Soothing and Soft. Yet heart touching and Meaningful. Love this ghazal. And your presentation is lovely. Thanks Aziee. Miss JS :(

  • @Aziee4u
    @Aziee4u 4 роки тому +1

    @khandeel ( Comments )
    Waiting is painful. Forgetting is painful. But not knowing which to do is the worse kind of suffering.
    Paulo Coelho
    How beautifully , the poet says , pleads , to come softly and never leave. JS, puts his soul in his rendition, and pierces the heart.
    Bashir bader , has penned it beautifully. Your pictures , flow smoothly with the ghazal. A good presentation.
    Tujhe bhoolne ki dua karun,
    Toh asar na ho meri duayon mein .... Priceless. !!
    Thanks Aziee, another, Superb upload.