Visited Dev Kamrunag Mandir/kahani Mahabharat Kaal ki!

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 22 чер 2024
  • Himachal pradesh k Mandi se 40K door by Chailchowk or Aap ja sakte ho Janjheli se Dev Kamrunag Mandir.Sadak se Takriban 3000Ft. ki unchayi pe ye Mandir hai.
    Dev Kamrunag sakshaat Narayan ka Roop hain,Isiliye inhe Bada Dev Kamrunag ke naam se jana Jata hai.Mahabharat k yudh k baad Narayan yaani krishan Bhagwaan or pandav bhot hi zada dukhi the,Narayan ne pandvon ko Aadesh diya Ki prithvi par koi esi jghaa dekho jo insanon ki pohonch se door ho Or Ekaant ho To pandvon ne Kamrah Naamak jghaa dhundi Jo himachal pradesh ke Mandi me payi Jaati hai!Jagha milne k baad Narayan ki murti ki sthapna Pandvon ne ki,parNarayan ne kaha ki yahan to pani ka koi stroat hi nai hai to Arjun ne kahaa ki Madhav Aap chinta mat kijiye me Yahan par Paataal se pani khinch k le aaunga or tabhi bheem bole ki me yahan hatheli Maar kar ek jheel Banaunga.Isi prakaar yahan pe is sarovar ka nirmaan Pandvon dawara kiya gaya.yeh murti Sheshnaag k fun par banayi gayi hai to jahan narayan wahan shesh naag.Is jgha par ek Naag ke Aakaar ka podha bhi paya jata hai jo ki bhot hi kismat walon ko Dikhayi Deta hai.Isiliye yahan Nagon ka Bhot hi zada Mahatav hai.Narayan yahan par Naag Roop me darshan Dete hain.
    yahan pe Narayan ke chune gaye Laathi khaandaan se hi pooja hoti hai.To un k purvajon k anusaar pehle is sarovar ka paani is murti ka swayam Jalaabhishek karta tha.Is sarovar me Mahabharat kaal ka sona Chipaya gaya Hai isiliye yahan par Kisi bhi shradhalu ki manat puri hone par un k dawara sona,chaandi,Pese sabh chadhaya jata hai or kaha jata hai ki is sone,chaandi or pese ki raksha sawayam Narayan karte hain.To ye thi Dev Kamrunag ki kahani,to Comment section me Jai shri Hari Narayan likhna Na bhuliyega!

КОМЕНТАРІ • 5