Latest Ahmad Fraz Poetry 2024

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 28 сер 2024
  • #famousmushira #dubaimushaira #bestmushaira #ahmadfraz #poetry #urdupoetry #2024 Latest Ahmad Fraz Poetry 2024 "Is se pehle ke bewafa ho jaayein Kyoon na ae dost hum juda ho jaayein" Urdu Shayari #urdushayari #urdupoetrystatus #poetrystatus #bestmushaira #dubaimushaira #latestmushaira #famousmushira"
    Is se pehle ke bewafa ho jaayein
    Kyoon na ae dost hum juda ho jaayein
    Tu bhi heere se ban gaya patthar
    Hum bhi kal jaane kya se kya ho jaayein
    Hum bhi majbooriyon ka 'uzr karein
    Aur kahin aur mubtila ho jaayein
    Tu ke yekta tha, be shumaar hua
    Hum bhi tootein to ja bja ho jaayein
    Ishq bhi khail hai naseebon ka
    Khaak ho jaayein, kimiya ho jaayein
    Ab ke gar tu mile to hum tujh se
    Aise laptain teri qabaa ho jaayein
    Bandagi hum ne chhod di hai Faraaz
    Kya karein log jab Khuda ho jaayein
    Silsile toṛ gayā woh sabhi jaate jaate
    Warna itne to maraasim the ke aate jaate
    Shikweh zulmat shab se to kahin behtar tha
    Apne ḥisse ki koī shama jalaate jaate
    Kitna aasaan tha tere hijr mein marnā jānān
    Phir bhī ek umr lagī jān se jaate jaate
    Jashn-e-maqtal hī na barpā huwā warna ham bhī
    Pā ba zanjīr sahī nāchte gāte jaate
    Is ke woh jāne use pās-e-wafā tha ke na thā
    Tum Faraaz apnī taraf se to nibhaate jaate
    Yeh kyā ke sab se byān dil ki haalaten karnī
    Faraaz tujh ko na ā.īṅ muḥabbaten karnī
    Sab apne apne qarīne se muntazir us ke
    Kisī ko shukr kisī ko shikāyaten karnī
    Milein jab un se to mubham sī guftagū karnā
    Phir apne āp se so so wazāhaten karnī
    Yeh log kaise magar dushmanī nibāhate hain
    Hamain to rās na ā.īṅ muḥabbaten karnī
    Kabhī Faraaz naye mausamōṅ mein ro dīnā
    Kabhī talaash purānī rafāqatēṅ karnī
    Jab tujhe yād karein kār jahān khīnchtā hai
    Aur phir ‘ishq wohī koh-e-girān khīnchtā hai
    Merē dushman kā koī teer na pahunchā mujh tak
    Dekhnā ab ke merā dōst kamaāṅ khīnchtā hai
    ‘Ahd-e-fursat mein kisī yār-e-guzishtā kā ḵẖyāl
    Jab bhī ātā hai to jaise rag-e-jān khīnchtā hai
    Intahā ‘ishq kī koī nah hus kī koī
    Dekhnā yeh hai ke ḥud kūn kahāṅ khīnchtā hai
    Khīnchte jāte hain rasn bastah ġulāmōṅ kī ṭaraf
    Jis ṭaraf qāfilah-e-umr rawāṅ khīnchtā hai
    Ham to rahwār zabāñ hain woh muqaddar kā sāwar
    Khud hī mahmīz kare khud hī ‘anān khīnchtā hai
    Har koī dil kī hatheelī pe hai saḥrā rakhē
    Kis ko sīrāb kare woh kisē pyāsā rakhē
    ‘Umr bhar kaun nibhātā hai ta‘alluq itnā
    Ae merī jān ke dushman tujhe Allāh rakhē
    Mujh ko achhā nahīṅ lagtā koī ham nām terā
    Koī tujh sā ho to phir nām bhī tujh sā rakhē
    Dil bhī pāgal hai ke us shakṣ se wābistah hai
    Jo kisī aur kā hone de nah apnā rakhē
    Us ne sukūt shab mēṅ bhī apnā paighām rakh diyā
    Hijr kī rāt bām par māh tamām rakh diyā
    Āmad-e-dōst kī nawā’-ye ku-e-wafā mēn ‘ām thī
    Main ne bhī ek chirāġh sā dil sar-shām rakh diyā
    Shiddat-e-tashangī mēṅ bhī ġhairat mey-kashī rahī
    Us ne jo phēr lī nazar mēn ne bhī jām rakh diyā
    Dekho yeh merē khwāb the dekho yeh merē zakhm hain
    Main ne to sab ḥisāb jān bar sar ‘ām rakh diyā
    Us ne naz̤ar-naz̤ar mēṅ hī aisē bhale sukhan kahe
    Main ne to us ke pāon mēṅ sārā kalām rakh diyā
    Aur Faraaz chāhīñ kitnī muḥabbaten tujhe
    Mā’on ne tere nām par bachchon kā nām rakh diyā
    Sunā hai log use ānkh bhar ke dekhte hain
    So us ke shahr mēn kuchh din ṭhahar ke dekhte hain
    Sunā hai rabṭ hai use kharāb ḥālōṅ se
    So apne āp ko barbād kar ke dekhte hain
    Sunā hai dard kī gāhak hai chashm-nāz us kī
    So ham bhī us kī galī sē guzar ke dekhte hain
    Sunā hai use bhī hai shi‘r-o-shā‘irī se shauq
    So ham bhī mo‘jzē apne
    کیوں نہ اے دوست ہم جدا ہو جائیں
    تو بھی ہیرے سے بن گیا پتھر
    ہم بھی کل جانے کیا سے کیا ہو جائیں
    ہم بھی مجبوریوں کا عذر کریں
    اور کہیں اور مبتلا ہو جائیں
    تو کہ یکتا تھا بے شمار ہوا
    ہم بھی ٹوٹیں تو جا بجا ہو جائیں
    عشق بھی کھیل ہے نصیبوں کا
    خاک ہو جائیں کیمیا ہو جائیں
    اب کے گر تو ملے تو ہم تجھ سے
    ایسے لپٹیں تری قبا ہو جائیں
    بندگی ہم نے چھوڑ دی ہے فرازؔ
    کیا کریں لوگ جب خدا ہو جائیں
    سلسلے توڑ گیا وہ سبھی جاتے جاتے
    ورنہ اتنے تو مراسم تھے کہ آتے جاتے
    شکوۂ ظلمت شب سے تو کہیں بہتر تھا
    اپنے حصے کی کوئی شمع جلاتے جاتے
    کتنا آساں تھا ترے ہجر میں مرنا جاناں
    پھر بھی اک عمر لگی جان سے جاتے جاتے
    جشن مقتل ہی نہ برپا ہوا ورنہ ہم بھی
    پا بہ زنجیر سہی ناچتے گاتے جاتے
    اس کی وہ جانے اسے پاس وفا تھا کہ نہ تھا
    تم فرازؔ اپنی طرف سے تو نبھاتے جاتے
    یہ کیا کہ سب سے بیاں دل کی حالتیں کرنی
    فرازؔ تجھ کو نہ آئیں محبتیں کرنی
    سب اپنے اپنے قرینے سے منتظر اس کے
    کسی کو شکر کسی کو شکایتیں کرنی
    ملیں جب ان سے تو مبہم سی گفتگو کرنا
    پھر اپنے آپ سے سو سو وضاحتیں کرنی
    یہ لوگ کیسے مگر دشمنی نباہتے ہیں
    ہمیں تو راس نہ آئیں محبتیں کرنی
    کبھی فرازؔ نئے موسموں میں رو دینا
    کبھی تلاش پرانی رفاقتیں کرنی
    جب تجھے یاد کریں کار جہاں کھینچتا ہے
    اور پھر عشق وہی کوہ گراں کھینچتا ہے
    میرےدشمن کا کوئی تیر نہ پہنچا مجھ تک
    دیکھنا اب کے مرا دوست کماں کھینچتا ہے
    عہد فرصت میں کسی یار گزشتہ کا خیال
    جب بھی آتا ہے تو جیسے رگ جاں کھینچتا ہے
    انتہا عشق کی کوئی نہ ہوس کی کوئی
    دیکھنا یہ ہے کہ حد کون کہاں کھینچتا ہے
    کھنچتے جاتے ہیں رسن بستہ غلاموں کی طرح
    جس طرف قافلۂ عمر رواں کھینچتا ہے
    ہم تو رہوار زبوں ہیں وہ مقدر کا سوار
    خود ہی مہمیز کرے خود ہی عناں کھینچتا ہے

