Yeh Qaid Mein Ali Akbar || Ali Rizvi || Farzad Moosvi

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 6 лют 2025
  • Noha: Yeh Qaid Mein Ali Akbar
    By: Ali Rizvi & Farzad Moosvi
    #yehqaidmeinaliakbar #noha #nohay #razazaidi

КОМЕНТАРІ • 3

  • @s.srizvi6388
    @s.srizvi6388 2 роки тому +3

    Mashalla Bahtreen Noha ha Noha

  • @samiraazhar2656
    @samiraazhar2656 4 роки тому +5

    MashaAllah

  • @sabahjafri9
    @sabahjafri9 Рік тому +2

    Ye qaid may ali akbar ki maa ka naala hai
    Nahi wo chand jo ghar ka mere ujaala hai
    Mere jawan ko naizo se maar dala hai
    Kaleja tod ke barchi ka phal nikala hai
    Ghazab hai laash ko ghodon se raundh dala hai
    Ye qaid may ali akbar ki maa ka naala hai
    Batao logon ke dhoondne kidhar jaun
    Mai apne akbar mehroo ko kis tarha paun
    Milay to apne kaleje se usko liptaun
    Mar gaya hai ye kis tarha dil ko samjhaun
    Aray kahan mera athara saal wala hai
    Ye qaid may ali akbar ki maa ka naala hai
    Khuda ke waaste ab ran se aao ay akbar
    Layeen satate hai aakar bachao ay akbar
    Khule saron pe ridayein udhao ay akbar
    Phupi ke haal pe ab rehm khao ay akbar
    Tadap ke kehti thi kin kin dukhon se paala hai
    Ye qaid may ali akbar ki maa ka naala hai
    Batao sabr kare kis tarha se ye madar
    Shabihe ahmed e mukhtar thay tum ay dilbar
    Tumhare gham may mere dil pe chalte hai khanjar
    Tumhare baad jahan se gaye ali asghar
    Malaal dugna hai dil ko khalaq dubaala hai
    Ye qaid may ali akbar ki maa ka naala hai