Hazrat Luqman عليه السلام Ki Keemti Naseehat - New Bayan 2023 - Syed Mohsin Ali Gillani

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 19 вер 2024

КОМЕНТАРІ • 5

  • @HusnainRaza-r9l
    @HusnainRaza-r9l Місяць тому +1

    ماشاءاللہ ماشاءاللہ ماشاءاللہ

  • @mdmonis_
    @mdmonis_ Місяць тому +1

    Sub han Allah

  • @noorinoori6455
    @noorinoori6455 Рік тому +1

    Massallah

  • @superpowerboyable
    @superpowerboyable Рік тому +1

    Great Insights Sir. Thank you so much.

  • @mdmonis_
    @mdmonis_ Місяць тому +1

    Hazrat Luqman ki nasihaat, surah luqman is 12th aayat se.
    Allah ne unko hikmat ata ki. ( Hikmat ata hoti hai, ilm bas kamaya jaa sakta hai, hikmat nahi).
    Bande aur Allah me 2 tarfa rishta hota hai, uski ata aur hamara shukr. 1 taraf se rishta nahi chalta,
    Wo to ata karta hi hai, hamne shukr ka rishta tod diya.
    Wo ata chheen sakta hai aur tujh barbaad kar sakta hai.
    Jo Shukr karega, wo shukr ke zariye apna hi bhala karega.
    Muh kehna shukr nahi, Ehsaas se kehna Shukr hai.
    Hazrat e Musa ne Allah se sawal kiya, Aye Allah Adam AS ne tera shukr kaise ada kiya (zameen ka nayab, farishto ka masjood…).
    Allah ne jawab diya, Adam hamari har ne’amat ko yaad karta aur kehta
    “Aye Allah mai is neamat ke layak nahi tha, Aur tune Ehsaan karte hue mujhe ata farmaayi hai”.
    Allah fermata hai , Adam ka ye maan lena hi nematon ka shukr tha.
    Aur jisne Nashukri ki, to wo Allah ko kuchh nuksan nahi kar paayega.
    Allah gani hai aur beniyaz hai aur layak e hamd hai.
    Shurk hamd hai.
    Hazrat Luqman ki unke bete ko nasihat (Bete ki izzat ka khayal rakh kar, use mohabbat se baat kare.):
    1. Kabhi Allah ke saath shirk na karna.( Sabse zaada chahna aur sirf use ummeed rakhna ), shirk bahot bada zulm hai
    2. Aur Hamne insaan ko nasihat ki, ki apne maa baap se achha sulook karna
    3. Mera bhi shukr ada kar aur apne Maa Baap ka bhi shukr ada kar
    4. Shirk aur Digar ke mamle me Maa Baap ka kaha na manna aur Uska rasta ikhtiyar karna jo Allah ki pairvi karta hai (Ambiya Awliya)
    5. Ye na sochna tujh koi nahi dekh raha, Beshaq Allah bada bareek been aur khabardar hai. Agar Rai ke daane ki jinti bhi chiz kisi chattan ke andar bhi chhupi hui ho, to Allah kaymat ke din bhi use apne hisab ke liye pesh kar dega.
    Example by Huzur : Sakht kaali raat ho, usme door kahi kale pahad me koi kale pat’thar me intihayi kaali cheeti bhi chal rahi ho, Allah usko bhi dekh raha hai.
    6. Hamesha namaz qayam rakhna
    7. Neki ka hukm dete rehna aur burai se rokte rehna
    (Qoum E Loot par jab azab aaya to farishton ke puchha aye Allah, inne se aise log bhi hai jo khud kabhi koi kuchh burai nahi karte the, Allah fermata hai ki inko pehle azaab do, kyunki ye sirf khud achhe rehna chahte the aur logon ko achhayi se mehroom rakhna chahte the)
    8. Jo Musibat tumhe puchhe uspar sabr karna, Beshak Musibat par sabr karna bade hosle ka kaam hai
    9. Kabhi takabbur na karna aur na hi kabhi zameen pe akad ke chalna, Allah kisi mutakabbir aur fakhr karne wale ko pasand nahi karta
    10. Jab bhi koi mamla to darmiyana raasta ikhtiyar kiya kar (Na ekdam meetha, na kadwa )
    11. Aur jab kisi se baat karni ho, ( majma nahi ) Aahista aawaz me baat karo, oonchi aawaz gadhe ki aur sabse buri aawaz gadhe ki hi hoti hai