КОМЕНТАРІ • 9

  • @Hifzamalik1
    @Hifzamalik1 5 місяців тому

    wahhh

  • @ishaakram6996
    @ishaakram6996 5 місяців тому

    ufff

  • @muhammadahmad7414
    @muhammadahmad7414 6 місяців тому +2

    ہم بھی ٹوٹیں تو جابجا ہو جائیں❤

    • @afifabatool8686
      @afifabatool8686 6 місяців тому

    • @bakhtawerbkhu4393
      @bakhtawerbkhu4393 6 місяців тому +1

      ہر کوئی دل کی ہتھیلی پہ ہے صحرا ر کھے
      کس کو سیراب کرے وہ کسے پیاسا رکھے❤️‍🩹

  • @ravabitariq5929
    @ravabitariq5929 6 місяців тому

    Keep it up....👍

  • @bakhtawerbkhu4393
    @bakhtawerbkhu4393 6 місяців тому

    عہد فرصت میں کسی یار گزشتہ کا خیال
    جب بھی آتا ہے تو جیسے رگ جاں کھینچتا ہے🥀

  • @khadijabukhari-126
    @khadijabukhari-126 6 місяців тому

    کتنا آساں تھا تیرے ہجر میں مرنا جاناں
    پھر بھی ایک عمر لگی جان سے جاتے جاتے

  • @AkhtarAli12997
    @AkhtarAli12997 6 місяців тому +1

    سنا ہےاس کے شبستان سے متصل ہے بہشت
    مکیں اِدھر کے بھی جلوے اُدھر کے دیکھتے ہیں