Lora 99% ghar afford nhi kr sakte at the time marraige, parents bachon ki shadiyaan hi kr pate hai hr ek ko ghar ni dey sakte, aur husband k pass us waqt siwae,,,penis,, k kuch ni hota 😂😅😅😅😅😅😅
Kabhi kabhi alag reh kr bhi shohar hi sas nand sb ka kirdar nibhaty hain wo sb ki kami pori kr dety hain Bs yehi dua hy Allah pak sb ki betiyon k naseeb achy kare naik sathi milaey jo usy samjhny wala ho Habib ul lah ki tarhan
I agree mai hamesha se joint family system ko ghalat samajhti hun.lekin log issy meri azad khayali samajhty thy.i belong to a middle class family.mai ne ye dekha hai k ghr ki aurtein jb mardin se apni baat nhi manwa sakti to phr apny hee jesi aik aurat ko target krti hain.jb itny log hoty hain ghr mei to yaqeenan ko na koi tou nazr andaz hota hai aur phr usky dil mei chupi tamam hasratein aur shikayatein kisi barey hadsy ka sabab ban jati hain.
مسئلہ یہ ہے کہ 25 سال کی عمر میں لڑکا گھر نہیں سنبھال سکتا اس کو مجبوری کی حالت میں ماں باپ کے ساتھ ہی رہنا پڑتا ہے پورے گھر کے اخراجات نہیں اٹھا سکتا اس لئے مجبوری میں اسے رہنا پڑتا ہے عزت اسی میں ہی ہے کہ اپنے اپنے گھروں میں رہے
Beautiful Iftikhar Bhai - always waiting for your Velog - Allah Pak apko SAdda Khush Rukhey - App say baat kerney ko Jee kerta hai - Love from Austin Texas
الگ ہونے سے بعض اوقات جیزیں اچھی ہو جاتیں ہیں مگر بعض اوقات بہت بری طرح بگڑ بھی جاتا ہے ساس نندوں کیاجازت کے بغیر الگ ہونا عذاب بن جاتا ہے وہ کبھی بھی بہو سے سیدھے منہ بات نہیں کرتے کسی غم خوشی میں شریکنہیں ہوتے اور خاندان بھر میں ساس نندیں بھائی بھابھی کو بدنام کرتیں ہیں بیس بیس سال گذر جاتے ہیں قطع تعلق کۓ ہوے۔
Agar alag hone se muamlaat bigarte hain to ye iss baat ki indication hai ke wo shadi shuda couple totally immature hai aur shadi ke kabil nhi thy aur irresponsible insan hain. Agar bigra hua sambhalna na aaye tab tak shadi nhi karni chahye.
کوئی سسٹم برا نہیں برائی انسانوں میں ہوتی ہے جو اس کا غلط استعمال کرتے ہیں۔ یورپ میں رہنے والوں کو پتا ہے کہ جوائنٹ فیملی سسٹم کتنا اہم ہے جب ہم بزرگوں کو دیکھتے ہیں ان کو دیکھنے والا کوئی نہیں ہوتا۔ جب ہمارے بچے دیکھنے والی نانی دادی نہیں ہوتی تو پھر احساس ہوتا ہے کہ جوائنٹ فیملی سسٹم کتنی بڑی نعمت ہے یورپ میں
آجکل کمبائنڈ فیملی سسٹم ہر خرابی کی جڑ ہے ویسے بھی اسلام میں دیور سے بھی پردہ ہے لیکن کئی جگہوں پر بھابھیوں سے جوان دیوروں کے کپڑے بھی دھلوائے جاتے ہیں اور کوئی پردے کا انتظام نہیں ہوتا جس کی وجہ سے بہت سی برائیاں جنم لیتی ہیں اگر والدین کی نگہداشت کرنی ہوتو بہت سے طریقے اپنائے جا سکتے ہیں
Sara damajhdar aur brdasht krne wali larki hy aur uss ka shohar bhi laaie lag nhi iss liay ye ghr bas gia Allah sb ki betion ko shad o abad rakhay good luck ache pehlu muashre k samne aa Rahe shahid susrali society mien koi positive change aa jaiy ap ki effort se
@@asadb1990 30000 Mera monthly kharcha Likha hoa h Jo k m ly rahi hon mjy us m s kharch krna chaheay lyken m wo save kr lyte hon qk wo mery account m aty Hain Baki pora month m unsy extra b lyte rehti hon husband wife m sincerity ho aitebar ho to Zindagi BHT achi guzarti h 30 year unki age h mjy 30 lack Kahan s Dy den shadi KO 3 Saal hoay Hain baby b h ye Zindagi m kbi b dyskty Hain with mutual understanding
Sar hmary khandan me joint sistam hay alhamdulilah hum log bohat achy say rehty hen mery mamon log poty potiyan waly wo gaye hen or wo log b aj tak joint family he hen mashallah
Islam 1 religion he, jo universal he. Her elaqe k culture me dhal jata he. Social structures land, language or culture se aate hen. Arabon ka culture islam nhi. Persian, turks, African, central Asian or Indian culture sub alg alg hen.
