Kaise keh du ki mera khwaab tha voh..
Вставка
- Опубліковано 2 лют 2025
- Kaise keh du ki mera khwaab tha voh
Zindagi se badh kar lajawab tha voh
Khuda se umer bhar mangi thi mohabat
Meri unn duwaon ka ek hisaab tha voh
Apne mathe par kohinoor sa sajaya tha
Kaise batau mere liye nayaab tha voh
Andhere uske bina kabhi dur naa hote
Mere liye ugta huva sa *aaftab tha voh
*aaftab: sun
Sabh kuch bhula kar dil se use chaha
Khuda maaf kare, mera as-haab* tha voh
*as-haab: lord / master
Phir bhi mil kar use sukun na milta
Jaane kyun ek ajab sa iztiraab* tha voh
*iztiraab: restlessness / anxiety
Jab zindagi mein umeed ban kar aaya
Mere nasib ka aakhri intikhaab* tha voh
*intikhaab: selection / choice
Ubalte huve mohabbat ke junoon sa voh
Mere ander se nikla inqilaab tha voh
Jabh pehli dafa mili nazre unse ja ke
Laga, mujhse bhi zyada betaab* tha voh
betaab: impatient
Jaane kaise phir halaat badalne lage
Ek vakt har sawaal ka jawaab tha voh
Abh use dekhne tarasne lage he kyun
Dil ke dariya mei aaya sailaab tha voh
Aadat bante bante jo latt ban gaya meri
Haaye! kitni anmol si sharaab tha voh
Jitna padha utne panne khulte hi gaye
Be-andaz, be-hadd khoob kitaab tha voh
Samaj samaj ke usko palkon ko bhigoya
Jisme dubb gaye he vahi girdaab tha voh
Mehkta, khubsurat, aankhon ko lubha de
Tez dhar kaanton se bhara gulaab tha voh
Jo aaghaz mein dil ko khushfehmi de gaya
Anjaam mein samja ki dil-e-azaab* tha voh
*dil-e-azaab: pain of heart / punishment to heart
Ritu Roy
#RituRoy #RjRituRoy #OriginalVideo #OriginalVoice #OriginalPoetry #Ghazal #Shayari #Poetry #Poetrystatus #2023Poetry #NewPoetry #Love #Sufiyanaishq