Auditory Verbal Therapy |Speech Therapy at Home | Hearing Impaired | Hearing aid users | Clip46

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 4 чер 2021
  • Namashkaar sabhi ko, humare channel ASLP Club pr aapka swagat hai. Aaj hum “Auditory verbal therapy yaani AVT” iss Vishay pr charcha krne ke liye ye video bana rhe hai. Iss video se hum khaas kr ye batane ka prayaas kr rahe hai ki machine ya cochlear implant lagane ke baad mata pita apne bacche ko machine se jaldi sunna va sun kar bolna sikhane ke liye ghar pr kya kr skte hai.
    Video mein bataye gye simple basic tips ko follow kre aur bacche ko jyada se jyada sikhaye. Yaha mein bolna chahungi ki har bacche ki level alag hai, uske age ke anusaar use kya sikhana chahiye ye decide krna bhi bht mahatva purna hai. Iss video mein bataye gye tasks ya activities general hai, jisse ki aapko idea mil ske.
    Bacche ko ye sab activities se bhasha sikhne, complex language samajhne mein, dusro se baat cheet krne ke liye protsahit krte hai. Choti umar se bacche ko yeh sab sikhane se bacha aur baccho ki tarah bolna, padhna sikhta hai. Isiliye yeh sabhi baatein ek maata peeta ko janana bht avshyak hai aur iska palan krna bhi jaruri hai.
    Mera video yahi samapt hota hai.
    Asha krti hu mere iss video se aapko kuch madat mili ho, humare channel ke sath jrur bane rahiye, aise hi videos se humara aapko jyada se jyada jankaari dene ka prayas rahega. Agar aapko iss video related or jaankaari chahiye ho toh aap niche comment kr ya hume privately humare mail id aslpclub@gmail.com pr mail krke bata skte hai. Video achi lagi ho toh, video ko like kre aur channel ko subscribe krna na bhule.
    Video ko ant takk dekhne ke liye dhanyawaad.
    Facebook link : www.facebook.c...
    Instagram link : / aslp_club
    Gmail: aslpclub@gmail.com
    UA-cam link : / @aslpclub5706
    #avt
    #children
    #therapy
    #hearingaids
    #parents
    #cochlearimplant
    #listen
    #speak
    #speech therapy
    #hearingimpaired
    #hindi
    #gharbaithe
    #aslpclub
    #learnfromhome

КОМЕНТАРІ •