@@braveheart8318 culture logon me khud banaya hai , Magar combine family system Allah ne Farz nahi kiya aur na hi is me koi zabardasti ki ja sakti hai, that would be oppression. Hanaray Nabi paak ka example aur unki Sunnat aur unka tareeqa dekha jaye to unhone biwiyon ko alag Chat me rakha, alag rooms thay with own cooking and living , apni marzi se woh rehti theen. Aur tab hi qih aone ghar ki Queen theen. Combined family system sirf tab sahi chal sakta hai agar privacy di jaye husbnd wife ko, ke woh apni planning outing khana peena , pehna, rehna apne hesaab se karein, apne floor me jahan koi bina poicha, entry na le sakkay. Agar yeh cheez nahi, then very bad
Content ki hadd tk tw theek hy lekin halaat pakistan k hain us lehaaz sy sb sy Best hai joint family system alag ghar mie rehny qabil hote nhi larky or baad mie alag ho bhi jaye tw qarz mang maang kr guzara krty hain 3:36
Sarah was a nice girl she was ver intelligent girl usny apny shohar ko usk maaa sy kabi mana nhi kia tha na usk kharch sy jiski waja sy wo ghar ghar bana rha.
سو فی صد درست۔ میری بھی یہ ہی کہانی ہے۔ فرق صرف یہ ہے کہ میری ساس کو اپنی دولت کا بہت فخر ہے اور وہ ملاقت کرنے پر بھی اپنی اکڑ میں ہیں۔ تو ہم بھی خاموش ہو گئے ہیں۔
Isileay compatability shadi k leay subse important chez he jise log nazar andaz ker dete hen. Dono ka level 1 jesa ho to baat bunti he verna log inferiority complex me chale jate hen.
M kaafi salon se apko sun rii hon..bilkul tik baat h ek ek..m b apney time p yehi khyalat rakhti t..lekin is lrki ki luck boht boht boht achii h q k iska shohr ek sensibal mrd h...m aap se apni kahani share krna chahti hon
Ifftikhar bhai yahan saas aik cyco patient hai baqya joint family system Acha hota hai sirf hammare haan kiyoun keh aise bache apnay bachon ki fikkar say azad ho jaate hain aur ghar kay bare kabhi koi tention ho tou handle kar lete hain aur jahan susar aik farigh admi ho wahan jhagra banta hai is liye main aaj bhi kaam karta hoon
The issue is not only the joint family system, the main problem is , a boy who is just 25 years old could not maintain balance between mother and wife . So learn this skill instead of just focusing on your income
'' Ye info barr-e-sagheer k os alim se hasil karda hain jin ki sari omer quran o sunnat ki tehqeeq me basar hoee '' 05:57: Haq e maher Shoher ki janib se diya janay wala ek lazmi gift he jo az-dawaji taluq bananay se pehle ada kerna farz he , jo k kam se kam raqam se lay ker zyada se zyada b ho sakta he , LEKIN ye Tuhfa shoher teh kerta he b.v. ya koi aur nahi. baqi sab batain khilaf e sharah aur nikah me rukawat hain. isi tarah jahaiz b parents ki janib se ek gift he , iska taqaza kerna ghair sharee aur ghair ikhlaqi baat he. jazakallah.
@@iffattahira4361 sach maloom kerne k liyay History nahi sharia mayar he , Shia/sunni & kai sharyee masayal History me ikhtilaf ki bunyad pe kharay hove hain ( jin ka hal shariyat ki tehqeeq me muzmar he ) , me ne 100% sharia ka hukam paish kia he , haq e meher ek flower gift kerna ya koi ayat sikhana b ho sakta he. log haq e mahar ki raqam ko aurat ki safty se tashbeeh detay hain, zara sochain os zamany ki women jo ek waqt ka kha k aglay waqt ka khana tawakal ki bunyad pe raah-e-khuda de dia kerti thien wo mal o asbab ko apni insurance kese tasawur ker sakti hain? aj jo society me Bay-Rah_Ravi orooj pe , os ki ek buhut bari waja Jahaiz o Haq mahar ki bay ja hawas he , kyo k itna paisa jortay jawani nikal jati he. Deen to fitrat he aur fitrat pe chalnay se asani o khushi milti he na k jeena muhal hota he. jo cheez ap ko nature se door lay jayay wo deen ho hee nahi sakta meri behen. allah k liyay nikah ko asaan kijay verna jitna marzi sakht qanoon bana lain logo k islah na-mumkin ho jayay gi.
Instead of living in the drawing room she should have gone to live her parents. She could have easily told them there’s no room in the house currently.
