Nohay 2022 | Kunba Gaya Pardes | Mahfooz Sultanpuri Nohay 2022 | Noha Bibi Sughra | New Noha 2022

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 25 лип 2022
  • Nohay 2022 | Kunba Gaya Pardes | Mahfooz Sultanpuri Nohay 2022 | Noha Bibi Sughra | New Noha 2022
    Don't Forget To Subscribe 👇
    / mahfoozsult. .
    New Noha Bibi Fatima Sughra 2022
    Title - Kunba Gaya Pardes
    Related - Bibi Fatima Sughra
    Reciter - Janab Mahfooz Sultanpuri India
    Poetry - Waiz Sultanpuri
    Vocal Recording - Sachin Verma (Multi Track Lucknow India)
    Audio - Shadab Studio
    Chorus - Kashif Mirza & Sangat
    Video - Azmat Hyder
    Production - ‪@AzadariChittora‬
    #mahfoozsultanpuri #noha2022 #bibisughranoha #newnoha #nohay2022 #nohay2022 #newnoha2022 #nohay1444 #shahadatbibisakina
    Lyrics
    Sughra watan me rahe gayi tanha... kunba gaya pardes
    Ab hai madeena soona soona... kunba gaya pardes
    1.
    Leke nishane paye akbar roze mariza roti hai
    Bhai ke jane ke gham me rorokar ja'n khoti hai
    Pathta hai har waqt kaleja ..kunaba gaya pardesh
    2.
    Khana pani sab sughra ka bas us din se chut gaya
    Ye kahe kar roti raheti hai dil us dam se toot gaya
    Chode ke mujhko jab se mera ....
    3.
    Jis janib jati hain nighae sirf ghamo ke lashkar hai'n
    Ab ghar me na qasim hai'n na akbar hai'n na asghar hai'n
    Soona soona hai har hujra...
    4.
    Bhai ke jis jhule se har dam dil ko bahelati thi
    Asghar ke jis gaheware ko sine se liptati thi
    Ghar me nahi hai ab wo jhula...
    5.
    Khoon ke aansu roti hai jab suraj dhalne lagta hai
    Tanhai ka khanjar aur shiddhat se chalne lagta hai
    Ho jata hai har gham taza..
    6.
    Door hai sab bhai sab bahene aur mareeza tanha hai
    Ghar me nahi hai ab wo raunaq har ek gosha suna hai
    Har dam raheta hai ye sadma...
    7
    Rate bin soye kat ti hai'n din kat te hain rorokar
    Dil ka haal sunati hai jakar ke qabre zahara par
    Dadi se kaheti hai dukhiya..
    8.
    Wayez aur Mahfooz ka dil Q tukro,n me na bat jaye
    Shahezadi sughra ke gham me Q na kaleja phat jaye
    Dard me dooba hai ye noha..

КОМЕНТАРІ • 220