Mere Baba Mere Baba Noha || Khalid Hussain || Kaimau Muharram......

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 20 жов 2024
  • काईमऊ शरीफ 5 तारीख मुहर्रम (बिलग्राम, हरदोई)
    anjumane hussaini kaimau
    noha khwan = Khalid hussain
    Village= kaimau
    post= bilgram
    district= hardoi
    state = uttar pradesh
    date = 5th Muharram
    thank you for watching this video all hussaini people 💯
    please like, subscribe and share this video everyone 🙏
    hak Hussain maula hussain
    nauha lyrics.................
    mere baba mere baba×2
    bhai jab maara gaya aap kahaan thay baba
    teer asghar pe laga aap kahaan thay baba
    qatl abbas hua aap kahaan the baba
    mere baba................
    sab ye kehte hai ke hai naymate daawar pani
    band karta hai kahan kaun kisi par paani
    ye sitam hum pe hua aap kahaan thay baba
    mere.................
    pyase bachon ke liye jung jo abbas ne ki
    aise yalghaar hue mashq e sakina na bachi
    ek ek baazu kata aap kahaan thay baba
    mere...........
    aaya asghar sare maidaan tho hua aur sitam
    sukhe hoton pe zubaan usne phiraayi jis dam
    teer jab is ke laga aap kahaan the baba
    mere...............
    mera dil bande hasan jab nahi haara baba
    is tarha milke sabon ne usy maara baba
    lasha pamaal kiya aap kahaan thay baba
    mere...................
    baade shabbir hamara koi waris na raha
    Ashqiya aagaye qaimon may hua hashr bapa
    jab chini mere rida aap kahaan thay baba
    mere.........
    jab har ek ehle sitam aag lagane aaya
    itna sajjad tha bimaar ke utha na gaya
    jal ke sab khaak hua aap kahaan thay baba
    mere..........
    sun ke farmaya ali ne mere beti mat ro
    aazmaish ye hai ham sab ki abhi sabr karo
    dil magar kehta raha aap kahaan thay baba
    mere.............
    mai tho har gaam pe tha saath tumhare beti
    chup tha bas marziye mabood ke maare beti
    tum ne ye kaise kaha aap kahaan thay baba
    mere....................
    jab kabhi chasme tasavvur se ye shabbar dekha
    baap ko girya may beti ke barabar dekha
    haaye kaisa tha gila aap kahaan thay baba
    mere.................
    खालिद पेशवा काईमऊ शरीफ

КОМЕНТАРІ •