Apki stories bht kuch sikhati hein aik mrtba apki Oman k mehel ki video dekhi thi phr apki kbi story sun li aur us k bd ab bs wait rehta ha next video ka great job sir but ap se kese contact Kia ja skta ha plz
Kuch un larkio par bhi baat karay please, ju susral aa kar kuch kaam hee nahi karti din kay 2/3 bajay breakfast hota hay or week mein aik baar khana pakati hay or bus husband khana order kar day ya kahi bahar ja kar kha lein
Joint Fmely system Me sir ya. Usesly hota he ha iftikhar bhai. Mgar Bht se jonit fmelys Systems Asey bi hn.sir jinki loog Aur duniya wale misalay dte HN. Apko. pta hoga..
Living with husband’s parents is ok. Having his younger sisters is ok. Underage brother is fine too. When dewar grows up separate your portion let him take care of family. You can contribute financially.
Everything has some advantages and some disadvantages. I think if the family members are good then joint family syatem is much better. Those couples who leave the family system become easy victims of social crimes like partner swapping, extra marital affairs and child abuse.
Kya aap ne sadi ki tb apni wife ko alag ghar le kar diya tha??? Kya tab aap ki itni income thi? Income ki wait krte to aap ki sadi konsi age me hoti? Agar ladki ko honewale husband ki financial position pata ho aur wo sadi k liye ready ho tb bhi ye galat hai? Koi ek kahani se aap puri kom pe ek sa rule nahi lagadkte
Sorry but yehi sach hai, agar Mard nahi naan nafqa aur chath de sakta lekin aur Aurat job kar ke Mard ko finance nahi karna chahti to phir yehi solution hai, because yeh wifes ka haq hai. Of course loog apni marzi kar saktay hain but baad me jab sarr pe parhti hai zmmedaari to masle to hotay hain, aagay bachon ki bhi zarooratein. Rozay rakhnay chsyge Mardon ko ya pehle hi bata deba chayhe ke kharcha nahi utha saktay aur sassuraal walon se biwi ki hifazat bhi nahi kar saktay
Me India se hu aur yaha naan nafqe ka issue hi nahi hai....aur naan nafqe me sirf naan nafqe aata hai.....yaha Ghar ka rent hi minimum 10 to 12k indian rps hai.......one of the best school of the city naan nafqe me nahi aati....bachcho k liye one of best doctor of the city naan nafqe me nahi aata.... standard of living kafi high hai yaha....to kya behtar nahi k 12k rent ko bacha k bachcho k education etc me kharch kare??? Ya fir below average ya average school se education de kar rent par ghar le??? har insan k apne apne alag issue hote hai..... behtar hai k situation k hisab se decision le....kisi ek ki kahani se sare logo k bare me rai banana sahi nahi hai....hoskta hai aap ka issue alag ho.....mene yaha dekha hai ger Kom me husband wife dono job krte hai aur ek ki salary se ghar k loan ka EMI jata hai aur dusre ki salary se ghar chalta hai.....EMI 20 years tak chalta hai to kya sahi hai k wife 20 to 25 years tak EMI dene k wajah se job krti rahe aur bachche pura din Ghar me ma baap k bina akele rahe???
Aur ha sirf husband sirf naan nafqa hi kre aur naan nafqe k alava kuch na kre to 50% wife talak lele....Bhai naan nafqe me kya kya aata hai aur kya kya nahi wo research kre aap
Sir, hope you are doing well. It is a matter of pleasure that you always bring some very important and common subject, related to our society and individual. Appreciate you Sir for your continuous efforts. Apart from knowledge and intelligence, you possess a mind with high level humanity which signifies human love and compassion towards each other. Please continue with your successful journey Sir. Best wishes.❤💗💕
Ye to shukar hai ke sara ka husband acha nikla or apni biwi ko le kar alag rehne laga warna zyada tar to shohar andhe ho jate hain or zulm karne lagte man behnon ke kehne par dosra Combine family main rehna kisi soorat theek nahi hota khali sas or behno ki bat nahi bohat si aisi batain hain jis ki wajah se larke ki family ke sath rehna theek nahi hota or na hi safe hota hai dosra ifi bhai sara se kehna ke wo apni beti ko shohar ke bhai ke sath un ke ghar na bheja karain chahe us ka dewar acha ho ga lekin wahan or log bhi rehte hain to sara se kehna ke wo apni beti ko akele na bhejay balke le kar jain wo na ho aik din bachtana pare
Aik or bat sara ke shohar ne man kelye kam wali kyon rakhwai hai jab ke us ki behan wahan reh rahi hai wo khud kam kare apni man bap or apne shohar kelye us ki behan koi mazoor ho to keh sakte hain ke nokar rawai jay dosra agar mushkil ho raha hai dono traf ka kharcha uthana to us ka farz nahi ke wo kam wali rakhawa ke de ye to us ki behan ka kam hai ya us ke shohar ka ke agar wo kam nahi kar sakti to shohar se kahe kam wali rakhwa ke de ya phir khud kam kare han man bap akele hotay or wo khud kam na kar sakte hotay to phir betay ka kam tha ke wo kisi trah kisi kam wali ko rakhwata ya phir khud khidmat kare
مشترکہ خاندانی نظام ،چوائس نہیں ہے۔۔۔یہ مجبور کا استحصال ہے ۔۔۔ایک غیر تحریری معاہدے کی رو سے لڑکیاں بیس ،بیس سال اور کبھی کبھی تو اس سے بھی زیادہ عرصے تک مردوں سے بدتر حالت میں زندگی گذار دیتی ہیں۔۔۔۔لیکن کیا ایسا صرف مشترکہ خاندان میں ہی ہوتا ہے۔۔۔؟اصل بات تو خوش گوار اور بامقصد زندگی کا شعور ہے۔۔۔اور یہ شعور ابتدائی تعلیم وتربیت کا حصہ ہے ۔۔۔اگر کوئی شخص اس سے محروم ہے تو نہ وہ مشترکہ خاندان میں اپنے مقام کا حق ادا کر سکتا ہے اور نہ خاندان سے الگ ہو کر۔۔۔
Sir mere pass bhi true story hai mai kase aapko forward karu. Koi platform banaye jisme duniya bhar ke log aapko sacha waqia forward kare. Main India se hu.
