Kali Kali Zulfon Ke - Nawab Faizi Khan | Live At, Shri Shivaji College Akola

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 10 жов 2024
  • Annual Function 2k24 Shri Shivaji College Akola, Maharashtra
    Nawab Faizi Khan Live Performance At Shri Shivaji College, Akola
    Singer : Nawab Faizi Khan
    Instagram : / thenawabfaizi_official
    Snapchat : thenawabfaizi
    Facebook : / thenawabfaizi
    Dholak : Vishal Ingle
    Octopad : Nandu Manekar
    Keyboard : Manoj Kumar
    Video : Anand Prashant Patil (Shri Krupa Studio Akola)
    Special thanks to : Maankar Sir
    Thanks To : Om Utale, Ataa Ur Rehman
    Lyrics :
    Ap Is Tarah to Hosh Uraya Na Kijie
    Yun Ban Sanwar K Samney Aya Na Kijie
    Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
    Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
    Na Chero Hamain Ham Sataye Huwe Hain
    Bohat Zakhm Seene Pe Khaye Huwe Hain
    Sitam Gar Ho tum Khoob Pehchante Hain
    Tumhari Adaon Ko Ham Jante Hain
    Daghabaaz Ho Tum Sitam Dhane Wale
    Fareeb e Muhabbat main Uljane Wale
    Yeh Rangiin Kahani Tumhi ko Mubarak
    Tumari Jawani Tumhi Ko Mubarak
    Hamari taraf se nigahain hata lo
    Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo!
    Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
    Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
    Mast aankho Ki baat chalti hai
    Mehkashi karwate badallti hai
    Ban sanwar kar wo jab nikalte hain
    Dil kasi sath sath chalti hai
    Haar jate hain jeetne wale
    Wo nazar aisi chaal chalti hai
    Jab hatate hain rukh se zulfon ko
    Chaand hasta hai raat dhalti hai
    Jab hatate hain rukh se zulfon ko
    Chaand hasta hai raat dhalti hai
    Bada kash jaam todh dete hain
    Jab nazar se sharaab dhalti hai
    Kya qayamat hai un ki angdhai
    Kich k goya kamaan chalti hai
    Yun haseeno ki zulf lehraye
    Jese nagan koi machalti hai
    Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
    Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
    Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
    Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
    Sambhalo zara apna anchal gulabi
    Dikhao na has-has k aankhe sharabi
    Sulook in ka dunya main achha nahi hai
    Haseeno pe ham ko bharosa nahi hai
    Uthate hain nazrain to girti hai bijli
    Ada jo bhi nikli qayamat hi nikli
    Jahan tum ne chehere se aanchal hataya
    Wahin ahl-e dil ko tamasha banaya
    Khuda k liye ham pe dore na dalo
    Hamain zinda rehne do ae husn walo!
    Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
    Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
    Kaali Kaali Zulfon K Phande Na Dalo
    Hamain Zinda Rehne Do Ae Husn Walo
    #nawabfaizikhan #nfak #kalikalizulfon #shivajicollege #akola #akolekar #nfaklines #nusratfatehalikhan

КОМЕНТАРІ • 91