| Aye Baba Janam | Recited by: Kumail Nanji ***With Wordings***
Вставка
- Опубліковано 5 лют 2025
- A Beutiful Nawha Originally recited by Ali Safdar in 2011...
~~WORDINGS~~
Aye mere baba janam
Ai mere pyaase baba, ai mere pardesi baba
Ai mere baba mei zindaan mei tanha rehgayi hu
Baba sab zindan se riha hoker chale gaye, baba baba baba janam
Iss tarikh zindan mei, mujhe aap ka sina bohot yaad aata hai baba, baba janam
Aye baba janam
Qafela zindaan se jaata hai, mei zindaan mei hun tanha
Aye baba janam
Kab tak duniya baqi hai, hoga mazloomon ka maatam
Aye baba...
Baba aap ke baad qayamat, thei wo din jo guzaare the
Shimr ne kaano se durr chhine, aur tamaache maare the
Insaano ke ruppe the haiwan jo dushman sare the
Ek rasan mei bandhe phupi ke baazu the aur mera gala
Bekas hu aur bebas hu, mei shere khuda ki potti hu
Aap ke sine pe soti thi, ab matti pe soti hu
Koi nahi jo aansu pohnche, qabr mei bhi me roti hu
Yaad aata hai tarpaata hai, nehr pe jaana ammu ka
Nane asgher ko amma ne, kitne pyaar se paala tha
Iske damse ghar me hamaare, khushiya aur ujaala tha
Tir gale mei lagte hi, baba ne use sambhala tha
Asgher wiraan ghabraaya to, kon usse sambhalega
Shaam ke jab bazar se guzre, tum mazloom jukaaye ser
Aap ka ser zaalim the uthaaye, baba novke neza per
Balon se thi munh ko chupaaye, fatema zahra ki dukhtar
Log khare yun dekh rahe the, jaise koi tamasha tha
Bhayya abid aur phupi amma to madine jayenge
Girya karke ehle watan ko, sab rudaad sunaayenge
Pursa denge pursa lenge, sab ko gale lagayenge
Yei bhi kahenge qaide sitam mei, mujhko watan yaad ata tha
Thanks I got it!