Zainab(s.a) Tu Sabr Karna | Noha 2022 | Wasiyat e Imam Ali a.s | 21 Ramzan | Hassan Razvi |

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 25 жов 2024
  • Rukhsat e Ali a.s in Masjid e koofa and wasiyat to our beloved Shehzadi Zainab s.a and our beloved Imam Hassan a.s and Imam Hussain a.s.
    Zainab a.s tu sabr karna---Zainab a.s tu sabr karna---Zainab a.s tu sabr karna.
    786/110
    Vol 1:
    Noha: Zainab (s.a) Tu Sabr Karna
    Reciter: Syed Abul Hassan Razvi
    Poet: Akbar Razvi
    Composition: Farhan Razvi
    Audio: Lawa Studio
    Video: Syed Ali Meesum Abidi
    Background Support : Farhan Razvi,Kamran Zaidi,Syed Ali Meesum Abidi,Wahed Ali
    Presented by: Anjuman e Hashmi
    Special Thanks : Mohd Abrar (Sadr e Noha khuwan) Anjuman e Hashmi
    --------------------Lyrics------------------------------------
    Kehne lagein ye hyder, zainab tu sabr karna
    Waqt e qaza hai dukhtar , zainab tu sabr karna
    1) rakhna qayal apna humko na ab rulana,
    Meri judai ka ab sadma nahi uthana,
    Jaao Kasam ye khakar, zainab tu sabr karna
    2) mushkil khushaii ko mai aaunga tum bulana,
    Ranj o sitam ki dukhtar tum daasta'n sunana,
    Darbaar me ae muztar, zainab tu sabr karna
    3) wada karo ye mujhse na baddua karogi,
    Deen e khuda ki khaatir har zulm ko sahogi,
    Chinnjaegi jo chadar, zainab tu sabr karna
    4) hasnain rorahay hai kounain rorahay hai,
    Marqad me Fatima bhi bechain horahay hai,
    Sadma hai har qadam per, zainab tu sabr karna
    5) darbar jaogi tum hokar aseer e qaidi,
    Na janay kitne din Tak beti rahogi pyasi,
    Rulwaega sitamgar, zainab tu sabr karna
    6) manzar ye phir Rahay hai nazro me karbala ke,
    Katt ke girenge baazu darya pe bawafa ke,
    Marjaega baradar, zainab tu sabr karna
    7) Ummat ki be ruqee ke lagne lagenge taanay,
    dil ko rulaenge wo dushman zamanay walay,
    Tumko yateem kehkar, zainab tu sabr karna
    8) kuch deir me uthega mera janaza dilbar,
    Zehra bhi saath hogi aur saath me payambar,
    Ghamgeen hoga manzar, zainab tu sabr karna
    9) darbar ka wo manzar kehta hai sar jhukakar,
    Ronay lagi hai zainab be saaqta ae Akbar,
    Nezay se bolay sarwar, zainab tu sabr karna
    #zainabtusabrkarna
    #syedabulhassanrazvi
    #farhanrazvi
    #Akbarrazvi
    #azadarihyderabad
    #imamali
    #wasiyateali
    #shiaindia
    #sabar #zainab #zainab hon

КОМЕНТАРІ • 55