Keh Rahi Hai Bano-e-Muztarr Amari Dekh Kar Ab Khula Zindaan Ka Dar Jab Sakina Mar Gayi Roo Rahi Hai Ghumzada Khusnudiye Taqdeer Par Ab Khula Zindaan Ka Dar Jab Sakina Marr Gayi.. 1) Maut Aa Jaye Mujhe Main Bhi Yahin Dum Todd Dun Kaise Sarwar Ki Yateema Ko Main Tanha Chhod Dun Ek Maa Hai Apni Beti Ki Lehad Par Nohagar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 2) Hai Bohat Mushkil Uthana Dil Pe Yeh Barey Alam Main Bina Uske Rakkhu Kaise Amari Mein Kadam Koi Kaidi Khush Nahi Paake Rehaayi Ki Khabar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 3) Di Gayi Har Pal Saza Zinda'an Mein Jine Ki Jise Arzoo Sabse Zyada Thi Madine Ki Jise Shaam Se Woh Kar Na Payegi Madine Ka Safar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 4) Rakhti Apni Ladli Ko Apne Saayebaan Mein Kash Main Bhi Dafn Hojaati Issi Zindaan Mein Yeh Kalak Bhi Ab Mere Dil Mein Rahega Umr Bhar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 5) Sughra Se Milne ki Hasrat Thi Dil e Nashaad Mein Roo Diya Karti Thi Aksar Apne Ghar Ki Yaad Mein Haye Kismat Laut Kar Woh Jaa Nahi Payegi Ghar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 6) Qabr Ki Aagosh Se Usko Uthaun Kis Tarah Maut Ki Main Neend Se Usko Jagaun Kis Tarah Khoon Ke Aansoo Rulati Hai Rehaai Ki Sehar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 7) Baap Ke Seene Se Woh Mehrum Itni Hogayi Neend Ke Galbey Se Thak Kar Qabr Mein Hi Soo Gayi Jaun Main Kaise Watan Zinda'an Mein Usko Chhod Kar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 8) Dhadkane Sir Pitt Ti Hain Ab Dil e Naachiz se Ashk Bahar Aa Rahe Hai Sabr Ki Dehliz Se Keh Rahein Hain Khaakh Pe Girr Ke Yeh Ashkun Ke Guhar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 9) Main Madine Jaake Hargiz Bhi Nahi Paungi Chaen Na Sakina Hai Na Hai Asghar Na Hai Aaqa Hussain Layegi Zindaan Mujhko Fikr Ki Har Rehguzar Ab Khula Zindaan Ka Dar.. 10) Qaid Khane Mein Tha Nazim Ek Qayamat Ka Sama Roo Diye Ahle Zameen Ke Saath Ahle Aasmaan Boli Bano Jis Ghadi Paake Rehaai Ki Khabar Ab Khula Zindaan Ka Dar..
Mashallah
MashaAllah! Salamat rahein! 🤲🏻
Mashaallah ❤
Mashallah matami aur bohot khub nohakhwani😢😢😢Hazrat Bibi Zehra s.a qubool kare momeeneen ki duaon ko 🤲🤲🤲
Mashallah bhai..
Keh Rahi Hai Bano-e-Muztarr Amari Dekh Kar
Ab Khula Zindaan Ka Dar Jab Sakina Mar Gayi
Roo Rahi Hai Ghumzada Khusnudiye Taqdeer Par
Ab Khula Zindaan Ka Dar Jab Sakina Marr Gayi..
1) Maut Aa Jaye Mujhe Main Bhi Yahin Dum Todd Dun
Kaise Sarwar Ki Yateema Ko Main Tanha Chhod Dun
Ek Maa Hai Apni Beti Ki Lehad Par Nohagar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
2) Hai Bohat Mushkil Uthana Dil Pe Yeh Barey Alam
Main Bina Uske Rakkhu Kaise Amari Mein Kadam
Koi Kaidi Khush Nahi Paake Rehaayi Ki Khabar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
3) Di Gayi Har Pal Saza Zinda'an Mein Jine Ki Jise
Arzoo Sabse Zyada Thi Madine Ki Jise
Shaam Se Woh Kar Na Payegi Madine Ka Safar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
4) Rakhti Apni Ladli Ko Apne Saayebaan Mein
Kash Main Bhi Dafn Hojaati Issi Zindaan Mein
Yeh Kalak Bhi Ab Mere Dil Mein Rahega Umr Bhar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
5) Sughra Se Milne ki Hasrat Thi Dil e Nashaad Mein
Roo Diya Karti Thi Aksar Apne Ghar Ki Yaad Mein
Haye Kismat Laut Kar Woh Jaa Nahi Payegi Ghar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
6) Qabr Ki Aagosh Se Usko Uthaun Kis Tarah
Maut Ki Main Neend Se Usko Jagaun Kis Tarah
Khoon Ke Aansoo Rulati Hai Rehaai Ki Sehar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
7) Baap Ke Seene Se Woh Mehrum Itni Hogayi
Neend Ke Galbey Se Thak Kar Qabr Mein Hi Soo Gayi
Jaun Main Kaise Watan Zinda'an Mein Usko Chhod Kar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
8) Dhadkane Sir Pitt Ti Hain Ab Dil e Naachiz se
Ashk Bahar Aa Rahe Hai Sabr Ki Dehliz Se
Keh Rahein Hain Khaakh Pe Girr Ke Yeh Ashkun Ke Guhar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
9) Main Madine Jaake Hargiz Bhi Nahi Paungi Chaen
Na Sakina Hai Na Hai Asghar Na Hai Aaqa Hussain
Layegi Zindaan Mujhko Fikr Ki Har Rehguzar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
10) Qaid Khane Mein Tha Nazim Ek Qayamat Ka Sama
Roo Diye Ahle Zameen Ke Saath Ahle Aasmaan
Boli Bano Jis Ghadi Paake Rehaai Ki Khabar
Ab Khula Zindaan Ka Dar..
Mashallah
Mashallah