Medley Manqabat - Wiladat e Maula e Kainaat Imam Ali a.s 13Rajab - Zulfiqar Azam
Вставка
- Опубліковано 8 лют 2025
- New attempt for mix of Manqabat
Wiladat e Maula e Kainaat Imam Ali a.s
13 Rajab @ Ata e Masoomeen-Sydney
Write up
MEDLEY
*Naaza hai hum ke humko darey murtzaa mila . .
Yeh darr hamey mila to darey mustafa mila
Jab mustafa mile to khuda ka pataa mila
Phir saari kayenaat ka parda utha mila
Aalam tammam bolra haa thaa Ali Ali…
My bhi sadaye deta hua unse jaa mila..
Naaza hai hum ke humko darey murtzaa mila .
Aaj khana e haq mein buturab aate hain
khush hain jinno inso malak aur tarane gaate hain.
mazharul ajaayeb ka hai zuhoor duniya me
jo khudai aur khuda sab ke kaam aate hain
zul asheera o hijrat ya ghadeer o khaibar ho
har jagah ali ko nabi jaa'nashee'n banate hain
sheikh bhaag daud aise kar rahe hain khaibar mein
jhanda leke jaate hain, baans leke aate hain
AAP ko bhi miljaye deen ka alam lekin,
aap ka bharosa kya, aap bhaag jaate hain
Kaabe mein jo aayi hai, mamnoon khudayi hai.
Aye bint e asad tune tawheed dikhayi hai..
Ainullah kahun usko, wajjullah kahun usko.
Tasweer khuda ki hai jo tune uthayi hai.
Gar Ali nahi aate zindagi nahi aati..
zindagi nahi aati Roushani nahi aati.
Roushani nahi aati Bandagi nahi aati.
Bandagi nahi aati Agahi nahi aati..
Ruhu ke gulistan mein tazagi nahi aati
Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye.
Akbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye..
Ya Ali aap mukhtar hain, anbiya ke madad gar hain
Jitnay momin hain uqda kusha, unki hajat rawan kijiye.
bayan karne ko yun to duniya..
sharaf bayan karti hai sabhi ke
magar jo akhlay saleem rakhta
hai jaanta hai siwa nabi ke
nahi hai koi ali se behtar koi nahi hai koi nahi
siwa nabi ke.. ali se behtar koi nahi hai koi nahi
Kya kahoo nahi hai kya, aur kya ali ka hai
Jo hai Sab khuda ka hai aur khuda ali ka hai
Kuch toh dekha hai ali mein jo khuda maane hai
Yeh nusairi koi yun hi nahi deewane hain.
Nahin maanta.
Main ali ko khuda bhi nahin manta
Main Ali ko khuda bhi nahi manta
Aur khuda se juda bhi nahin manta.
Tera Naam Hi Aisa Hai.
Kyun Girta Na Sanbhle Ga Tera Naam Hi Aisa Hai.
Aye Shah-e-Najaf Mola Tera Naam Hi Aisa Hai.
.
Khushbo-e-Wila Aati Hai Har Dil-e-Momin Se.
Our Aag suLagti Hai Har Dil Mein Munafiq Ke.
Kyun Aisa Na Ho Mola Tera Naam Hi Aisa Hai..
Yeh Jism Yeh Jaan Mola Teri Hi Imanat Hai.
Tere Naam Pe Marne Ka Inaam Shahadat Hai.
Kyun Jaan Se Na Ho Piyara Tera Naam Hi Aisa Hai.
Tere Khalq Mein Aane Se Jab Khush Hai khudai Bhi.
Phir Fart-e-Musarat Se Dewaar Bhi Kabay Ki.
Kyun Cheer Na Le Seena Tera Naam Hi Aisa Hai.
Milta Hai Sabaq Hum Ko Yeh Qaul-e-Paiembar Se.
Koi Bhi Zamana Ho Shajray Ko Munafiq Ke.
Chupne Hi Nahi Deta Tera Naam Hi Aisa Hai.
Mamnoon Tera Mola Har Dor-e-Nabowat Hai.
Mairaj Mein Khaliq Ko Teri Hi Zarorat Hai.
Kyun Aisa Na HO Mola Tera Naam Hi Aisa Hai.
Atti Hai Sada Koi Jab Nara-e-Haider Ki.
Guzri Hain Kayi Sadiyaan Turbat Mein Magar Ab Bhi.
Dil Hilta Hai Marhab Ka Tera Naam Hi Aisa Hai.
Dunya Ko Main Dikhla Doon Gar Teri Ijazat Ho.
Tere Naam Ko Main De Doon Gar Wasta Soraj Ko.
Wo Aaj Bhi Palte Ga Tera Naam Hi Aisa Hai.
Agyar Ke Naamo Par Khali Hi Palata Hai.
Kis Naam Pe Milta Hai Saael Bhi Samajhta Hai.
Raziq Hai Faqeeron Ka Tera Naam Hi Aisa Hai.
Har Dam Yeh :AQEEL: Aaqa Tera zikr Hi Karta Hai.
Tere Naam Pe Marta Hai Tere Naam Pe Jeeta Hai.
Kaise Na Jiye Aaqa Tere Naam Hi Aisa Hai.