افتخار بھائی اس کہانی میں شوہر حلالی ہے.
ورنہ تو پھولوں جیسی بچیاں ساری زندگی جہنم میں گُزار دیتیں ہیں.
اور سب صبر کرو کی تلقین کرتے نظر آتے ہیں.
Bilkul aisa he hy sister...halali admi bht kum hain...
یہ گھر نہیں تھا بلکہ جھنم کا ایک گڑھا تھا
سارہ بھن کا کہنا ٹھیک ہے
علماء بھی یہی کہتے ہیں
آپ نے ٹھیک کہا لیکن اج بھی جوائن فیملی میں لوگ رہ رہے ہیں اور اسی طرح کے حالات میں مریض بن رہے ہیں اللہ سب کے لئے اسانی پیدا کرے امین
A good husband is a blessing.
Sara ny end pe jo baat kahi wo sb sy best ha. Jb mard aik ghr ni arrange kr skta to usko family ni bnanni chahye
Lora 99% ghar afford nhi kr sakte at the time marraige, parents bachon ki shadiyaan hi kr pate hai hr ek ko ghar ni dey sakte, aur husband k pass us waqt siwae,,,penis,, k kuch ni hota 😂😅😅😅😅😅😅
Alag rehne me sukoon b hai or izzat b..
Kabhi kabhi alag reh kr bhi shohar hi sas nand sb ka kirdar nibhaty hain wo sb ki kami pori kr dety hain
Bs yehi dua hy Allah pak sb ki betiyon k naseeb achy kare naik sathi milaey jo usy samjhny wala ho Habib ul lah ki tarhan
Joint ya alag rhnay sa zyada feraq nhn perta bat terbiyat or khofe khuda ki ha...jinhon ny nhn theek rhna wo akailay b nhn rhnay dety..
Bilkul theek
مشترکہ خاندانی نظام میں صرف ایک دوسرے کو دکھ ہی دیے جاتے ہیں ۔ میں بھی اس نظام کے خلاف ہوں۔
❤
Ameen Bahi ap ki dua akhir k bajay shuru mn dia karain
I agree mai hamesha se joint family system ko ghalat samajhti hun.lekin log issy meri azad khayali samajhty thy.i belong to a middle class family.mai ne ye dekha hai k ghr ki aurtein jb mardin se apni baat nhi manwa sakti to phr apny hee jesi aik aurat ko target krti hain.jb itny log hoty hain ghr mei to yaqeenan ko na koi tou nazr andaz hota hai aur phr usky dil mei chupi tamam hasratein aur shikayatein kisi barey hadsy ka sabab ban jati hain.
True
Maashallah, Aap jaise log bahut Kam hai duniya main
Stay blessed
@@iftikhariffi thanks
Ifti bhai mere pass ek sachi story hai ,,aap taq kaise pahuchau
بلکل درست ۔ سلام ہو صبر کرنے والوں پر۔ اور کتنے گھلیز ہیں وہ لوگ جو دوسروں کی اہانت کرتے ہیں اور اپنی دانست میں ذلیل کرنے کی کوشش کرتے ہیں۔
زبردست جناب اس لڑکی کا شوہر صحیح معنوں میں مرد ہے
مسئلہ یہ ہے کہ 25 سال کی عمر میں لڑکا گھر نہیں سنبھال سکتا اس کو مجبوری کی حالت میں ماں باپ کے ساتھ ہی رہنا پڑتا ہے پورے گھر کے اخراجات نہیں اٹھا سکتا اس لئے مجبوری میں اسے رہنا پڑتا ہے عزت اسی میں ہی ہے کہ اپنے اپنے گھروں میں رہے
Allah aap ko sehat, kamyabi. De love from mumbai india
Mashalah most beautiful 💕💗💕💗💕💗💕💗
Kitna acha admi tha kuch admi tu maa k goodh may he bethy hoty hy aur bewi aur maa k isharon py chalty hain poori zindagi....
