Market Volatility के लिए ज़रूरी गाइड

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 15 бер 2024
  • Riya, Neha, aur Simran in teeno ne shuru kiya tha 5000 ka SIP har mahine January 2020 mein.
    Jab Covid ke time par jab market mein giravat aayi, toh Riya pareshan ho gai. Use 60,000 invest karke sirf 56000 mile. 6% ki girawat ke saath.
    Neha ne apni SIP rok di, lekin paise lagaye rakhe. Unka bhi ₹60,000 ka investment tha. Saal ke end tak, unhone dekha ki woh badhkar ho gaya ₹65,355 tak. 9% ka fayda!
    Neha ne seekha ki Thoda intezaar karne se bhi fayda hota hai.
    Aur Simran?
    Giravat ke bawajood, Simran ne apni SIP ko beech mein nahi roka. Har mahine ke investment se unhone December 2020 tak jama kar liye total ₹72,928 with 22% ka growth.
    Toh Simran ne kya sikha?
    Market jab unpredictable hota hai toh SIP Stop karna ya investment redeem karna safe lag hai lekin aise karke aap ek badi opportunity miss kar rahe hain.
    Agar aap in teeno ki jagah hote, toh aap kya karte? Kya aap market ki unpredictability se dar jate? ya phir apne SIPs par bharosa rakhte?
    #sip #mutualfunds #mutualfundssahihai #wealthcreation #investment #financialgoals #stockmarket #stocks #marketanalysis #marketvolatility

КОМЕНТАРІ •