New Muharram Naat|| हर ज़माना मेरे Hussain Ka Hai||
Вставка
- Опубліковано 2 жов 2024
- الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على سيد الأنبياء والمرسلين أما بعد فاعوذ بالله من الشيطان الرجيم بسم الله الرحمن الرحيم
Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana...
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!
Itna to karam karna ay chashme karimana...
Jab jaan laboon par ho tum saamne aa jaana!!!
Ji chahta hai tohfe mein bhejun unhein ankhein...
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana!!!
Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho betha...
Hans kar jo kaha tumne aaya mera deewaana!!!
Dunya mein hamein tumne jab apna banaya hai...
Mehshar mein bhi keh dena ye hai mera deewaana!!!
Kyun aankh milayi thi kyun aag lagai thi...
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!
Peene ko pee lunga bas arz zara si hai...
Ajmer ka saaqi ho bagdaad ka mekhaana!!!
Bedum meri qismat mein sajde hain usi dar ke...
Chuta hai na chute ga sang e dare janana!!!
har zamaana mere husain ka hai
jaan maango, mai.n dil nahi.n doonga
dil thikaana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
jis ki KHaatir ye kaainaat bani
aisa naana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
jis pe har ik durood pa.Dhta hai
wo gharaana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
ye jo kaa'ba hai tum na samjhoge
ghar puraana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
raat se din jo ye nikalta hai
muskuraana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
tum jise aasmaa.n samajhte ho
shaamiyaana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
koi pooche ye daur kis ka hai
tum bataana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
boli.n zahra ye ashk do mujh ko
ye KHazaana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
ug raha hai jo baa'd-e-karb-o-bala
daana daana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
jis jagah hur banaae jaate hai.n
kaarKHaana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
jab se ghar me.n saje hai.n mere 'alam
aana jaana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
mujh me.n, Rehaan ! ye sha'oor jo hai
shaa'iraana mere husain ka hai
har zamaana mere husain ka hai
#allah #madina #viral #voiceeffects #karbala #newnaat #urdu #video #newgeet #naat2024 #hussain #hindi #urdupoetry #urdumushayera #qadri #qadriofficial #naat #madinanaats #naatshareef #muharram #prophetmuhammad #Prophet #arbic #vocals #muslims #HafizAadilAttari
Wah Ma Sha Allah 🎉🎉🎉
Bahut khoob 🎉🎉🎉 Ma Sha Allah
Mashallah
Mashallah ❤
❤❤❤❤
Nice voice ❤❤❤❤❤❤❤
❤
❤❤❤❤
Bahut sandar
Mashallah bahut khoob
ye sab apki dua se
Too good
Thx