Great woman
Beautiful Iftikhar Bhai - always waiting for your Velog - Allah Pak apko SAdda Khush Rukhey - App say baat kerney ko Jee kerta hai - Love from Austin Texas
نمبر فیس بک پیج پر ہے اور اس چینل پر بھی ہے
Iffi bhai you are the best mAllah
Lots of Duas from Canada 🇨🇦
شکریہ🌹
What about the family life in Canada?
Love and respect from 🇩🇪
Well done story
Thanks 🙏
Bilkul Thek Aur Sach baat ha Sir iftikhar bhai..
Joint family system tabahi ha.
I am against of combine family system every body should have their own space
🌹
I completely agree
الگ ہونے سے بعض اوقات جیزیں اچھی ہو جاتیں ہیں مگر بعض اوقات بہت بری طرح بگڑ بھی جاتا ہے ساس نندوں کیاجازت کے بغیر الگ ہونا عذاب بن جاتا ہے وہ کبھی بھی بہو سے سیدھے منہ بات نہیں کرتے کسی غم خوشی میں شریکنہیں ہوتے اور خاندان بھر میں ساس نندیں بھائی بھابھی کو بدنام کرتیں ہیں بیس بیس سال گذر جاتے ہیں قطع تعلق کۓ ہوے۔
Larke k ma baap her milne julne wale k aage rote hen or beton ki talaken tak kerwa deti hen.
Agar alag hone se muamlaat bigarte hain to ye iss baat ki indication hai ke wo shadi shuda couple totally immature hai aur shadi ke kabil nhi thy aur irresponsible insan hain. Agar bigra hua sambhalna na aaye tab tak shadi nhi karni chahye.
ہمارے معاشرے میں ساس اور نند کو جب بھی موقع ملتا ہے۰دونوں ایک دوسرے کے خلاف سازشیں کرتی ہیں۰ گھروں میں اچھے ماحول کے لیے دونوں کو کوشش کرنی پڑے گی
Zabardast
Beautiful video🎉🎉🎉🎉🎉🎉🎉❤❤❤❤❤😊😊😊😊😊😊
JazakAllah Khair.
جوئنٹ فیملی سسٹم بلکل اچھا نہیں جس نے زندگی برباد کرنی ہو وہ اس سسٹم میں رہے۔
Joint family is fine when everyone is supportive and they encourage personal time and growth. But 99.9% of families aren't like that.
Same story Sara Wali meri zindgi bi ab sukoon main h Alag ho k sukar h Allah ka🎉
کوئی سسٹم برا نہیں برائی انسانوں میں ہوتی ہے جو اس کا غلط استعمال کرتے ہیں۔ یورپ میں رہنے والوں کو پتا ہے کہ جوائنٹ فیملی سسٹم کتنا اہم ہے جب ہم بزرگوں کو دیکھتے ہیں ان کو دیکھنے والا کوئی نہیں ہوتا۔ جب ہمارے بچے دیکھنے والی نانی دادی نہیں ہوتی تو پھر احساس ہوتا ہے کہ جوائنٹ فیملی سسٹم کتنی بڑی نعمت ہے یورپ میں
آجکل کمبائنڈ فیملی سسٹم ہر خرابی کی جڑ ہے ویسے بھی اسلام میں دیور سے بھی پردہ ہے لیکن کئی جگہوں پر بھابھیوں سے جوان دیوروں کے کپڑے بھی دھلوائے جاتے ہیں اور کوئی پردے کا انتظام نہیں ہوتا
جس کی وجہ سے بہت سی برائیاں جنم لیتی ہیں اگر والدین کی نگہداشت کرنی ہوتو بہت سے طریقے اپنائے جا سکتے ہیں
Sara damajhdar aur brdasht krne wali larki hy aur uss ka shohar bhi laaie lag nhi iss liay ye ghr bas gia Allah sb ki betion ko shad o abad rakhay good luck ache pehlu muashre k samne aa Rahe shahid susrali society mien koi positive change aa jaiy ap ki effort se
Mera haq Mehr 3000000 h alhumdulillah ye bat mery or husbnd k drmiyan h
Mashaallah
Unless you have it in your hand, its an empty promise.
@@asadb1990
30000 Mera monthly kharcha Likha hoa h Jo k m ly rahi hon mjy us m s kharch krna chaheay lyken m wo save kr lyte hon qk wo mery account m aty Hain Baki pora month m unsy extra b lyte rehti hon husband wife m sincerity ho aitebar ho to Zindagi BHT achi guzarti h 30 year unki age h mjy 30 lack Kahan s Dy den shadi KO 3 Saal hoay Hain baby b h ye Zindagi m kbi b dyskty Hain with mutual understanding
What’s the need to
Show off here? Showing off is not alllowed in Islam.
Joint family system makes you mentally sicker when Husband also sides with family against wife
Sometimes when husband separate wife's whole family move in defeating the purpose.
