Ya Nabi Noor Ho Tum jalwa e yazdaan ki kasam By Nusrat Fateh Ali Khan

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 12 вер 2018
  • Ya Nabi Noor Ho Tum By Nusrat Fateh Ali Khan
    ya khuda jism mein jab tak yeh mere jaan rahe
    tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe
    kuch rahe ya na rahe par yeh dua hai ke ameer
    niza ke waqt salaamat mera imaan rahe
    meri chashme alam namnaak karde
    mujhe aalaishon se paak karde
    mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rab
    ghulam e sayyid e laulaak karde
    zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai
    badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai
    muhammad mustafa ka naam bhi kya isme aazam hai
    jahaan koi na kaam aaye wahaan yeh kaam aata hai
    taazeem se leta hai khuda naam e muhammad
    kya naam hai aye salle allah naam e muhammad
    allah kare uspe haraam atishe do zakh
    jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad
    khuda ka noor tujh mein hu ba hu hai
    khuda pinha magar tu ru ba ru hai
    teri azmat ka andaaza ho kisko
    khuda hai aur khuda ke baad tu hai
    ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam
    jaise tum ho nahi aisa koi imaan ki kasam
    isa ko bhi dekha musa ko bhi dekha
    haroon ki bhi dekha par koi nahi aisa jaise tum ho
    phire zamaane mein chaar jaanib
    nigar e yakta tumhi ko dekha
    haseen dekhe jameel dekhe
    par ik tumsa tumhi ko dekha
    tumhara saani rasaalat mein aab ho na saka
    tumhara koi kahin bhi jawaab ho na saka
    rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
    koi bhi saahib ul mulk ki taab ho na saka
    aam hain rehmatein zamaane par
    rehmaton ka koki jawaab nahi
    tere qurbaan ya rasool allah
    tera konain mein jawaab nahi
    aisa tujhe khaalik ne tarahdaar banaaya
    yusuf ko tera taalib e deedaar banaaya
    konain banaaye gaye sarkaar ki khaatir
    konain ki khaatir tumhein sarkaar banaaya
    martaba haq se kisi aur ko aisa na mila
    taaj khusro ki kasam takht e suleiman ki kasam
    dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen
    shah e yasrabi tere husn ki kise taab jo kare humsareen
    na gulon mein aisi shaguztabi
    na yeh rang o bu yeh taazgi
    yeh anokhi chhab yeh nayi phaban
    yeh adaayein pyaari yeh saadgi
    teri misl koi hua na ho
    tere sadke jaaun pyare nabi
    arbaab e nazar ko koi aisa na milega
    banda toh mil hi jaayega maula na milega
    taareekh agar dhoondhegi saani e muhammad
    saani toh badi cheez hai saaya na milega
    roya shab e hijra mein bahut ashq bahaaya
    itne mein musavvir ko zara reham jo aaya
    nakshe kayin tasvir ke woh saamne laaya
    bola ke yeh isa hain yeh yusuf yeh musa
    maine kaha inmein se kisi par nahi shaida
    jab saamne wo laaya woh shabeehe shah e waala
    besaakhta us waqt zubaan se meri nikla
    mukh chand badr shah shaani e
    maththe chamke laat nooraani e
    kaali zulf te ankh mastaani e
    makhmoor ankhi in madd bhariyaan
    teri soorat nu main jaan aakhan
    jaan aage jaan jahaan aakhan
    sach aakhan te rabb di shaan aakhaan
    jis shaan toh shaanan sab baniyan
    subhaanallah mah ajmal ka
    mah aasan ka mah akmal ka
    kithe mehar ali kithe teri sana
    gustaakh ankhi kithe jaa lariyan
    dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen
    maahe taaba ki kasam mehar e darakhshaah ki kasam

КОМЕНТАРІ • 28

  • @basharatali575
    @basharatali575 3 роки тому +3

    سبحان اللہ ماشاء اللہ بہت خوب

  • @purbainpunjab
    @purbainpunjab 4 роки тому +3

    Please upload complete program

  • @cihistirang8293
    @cihistirang8293 4 години тому

    Thank u sir ,

  • @MubarakAli-jj6zp
    @MubarakAli-jj6zp 7 годин тому

    Zameen kha gayi insaan kaisay kaisay . Bemisall Lajawab Anmol Alfaaz main mumkin hi nahin kay banda aisay ustad logon ki tareef kre . Allah pak apne piyare habeeb our unki Azeem All kay sadqe marhoomeen ki maghfirat farmae. Aameen . Mubarak Ali Awan

  • @shakeelch7977
    @shakeelch7977 4 роки тому +4

    Haq Ada kr Dia khan sab

  • @dawoodshaikh9612
    @dawoodshaikh9612 3 роки тому +4

    Voice From The Heaven.

  • @cihistirang8293
    @cihistirang8293 4 години тому

    ❤❤❤❤❤❤❤

  • @mohammadnaimhasan7005
    @mohammadnaimhasan7005 3 роки тому +3

    Mashaallah

  • @mohammedsuhail3683
    @mohammedsuhail3683 5 років тому +2

    MASHAA ALLAH

  • @syedmuzamilshah7485
    @syedmuzamilshah7485 5 років тому +3

    Kamal

  • @rajyy10
    @rajyy10 Рік тому +1

    قبلہ بابا جی سرکار بابا نقیب اللہ شاہ رحمتہ اللہ علیہ ، اللّٰہ پاک آپ کی قبرِ انور پر کروڑوں رحمتییں نازل فرمائے آمین ❤️

  • @hamidmomin6300

    Mushtak aftab jamal e Muhammad e

  • @m.waseembhatti2558
    @m.waseembhatti2558 4 роки тому +2

    sadky jeo

  • @shahzadvlog5
    @shahzadvlog5 4 роки тому +2

    MashaAllah

  • @hamidmomin6300

    Ya nabi Noor ho tum jalwa e yazdan ki kasam ,jaise tum ho nahi aisa koi iman ki kasam .

  • @sufianapoetry6973
    @sufianapoetry6973 2 роки тому +1

    KOI bata skta he ye kon bazurg hein ?

  • @hammadAltaf158
    @hammadAltaf158 3 роки тому +1

    Jahilo ne apna shor dala ha ustad g ko prhny b ni de ry tameez ni ha

  • @muhammadnajam5332
    @muhammadnajam5332 Рік тому +1

    Peer paisy agathy karni wali sardar 😐😑

  • @businessracoon
    @businessracoon 4 роки тому +2

    Ye baba kon betha hua ha jiske sb mureed lg rhy hn? Allah ki panah, kahin ye log shirk na krny lg jyn