Nazm on Chai By Salim Husain

Поділитися
Вставка
  • Опубліковано 18 гру 2024
  • Tea ki shayari
    Tea time shero shayari
    Shayari background music
    Shayari ringtone
    Tehzeeb hafi
    Salim ki shayari
    'Chai' - A nazm on tea written and recited by Salim Husain Lakhnavi
    Chai or tea is a beverage popular worldwide, especially in Asia.
    Dabistaan-e-adab presents a nazm written by Salim Husain about the love and passion for tea.
    Lyrics:
    Chai ko dil ka sukoo.n, rooh ki rahat kahiye
    Naimat-e-Rabb isay Khaaliq ki inayat kahiye
    Chai ko chai nahi aab-e-tarawat kahiye
    Ek Junu.n kahiye isey ya isey aadat kahiye
    Chai ke aagay kaha.n koi ziyafat thehri
    Teen sadiyo.n se rawa.n is ki hukumat kahiye
    Zafrani ho ke saadi ho ke adrak waali
    Is ko har rang mein, har roop mein naimat kahiye
    Lughat-e-ishq mein likha hai ke is chai ko
    Shab-e-furqat ke mareezon ki zarurat kahiye
    Chai mehboob ke haathon se jo mil jaye kabhi
    Jaam-e-Jam kahiye ise, jaam-e-mohabbat kahiye
    Dard-e-sar, zof-e-badan, chashm-e-zadan mein ghaaib
    Is ko kahiye na shifa, balki karaamat kahiye
    Sard raato.n mein lihafo.n mein bas ek chai mile
    To ise chai nahi jaam-e-hararat kahiye
    Koi kanjoos agar chai pila de jo kabhi
    Moujiza kahiye ise josh-e-sakhawat kahiye
    Chai ko bechna kuch kaam nahi hai chhota
    Oonchay ohday ke liye is ko riyazat kahiye
    Ain jaado.n mein jo is chai se inkaar kare
    Kuch na kahiye ise bas ek jasarat kahiye
    Chai ke saath agar ‘waai’ na rakhe koi
    Is ko tahzeeb ke maktab se khayanat kahiye
    Kya yeh mumkin hai ke ho jaye bila chai piye
    Shaayari aur jisey aap sahafat kahiye
    Chai ko aap na chahein to koi baat nahi
    Chai ke chahne wale ko bura mat kahiye
    Ab to Salim ko pila dijiye ek chai kadak
    Warna is saari mashaqqat ko akaarat kahiye
    All rights reserved. ©

КОМЕНТАРІ • 96