Salamat rahen
I do watch your videos regularly and these all are normally happening in our society 😢😢😢😢😢😢😢
Ameen jazak Allah
Walikum Aslam wrwb
Sar hmary khandan me joint sistam hay alhamdulilah hum log bohat achy say rehty hen mery mamon log poty potiyan waly wo gaye hen or wo log b aj tak joint family he hen mashallah
Is liye me ap ke bat ko agri nhi karta
@@zaildarkhan7206problems ladies to hote hen jine sara din 1 dosre se deal kerna parta he, mard to sara din ghar se bahar hote hen.
ab ya bhi bata dyn asy larky layn khan sy bateyon k ley
koi hazaron my sy khusnaseb ho gi jisy mel jata ha
Bht acha kaha hahhaha
Bil kul theek baat he
پہلی سٹوری ہے، جس میں طلاق نہیں ہوئی۔
Nhi bhai agr app inko regular follow karin to apko pata chalay ga k iss se phly bhi kuch Stories m divorce nhi hui 😂😂😂😂
😂😂😂😂
True said sir 😊
السلام علیکم میں بھی ایک جوائن فیملی سسٹم میں رہتا ہوں اور میری فیملی تو اتنی اچھی ہے میں دعا کرتا ہوں سب کو ایسی فیملی سسٹم ملے
💯 combine family system Islam ma nai ha. Separate ghr hona chaieya
Islam 1 religion he, jo universal he. Her elaqe k culture me dhal jata he.
Social structures land, language or culture se aate hen. Arabon ka culture islam nhi. Persian, turks, African, central Asian or Indian culture sub alg alg hen.
@@braveheart8318 culture logon me khud banaya hai , Magar combine family system Allah ne Farz nahi kiya aur na hi is me koi zabardasti ki ja sakti hai, that would be oppression. Hanaray Nabi paak ka example aur unki Sunnat aur unka tareeqa dekha jaye to unhone biwiyon ko alag Chat me rakha, alag rooms thay with own cooking and living , apni marzi se woh rehti theen. Aur tab hi qih aone ghar ki Queen theen. Combined family system sirf tab sahi chal sakta hai agar privacy di jaye husbnd wife ko, ke woh apni planning outing khana peena , pehna, rehna apne hesaab se karein, apne floor me jahan koi bina poicha, entry na le sakkay. Agar yeh cheez nahi, then very bad
@@braveheart8318no cultural values could never be similar to Islam....Islam is complete conduct of life...
Important
Content ki hadd tk tw theek hy lekin halaat pakistan k hain us lehaaz sy sb sy Best hai joint family system alag ghar mie rehny qabil hote nhi larky or baad mie alag ho bhi jaye tw qarz mang maang kr guzara krty hain 3:36
Sarah was a nice girl she was ver intelligent girl usny apny shohar ko usk maaa sy kabi mana nhi kia tha na usk kharch sy jiski waja sy wo ghar ghar bana rha.
سو فی صد درست۔ میری بھی یہ ہی کہانی ہے۔ فرق صرف یہ ہے کہ میری ساس کو اپنی دولت کا بہت فخر ہے اور وہ ملاقت کرنے پر بھی اپنی اکڑ میں ہیں۔ تو ہم بھی خاموش ہو گئے ہیں۔
Isileay compatability shadi k leay subse important chez he jise log nazar andaz ker dete hen. Dono ka level 1 jesa ho to baat bunti he verna log inferiority complex me chale jate hen.
@@braveheart8318 level ek he hai bus unki meka ki family abroad settled hai jis ka bohat fakhar hai
Bhot dukhi h dunya 😢
SUBHAN ALLAH,
یہ کہانی بالکل درست ھے۔
M kaafi salon se apko sun rii hon..bilkul tik baat h ek ek..m b apney time p yehi khyalat rakhti t..lekin is lrki ki luck boht boht boht achii h q k iska shohr ek sensibal mrd h...m aap se apni kahani share krna chahti hon
Bilkul thek kaha sara ny.
In Pakistan Joint family system is totally failed ۔ No compromise on this system۔
Ifftikhar bhai yahan saas aik cyco patient hai baqya joint family system Acha hota hai sirf hammare haan kiyoun keh aise bache apnay bachon ki fikkar say azad ho jaate hain aur ghar kay bare kabhi koi tention ho tou handle kar lete hain aur jahan susar aik farigh admi ho wahan jhagra banta hai is liye main aaj bhi kaam karta hoon
Everyone has separate story situation
Allah ho Akbar❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂
Assalam u aliakum sir jis din ap ne yeh vedio bana rahe thy gulshan park me hum 2 dost ap se mile thy❤❤❤
The issue is not only the joint family system, the main problem is , a boy who is just 25 years old could not maintain balance between mother and wife . So learn this skill instead of just focusing on your income
Sar G love you ❤❤❤❤❤❤
'' Ye info barr-e-sagheer k os alim se hasil karda hain jin ki sari omer quran o sunnat ki tehqeeq me basar hoee ''
05:57: Haq e maher Shoher ki janib se diya janay wala ek lazmi gift he jo az-dawaji taluq bananay se pehle ada kerna farz he , jo k kam se kam raqam se lay ker zyada se zyada b ho sakta he , LEKIN ye Tuhfa shoher teh kerta he b.v. ya koi aur nahi. baqi sab batain khilaf e sharah aur nikah me rukawat hain.
isi tarah jahaiz b parents ki janib se ek gift he , iska taqaza kerna ghair sharee aur ghair ikhlaqi baat he. jazakallah.
Allah ka naam hy Sirf Mard hona kaafi nhi, Islaami history perhein, tu apko pata chaly k haq mehar kon ty kerta hy.
@@iffattahira4361 sach maloom kerne k liyay History nahi sharia mayar he , Shia/sunni & kai sharyee masayal History me ikhtilaf ki bunyad pe kharay hove hain ( jin ka hal shariyat ki tehqeeq me muzmar he ) , me ne 100% sharia ka hukam paish kia he , haq e meher ek flower gift kerna ya koi ayat sikhana b ho sakta he.
log haq e mahar ki raqam ko aurat ki safty se tashbeeh detay hain, zara sochain os zamany ki women jo ek waqt ka kha k aglay waqt ka khana tawakal ki bunyad pe raah-e-khuda de dia kerti thien wo mal o asbab ko apni insurance kese tasawur ker sakti hain?
aj jo society me Bay-Rah_Ravi orooj pe , os ki ek buhut bari waja Jahaiz o Haq mahar ki bay ja hawas he , kyo k itna paisa jortay jawani nikal jati he. Deen to fitrat he aur fitrat pe chalnay se asani o khushi milti he na k jeena muhal hota he.
jo cheez ap ko nature se door lay jayay wo deen ho hee nahi sakta meri behen. allah k liyay nikah ko asaan kijay verna jitna marzi sakht qanoon bana lain logo k islah na-mumkin ho jayay gi.
Ji ha bilkul Sara ne sahi kaha
Instead of living in the drawing room she should have gone to live her parents. She could have easily told them there’s no room in the house currently.
Shohr hi izzat kerwata ha .us na karwai ha izzat.
Apko kysy apni story batate han log ?
ہممم۔ جاگنگ ٹائم کا صحیح استعمال ۔
عفی بھائ ٹچ بٹن
Shukria
Nhi Sir qasoor combined family systems ka nhi... Husband bht main role play krta is me...
My story is also similar and ironically my name is also sara
اللہ پاک آپ کو سلامت رکھے آمین 🌹
Iffi there are pros and cons of joint family laikin Rasullulah pbuh ki aik Hadith ha aik roof k nichay agar Devor ho tu kiya ? Shahid aap na suni ho ?
It’s really hard to live in joint family,pray for me
Apki stories bht kuch sikhati hein aik mrtba apki Oman k mehel ki video dekhi thi phr apki kbi story sun li aur us k bd ab bs wait rehta ha next video ka great job sir but ap se kese contact Kia ja skta ha plz
Stay blessed
Kuch un larkio par bhi baat karay please, ju susral aa kar kuch kaam hee nahi karti din kay 2/3 bajay breakfast hota hay or week mein aik baar khana pakati hay or bus husband khana order kar day ya kahi bahar ja kar kha lein
Start @ 1:46
Joint Fmely system Me sir ya. Usesly hota he ha
iftikhar bhai. Mgar Bht se jonit fmelys Systems Asey bi hn.sir jinki loog Aur duniya wale misalay dte HN. Apko.
pta hoga..
The issue isn't joint family system, the problem was caused by interacting with na mehram.
Which is bound to happen in a joint family system
Living with husband’s parents is ok. Having his younger sisters is ok. Underage brother is fine too. When dewar grows up separate your portion let him take care of family. You can contribute financially.
I wish all husband's were men enough like this one.. others just throw a paper of divorce and when the wife is pregnant too😂
Superbe as usual
Exactly 💯💯 no joint family
😢😢
Everything has some advantages and some disadvantages. I think if the family members are good then joint family syatem is much better. Those couples who leave the family system become easy victims of social crimes like partner swapping, extra marital affairs and child abuse.
❤😂😊
👍👍👍
Iffi bhai ye real story hai?
Jab mard kharcha udhna nhi sakte
Shadi bhi nakre
Plz mujhy reply kryga or mujhy koi acha mashwara dijyga me buht peryshan hun
Plz dua Kare
😢 Bhai Mai ujher Gai aisy logon ki wajah se ab bazahir SB theek hai Lekin Dil Dimagh udher hi kahen Reh gya hai wapis aaya hi nai 😢 💘💔😭
Sr combined family system ka aik b faida hota to islam mn combined family system hota. Iska koi faida ni ha.
18 scale kya hai
Kya aap ne sadi ki tb apni wife ko alag ghar le kar diya tha??? Kya tab aap ki itni income thi? Income ki wait krte to aap ki sadi konsi age me hoti? Agar ladki ko honewale husband ki financial position pata ho aur wo sadi k liye ready ho tb bhi ye galat hai? Koi ek kahani se aap puri kom pe ek sa rule nahi lagadkte
Sorry but yehi sach hai, agar Mard nahi naan nafqa aur chath de sakta lekin aur Aurat job kar ke Mard ko finance nahi karna chahti to phir yehi solution hai, because yeh wifes ka haq hai. Of course loog apni marzi kar saktay hain but baad me jab sarr pe parhti hai zmmedaari to masle to hotay hain, aagay bachon ki bhi zarooratein. Rozay rakhnay chsyge Mardon ko ya pehle hi bata deba chayhe ke kharcha nahi utha saktay aur sassuraal walon se biwi ki hifazat bhi nahi kar saktay
Me India se hu aur yaha naan nafqe ka issue hi nahi hai....aur naan nafqe me sirf naan nafqe aata hai.....yaha Ghar ka rent hi minimum 10 to 12k indian rps hai.......one of the best school of the city naan nafqe me nahi aati....bachcho k liye one of best doctor of the city naan nafqe me nahi aata.... standard of living kafi high hai yaha....to kya behtar nahi k 12k rent ko bacha k bachcho k education etc me kharch kare??? Ya fir below average ya average school se education de kar rent par ghar le??? har insan k apne apne alag issue hote hai..... behtar hai k situation k hisab se decision le....kisi ek ki kahani se sare logo k bare me rai banana sahi nahi hai....hoskta hai aap ka issue alag ho.....mene yaha dekha hai ger Kom me husband wife dono job krte hai aur ek ki salary se ghar k loan ka EMI jata hai aur dusre ki salary se ghar chalta hai.....EMI 20 years tak chalta hai to kya sahi hai k wife 20 to 25 years tak EMI dene k wajah se job krti rahe aur bachche pura din Ghar me ma baap k bina akele rahe???
Aur ha sirf husband sirf naan nafqa hi kre aur naan nafqe k alava kuch na kre to 50% wife talak lele....Bhai naan nafqe me kya kya aata hai aur kya kya nahi wo research kre aap
Joint family bohat Acha sistem he bas bat sary tarbiyat ki hoti he ❤❤❤
Kiski saas ki😂😂😂
Saas kehti hy k damaad humri beti k haat mn ho or beta humry or baho ki zabaan pr talla ho
Sir, hope you are doing well. It is a matter of pleasure that you always bring some very important and common subject, related to our society and individual. Appreciate you Sir for your continuous efforts. Apart from knowledge and intelligence, you possess a mind with high level humanity which signifies human love and compassion towards each other. Please continue with your successful journey Sir. Best wishes.❤💗💕
JazakAllah for your kind words. 🙏
@@iftikhariffi Allah / God is Great!
سر جی تھوڑا اہستہ چلیں پلیز
کچھ دیر رک بھی جایا کریں ❤
❤❤❤
Ye to shukar hai ke sara ka husband acha nikla or apni biwi ko le kar alag rehne laga warna zyada tar to shohar andhe ho jate hain or zulm karne lagte man behnon ke kehne par dosra Combine family main rehna kisi soorat theek nahi hota khali sas or behno ki bat nahi bohat si aisi batain hain jis ki wajah se larke ki family ke sath rehna theek nahi hota or na hi safe hota hai dosra ifi bhai sara se kehna ke wo apni beti ko shohar ke bhai ke sath un ke ghar na bheja karain chahe us ka dewar acha ho ga lekin wahan or log bhi rehte hain to sara se kehna ke wo apni beti ko akele na bhejay balke le kar jain wo na ho aik din bachtana pare
Aik or bat sara ke shohar ne man kelye kam wali kyon rakhwai hai jab ke us ki behan wahan reh rahi hai wo khud kam kare apni man bap or apne shohar kelye us ki behan koi mazoor ho to keh sakte hain ke nokar rawai jay dosra agar mushkil ho raha hai dono traf ka kharcha uthana to us ka farz nahi ke wo kam wali rakhawa ke de ye to us ki behan ka kam hai ya us ke shohar ka ke agar wo kam nahi kar sakti to shohar se kahe kam wali rakhwa ke de ya phir khud kam kare han man bap akele hotay or wo khud kam na kar sakte hotay to phir betay ka kam tha ke wo kisi trah kisi kam wali ko rakhwata ya phir khud khidmat kare
وہ اپنی بیٹی کو اپنے دیور کیساتھ اکیلے نہ بھیجیں پلیز
@hassanofficial4564bilkul theek baat hai, bahu se bhi to saara kaam karwatay thay, to phir ab Beti nahi kar rahi to qaddar ayi shayad unko
Aap ki stories sunn karr lagta hai pakistan mein bohat JOHLA hain
Ya apni apni qismat ha